bikhar jaenge ham kya jab tamasha khatm hoga mire maabud akhir kab tamasha khatm hoga charaghh-e-hujra-e-darvesh ki bujhti hui lau hava se kah gai hai ab tamasha khatm hoga kahani men nae kirdar shamil ho gae hain nahin maalum ab kis dhab tamasha khatm hoga kahani aap uljhi hai ki uljhai gai hai ye uqda tab khulega jab tamasha khatm hoga zamin jab adl se bhar jaegi nurun-ala-nur ba-nam-e-maslak-o-mazhab tamasha khatm hoga ye sab kath-putliyan raqsan rahengi raat ki raat sahar se pahle pahle sab tamasha khatm hoga tamasha karne valon ko khabar di ja chuki hai ki parda kab girega kab tamasha khatm hoga dil-e-na-mutmain aisa bhi kya mayus rahna jo khalq utthi to sab kartab tamasha khatm hoga bikhar jaenge hum kya jab tamasha khatm hoga mere mabud aakhir kab tamasha khatm hoga charagh-e-hujra-e-darwesh ki bujhti hui lau hawa se kah gai hai ab tamasha khatm hoga kahani mein nae kirdar shamil ho gae hain nahin malum ab kis dhab tamasha khatm hoga kahani aap uljhi hai ki uljhai gai hai ye uqda tab khulega jab tamasha khatm hoga zamin jab adl se bhar jaegi nurun-ala-nur ba-nam-e-maslak-o-mazhab tamasha khatm hoga ye sab kath-putliyan raqsan rahengi raat ki raat sahar se pahle pahle sab tamasha khatm hoga tamasha karne walon ko khabar di ja chuki hai ki parda kab girega kab tamasha khatm hoga dil-e-na-mutmain aisa bhi kya mayus rahna jo khalq utthi to sab kartab tamasha khatm hoga
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Iftikhar Arif
vafaa ki KHair manaata hooñ be-vafaaii men bhi main us ki qaid men hooñ qaid se rihaai men bhi lahu ki aag men jal-bujh ga.e badan to khula rasai men bhi khasaara hai na-rasaai men bhi badalte rahte hain mausam guzarta rehta hai vaqt magar ye dil ki wahin ka wahin judaai men bhi lihaaz-e-hurmat-e-paema'n na paas-e-hum-khwaabi ajab tarah ke tasaadum the aashnaai men bhi main das baras se kisi KHvaab ke azaab men hooñ wahin azaab dar aaya hai is dahaai men bhi tasaadum-e-dil-o-duniya men dil ki haar ke baa'd hijaab aane laga hai ghazal-saraai men bhi main ja raha hooñ ab us ki taraf usii ki taraf jo mere saath tha meri shikasta-paai men bhi
Iftikhar Arif
0 likes
koi to phool khilaaye dua ke lehje men ajab tarah ki ghutan hai hawa ke lehje men ye vaqt kis ki ra'unat pe KHaak daal gaya ye kaun bol raha tha KHuda ke lehje men na jaane khalk-e-khuda kaun se azaab men hai hawaaein cheekh padeen iltijaa ke lehje men khula fareb-e-mohabbat dikhaai deta hai ajab kamaal hai us be-vafa ke lehje men yahii hai maslahat-e-jabr-e-ehtiyaat to phir ham apna haal kaheinge chhupa ke lehje men
Iftikhar Arif
1 likes
ye bastii jaani-pahchaani bahut hai yahaañ va'don ki arzaani bahut hai shagufta lafz likkhe ja rahe hain magar lahjon men veeraani bahut hai subuk-zarfon ke qaabu men nahin lafz magar shauq-e-gul-afshaani bahut hai hai bazaaron men paani sar se ooncha mire ghar men bhi tugh yaanii bahut hai na jaane kab mire sehra men aa.e vo ik dariyaa ki toofaani bahut hai na jaane kab mire aangan men barase vo ik baadal ki nuqsaani bahut hai
Iftikhar Arif
0 likes
thakan to agle safar ke li.e bahaana tha use to yuñ bhi kisi aur samt jaana tha vahii charaaghh bujha jis ki lau qayamat thii usii pe zarb padi jo shajar puraana tha mataa-e-jaan ka badal ek pal ki sarshaari sulook KHvaab ka aankhoñ se tajiraana tha hawa ki kaat shagoofoon ne jazb kar li thii tabhi to lahja-e-khushboo bhi jaarehaana tha vahii firaq ki baatein vahii hikaayat-e-wasl nayi kitaab ka ek ik varq puraana tha qaba-e-zard nigaar-e-khizaan pe sajti thii tabhi to chaal ka andaaz khusrawaana tha
Iftikhar Arif
2 likes
mere KHuda mujhe itnaa to mo'tabar kar de main jis makaan men rehta hooñ us ko ghar kar de ye raushni ke ta'aqub men bhaagta hua din jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar de main zindagi ki dua maangne laga hooñ bahut jo ho sake to duaon ko be-asar kar de sitaara-e-sahari doobne ko aaya hai zaraa koi mire sooraj ko ba-khabar kar de qabeela-waar kamaanein kadkane waali hain mere lahu ki gawaahi mujhe nidar kar de main apne KHvaab se kat kar jiyooun to meraa KHuda ujaad de mirii miTTi ko dar-b-dar kar de merii zameen meraa aakhiri hawala hai so main rahoon na rahoon is ko barvar kar de
Iftikhar Arif
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Iftikhar Arif.
Similar Moods
More moods that pair well with Iftikhar Arif's ghazal.







