mere KHuda mujhe itnaa to mo'tabar kar de main jis makaan men rehta hooñ us ko ghar kar de ye raushni ke ta'aqub men bhaagta hua din jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar de main zindagi ki dua maangne laga hooñ bahut jo ho sake to duaon ko be-asar kar de sitaara-e-sahari doobne ko aaya hai zaraa koi mire sooraj ko ba-khabar kar de qabeela-waar kamaanein kadkane waali hain mere lahu ki gawaahi mujhe nidar kar de main apne KHvaab se kat kar jiyooun to meraa KHuda ujaad de mirii miTTi ko dar-b-dar kar de merii zameen meraa aakhiri hawala hai so main rahoon na rahoon is ko barvar kar de
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
More from Iftikhar Arif
ye bastii jaani-pahchaani bahut hai yahaañ va'don ki arzaani bahut hai shagufta lafz likkhe ja rahe hain magar lahjon men veeraani bahut hai subuk-zarfon ke qaabu men nahin lafz magar shauq-e-gul-afshaani bahut hai hai bazaaron men paani sar se ooncha mire ghar men bhi tugh yaanii bahut hai na jaane kab mire sehra men aa.e vo ik dariyaa ki toofaani bahut hai na jaane kab mire aangan men barase vo ik baadal ki nuqsaani bahut hai
Iftikhar Arif
0 likes
koi to phool khilaaye dua ke lehje men ajab tarah ki ghutan hai hawa ke lehje men ye vaqt kis ki ra'unat pe KHaak daal gaya ye kaun bol raha tha KHuda ke lehje men na jaane khalk-e-khuda kaun se azaab men hai hawaaein cheekh padeen iltijaa ke lehje men khula fareb-e-mohabbat dikhaai deta hai ajab kamaal hai us be-vafa ke lehje men yahii hai maslahat-e-jabr-e-ehtiyaat to phir ham apna haal kaheinge chhupa ke lehje men
Iftikhar Arif
1 likes
vafaa ki KHair manaata hooñ be-vafaaii men bhi main us ki qaid men hooñ qaid se rihaai men bhi lahu ki aag men jal-bujh ga.e badan to khula rasai men bhi khasaara hai na-rasaai men bhi badalte rahte hain mausam guzarta rehta hai vaqt magar ye dil ki wahin ka wahin judaai men bhi lihaaz-e-hurmat-e-paema'n na paas-e-hum-khwaabi ajab tarah ke tasaadum the aashnaai men bhi main das baras se kisi KHvaab ke azaab men hooñ wahin azaab dar aaya hai is dahaai men bhi tasaadum-e-dil-o-duniya men dil ki haar ke baa'd hijaab aane laga hai ghazal-saraai men bhi main ja raha hooñ ab us ki taraf usii ki taraf jo mere saath tha meri shikasta-paai men bhi
Iftikhar Arif
0 likes
kahaan ke naam o nasab ilm kya fazilat kya jahaan-e-rizq men tauqeer-e-ahl-e-haajat kya shikam ki aag li.e phir rahi hai shahr-b-shahr sag-e-zamaana hain ham kya hamaari hijrat kya dimashq-e-maslahat o kuufa-e-nifaq ke beech fughan-e-qaafila-e-be-nawa ki qeemat kya maal-e-izzat-e-saadaat-e-ishq dekh ke ham badal ga.e to badlne pe itni hairat kya qimaar-khaana-e-hasti men ek baazi par tamaam umr laga dii to phir shikaayat kya farogh-e-sanat-e-qad-aavari ka mausam hai subuk hue pe bhi niklaa hai qadd-o-qaamat kya
Iftikhar Arif
0 likes
thakan to agle safar ke li.e bahaana tha use to yuñ bhi kisi aur samt jaana tha vahii charaaghh bujha jis ki lau qayamat thii usii pe zarb padi jo shajar puraana tha mataa-e-jaan ka badal ek pal ki sarshaari sulook KHvaab ka aankhoñ se tajiraana tha hawa ki kaat shagoofoon ne jazb kar li thii tabhi to lahja-e-khushboo bhi jaarehaana tha vahii firaq ki baatein vahii hikaayat-e-wasl nayi kitaab ka ek ik varq puraana tha qaba-e-zard nigaar-e-khizaan pe sajti thii tabhi to chaal ka andaaz khusrawaana tha
Iftikhar Arif
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Iftikhar Arif.
Similar Moods
More moods that pair well with Iftikhar Arif's ghazal.







