ghazalKuch Alfaaz

bismil ke tadapne ki adaaon men nasha tha main haath men talwaar li.e jhoom raha tha ghoonghat men mire KHvaab ki taabeer chhupi thii mehn dii se hatheli men mira naam likha tha lab the ki kisi pyaali ke honton pe jhuke the aur haath kahii gardan-e-meena men pada tha hammam ke aaiine men shab doob rahi thii cigarette se naye din ka dhuaan phail raha tha dariyaa ke kinaare pe mirii laash pa dii thii aur paani ki tah men vo mujhe Dhoondh raha tha maaloom nahin phir vo kahaan chhup gaya aadil saaya sa koi lams ki sarhad pe mila tha

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Adil Mansuri

zameen chhod kar main kidhar jaaunga andheron ke andar utar jaaunga mirii pattiyaan saari sookhi hui naye mausamon men bikhar jaaunga agar aa gaya aaina saamne to apne hi chehre se dar jaaunga vo ik aankh jo mirii apni bhi haina aayi nazar to kidhar jaaunga vo ik shaKHs awaaz dega agar main khaali sadak par thehar jaaunga palat kar na paaya kisi ko agar to apni hi aahat se dar jaaunga tiri zaat men saans li hai sadaa tujhe chhod kar main kidhar jaaunga

Adil Mansuri

4 likes

badan par nayi fasl aane lagii hawa dil men KHvaahish jagaane lagii koi KHud-kushi ki taraf chal diya udaasi ki mehnat thikaane lagii jo chup-chaap rahtii thii deewaar par vo tasveer baatein banaane lagii khayaalon ke tareek khandaraat men KHamoshii ghazal gungunaane lagii zaraa der baithe the tanhaaii men tiri yaad aañkhen dukhaane lagii

Adil Mansuri

6 likes

chehre pe chamchamaati hui dhoop mar gaii suraj ko dhalta dekh ke phir shaam dar gaii mabahoot se khade rahe sab bas ki line men koolhe uchaalti hui bijli guzar gaii suraj vahii tha dhoop vahii shahar bhi vahii kya cheez thii jo jism ke andar tithir gaii KHvaahish sukhaane rakkhi thii kothe pe dopahar ab shaam ho chali miyaan dekho kidhar gaii tahleel ho gaii hai hawa men udaasiyaan khaali jagah jo rah gaii tanhaaii bhar gaii chehre baghair niklaa tha us ke makaan se rusvaaiyon ki had se bhi aage khabar gaii rangon ki surkh naaf daakhilya gul-aftaab andhi hawaaein khaar khatk kaan bhar gaii

Adil Mansuri

0 likes

chaaron taraf se maut ne ghera hai zeest ko aur us ke saath hukm ki ab zindagi karo baahar gali men shor hai barsaat ka suno kun dii laga ke aaj to ghar men pade raho chhod aa.e kis ki chat pe jawaan-saal chaand ko KHaamosh kis li.e ho sitaaro javaab do kyun chalte chalte ruk ga.e veeraan raasto tanhaa hooñ aaj main zaraa ghar tak to saath do jis ne bhi mud ke dekha vo patthar ka ho gaya nazrein jhuk aa.e dosto chup chup chale chalo allah rakhe teri sehar jaisi kam-sini dil kaanpata hai jab bhi tu aati hai shaam ko veeraan chaman pe roee hai shabnam tamaam raat aise men koi nanhi kali muskur aa.e to aadil hawaaein kab se bhi deti hain dastaken jal dii se uth ke kamre ka darwaaza khol do

Adil Mansuri

0 likes

hone ko yuñ to shahar men apna makaan tha nafrat ka regzaar magar darmiyaan tha lamhe ke tootne ki sadaa sun raha tha main jhapki jo aankh sar pe naya aasmaan tha kehne ko haath baandhe khade the namaaz men poochho to doosri hi taraf apna dhyaan tha allah jaane kis pe akadta tha raat din kuchh bhi nahin tha phir bhi badaa bad-zabaan tha shole ugalte teer barsate the charkh se saaya tha paas men na koi saayebaan tha sab se kiya hai vasl ka vaa'da alag alag kal raat vo sabhi pe bahut mehrbaan tha muhn-phat tha be-lagaam tha rusva tha dheeth tha jaisa bhi tha vo dosto mehfil ki jaan tha

Adil Mansuri

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Adil Mansuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Adil Mansuri's ghazal.