besan ki saundhi roti par khatti chatni jaisi maan yaad aati hai! chauka basan chimta phukni jaisi maan baans ki kharri khaat ke uupar har aahat par kaan dhare aadhi soi aadhi jaagi thaki do-pahri jaisi maan chidiyon ki chahkar men gunje radha mohan ali ali murghhe ki avaz se bajti ghar ki kundi jaisi maan biivi beti bahan padosan thodi thodi si sab men din bhar ik rassi ke uupar chalti natni jaisi maan baant ke apna chehra matha ankhen jaane kahan gai phate purane ik album men chanchal ladki jaisi maan besan ki saundhi roti par khatti chatni jaisi man yaad aati hai! chauka basan chimta phukni jaisi man bans ki kharri khat ke upar har aahat par kan dhare aadhi soi aadhi jagi thaki do-pahri jaisi man chidiyon ki chahkar mein gunje radha mohan ali ali murghe ki aawaz se bajti ghar ki kundi jaisi man biwi beti bahan padosan thodi thodi si sab mein din bhar ek rassi ke upar chalti natni jaisi man bant ke apna chehra matha aankhen jaane kahan gai phate purane ek album mein chanchal ladki jaisi man
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
More from Nida Fazli
din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi
Nida Fazli
0 likes
girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya
Nida Fazli
1 likes
kabhi kabhi yuñ bhi ham ne apne jee ko bahlāya hai jin baaton ko KHud nahin samjhe auron ko samjhaaya hai ham se poochho izzat waalon ki izzat ka haal kabhi ham ne bhi ik shahar men rah kar thoda naam kamaaya hai us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyun aangan men hanste bacchon ko be-kaaran dhamkaaya hai us bastii se chhut kar yuñ to har chehre ko yaad kiya jis se thodii si an-ban thii vo akshar yaad aaya hai koi mila to haath milaaya kahii ga.e to baatein keen ghar se baahar jab bhi nikle din bhar bojh uthaya hai
Nida Fazli
1 likes
jaane waalon se raabta rakhna dosto rasm-e-faatihah rakhna ghar ki ta'aamir chahe jaisi hous men rone ki kuchh jagah rakhna masjidein hain namaaziyo ke li.e apne ghar men kahii KHuda rakhna jism men failne laga hai shahar apni tanhaaiyaan bacha rakhna milna-julna jahaan zaroori hai milne-julne ka hausla rakhna umr karne ko hai pachaas ko paar kaun hai kis jagah pata rakhna
Nida Fazli
1 likes
neel-gagan men tair raha hai ujla ujla poora chaand maa ki lori sa bacche ke doodh katore jaisa chaand munni ki bholi baaton si chatkiin taaron ki kaliyaan pappoo ki khaamoshi sharaarat sa chhup chhup kar ubhara chaand mujh se poochho kaise kaatee main ne parbat jaisi raat tum ne to go dii men le kar ghanton chooma hogaa chaand pardesi sooni aankhoñ men shole se lehraate hain bhaabi ki chedon sa baadal aapa ki chutki sa chaand tum bhi likhna tum ne us shab kitnii baar piya paani tum ne bhi to chhajje u uupar dekha hogaa poora chaand
Nida Fazli
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







