ghazalKuch Alfaaz

be-laus mohabbat ka sila dhundh raha huun nadan huun ye is shahr men kya dhundh raha huun ik mod pe tuute hue khandar se makan men guzre hue lamhon ka pata dhundh raha huun muddat se ye khanjar mire siine men hai aur main riste hue zakhmon ki dava dhundh raha huun divana jise sang-tarashi ka junun hai kahta hai ki patthar men khuda dhundh raha huun munsif tire insaf se vaqif huun tabhi to na-karda gunahon ki saza dhundh raha huun ye shaam aur us par tiri yadon ki halavat ik jaam men do shai ka nasha dhundh raha huun be-laus mohabbat ka sila dhundh raha hun nadan hun ye is shahr mein kya dhundh raha hun ek mod pe tute hue khandar se makan mein guzre hue lamhon ka pata dhundh raha hun muddat se ye khanjar mere sine mein hai aur main riste hue zakhmon ki dawa dhundh raha hun diwana jise sang-tarashi ka junun hai kahta hai ki patthar mein khuda dhundh raha hun munsif tere insaf se waqif hun tabhi to na-karda gunahon ki saza dhundh raha hun ye sham aur us par teri yaadon ki halawat ek jam mein do shai ka nasha dhundh raha hun

Related Ghazal

main bhi tum jaisa hooñ apne se juda mat samjho aadmi hi mujhe rahne do KHuda mat samjho ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho raas aata nahin sabko ye mohabbat ka marz meri beemaarii ko tum apni davaa mat samjho

Shakeel Azmi

51 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ye ishq vo hai jisne bahr-o-bar KHaraab kar diya ha men to usne jaise khaas kar KHaraab kar diya main dil pe haath rakh ke tujhko shahar bhej doon magar tujhe bhi un hawaon ne agar KHaraab kar diya kisi ne naam likh ke aur kisi ne peeng daal ke mohabbaton ki aad men shajar KHaraab kar diya tumhein hi dekhne men mahav hai vo kaam chhodkar tumhaari car ne to kaarigar KHaraab kar diya main qafile ke saath hooñ magar mujhe ye khauf hai agar kisi ne meraa hamsafar KHaraab kar diya teri nazar ke maqde tamaam shab khule rahe teri sharaab ne meraa jigar KHaraab kar diya

Tehzeeb Hafi

57 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nafas Ambalvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nafas Ambalvi's ghazal.