ghazalKuch Alfaaz

be-nam sa ye dard thahar kyuun nahin jaata jo biit gaya hai vo guzar kyuun nahin jaata sab kuchh to hai kya dhundhti rahti hain nigahen kya baat hai main vaqt pe ghar kyuun nahin jaata vo ek hi chehra to nahin saare jahan men jo duur hai vo dil se utar kyuun nahin jaata main apni hi uljhi hui rahon ka tamasha jaate hain jidhar sab main udhar kyuun nahin jaata vo khvab jo barson se na chehra na badan hai vo khvab havaon men bikhar kyuun nahin jaata be-nam sa ye dard thahar kyun nahin jata jo bit gaya hai wo guzar kyun nahin jata sab kuchh to hai kya dhundhti rahti hain nigahen kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata wo ek hi chehra to nahin sare jahan mein jo dur hai wo dil se utar kyun nahin jata main apni hi uljhi hui rahon ka tamasha jate hain jidhar sab main udhar kyun nahin jata wo khwab jo barson se na chehra na badan hai wo khwab hawaon mein bikhar kyun nahin jata

Related Ghazal

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga

Tehzeeb Hafi

241 likes

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahar men kuchh din thehar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai she'r o shaayri se shagaf so ham bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phool jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chaand takta rehta hai sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan sataati hain suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazaal si aañkhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamaail hain us ki gardan men mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki taraash aisi hai ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain kise naseeb ki be-pairhan use dekhe kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi agar vo KHvaab hai taabeer kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thehre ki kooch kar jaayen faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain

Ahmad Faraz

65 likes

safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo

Nida Fazli

61 likes

More from Nida Fazli

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

aani jaani har mohabbat hai chalo yoon hi sahi jab talak hai khoobsurat hai chalo yoon hi sahi ham kahaan ke devta hain be-vafa vo hain to kya ghar men koi ghar ki zeenat hai chalo yoon hi sahi vo nahin to koi to hogaa kahii us ki tarah jism men jab tak hararat hai chalo yoon hi sahi maile ho jaate hain rishte bhi libaason ki tarah dosti har din ki mehnat hai chalo yoon hi sahi bhool thii apni farishta aadmi men dhoondhna aadmi men aadmiyyat hai chalo yoon hi sahi jaisi honi chahiye thii waisi to duniya nahin duniyadari bhi zaroorat hai chalo yoon hi sahi

Nida Fazli

4 likes

garj-baras pyaasi dharti par phir paani de maula chidiyon ko daane bacchon ko gud-dhaani de maula do aur do ka jod hamesha chaar kahaan hota hai soch samajh waalon ko thodii nadaani de maula phir raushan kar zahar ka pyaala chamka nayi saleeben jhooton ki duniya men sach ko tabaani de maula phir moorat se baahar aa kar chaaron or bikhar ja phir mandir ko koi meera deewani de maula tere hote koi kis ki jaan ka dushman kyun ho jeene waalon ko marne ki aasaani de maula

Nida Fazli

1 likes

chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain

Nida Fazli

0 likes

jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage

Nida Fazli

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.