ghazalKuch Alfaaz

bhule se mohabbat kar baitha, nadan tha bechara, dil hi to hai har dil se khata ho jaati hai, bigdo na khudara, dil hi to hai is tarah nigahen mat phero, aisa na ho dhadkan ruk jaae siine men koi patthar to nahin ehsas ka mara, dil hi to hai jazbat bhi hindu hote hain chahat bhi musalman hoti hai duniya ka ishara tha lekin samjha na ishara, dil hi to hai bedad-garon ki thokar se sab khvab suhane chuur hue ab dil ka sahara ghham hi to hai ab ghham ka sahara dil hi to hai bhule se mohabbat kar baitha, nadan tha bechaara, dil hi to hai har dil se khata ho jati hai, bigdo na khudara, dil hi to hai is tarah nigahen mat phero, aisa na ho dhadkan ruk jae sine mein koi patthar to nahin ehsas ka mara, dil hi to hai jazbaat bhi hindu hote hain chahat bhi musalman hoti hai duniya ka ishaara tha lekin samjha na ishaara, dil hi to hai bedad-garon ki thokar se sab khwab suhane chur hue ab dil ka sahaara gham hi to hai ab gham ka sahaara dil hi to hai

Related Ghazal

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

More from Sahir Ludhianvi

fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha

Sahir Ludhianvi

2 likes

saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karen KHuda mila ho jinhen vo KHuda ki baat karen unhen pata bhi chale aur vo KHafaa bhi na hon is ehtiyaat se kya muddaa ki baat karen hamaare ahd ki tahzeeb men qaba hi nahin agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen har ek daur ka mazhab naya KHuda laaya karen to ham bhi magar kis KHuda ki baat karen wafa-shiaar kaii hain koi haseen bhi to ho chalo phir aaj usii be-vafa ki baat karen

Sahir Ludhianvi

6 likes

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai

Sahir Ludhianvi

14 likes

mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne zamaane ab to KHush ho zahar ye bhi pee liya main ne abhii zinda hooñ lekin sochta rehta hooñ khilwat men ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liya main ne unhen apna nahin saka magar itnaa bhi kya kam hai ki kuchh muddat haseen KHvaabon men kho kar jee liya main ne bas ab to daaman-e-dil chhod do bekar umeedo bahut dukh sah li.e main ne bahut din jee liya main ne

Sahir Ludhianvi

0 likes

dekha hai zindagi ko kuchh itnaa qareeb se chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se kehne ko dil ki baat jinhen dhoondte the ham mehfil men aa ga.e hain vo apne naseeb se neelaam ho raha tha kisi naazneen ka pyaar qeemat nahin chukaai gaii ik gareeb se teri vafaa ki laash pe la main hi daal doon resham ka ye kafan jo mila hai raqeeb se

Sahir Ludhianvi

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.