boo ki ho soo-e-baagh nikle hai baav se ik dimaagh nikle hai hai jo andher shahar men khurshid din ko le kar charaaghh nikle hai chob-kaari hi se rahega shaikh ab to le kar chumaagh nikle hai de hai jumbish jo waan ki KHaak ko baav jigar daagh daagh nikle hai har sehar haadisa mirii khaatir bhar ke khun ka ayaagh nikle hai us gali ki zameen-e-tafta se dil-jalon ka suraagh nikle hai shaayad us zulf se lagii hai meer baav men ik dimaagh nikle hai
Related Ghazal
bas ik nigaah-e-naaz ko tarsa hua tha main haalanki shahar-shahar men faila hua tha main muddat ke baad aaina dekha to ro pada kis behtareen dost se rootha hua tha main pahna jo renkot to baarish nahin hui lautaa jo ghar to sharm se bheega hua tha main pahle bhi dii gaii thii mujhe bazm ki dua pahle bhi is dua pe akela hua tha main kitnii ajeeb baat hai na tu hi aa gaya tere hi intzaar men baitha hua tha main
Zubair Ali Tabish
47 likes
baat muqaddar ki hai saari waqt ka likkha maarta hai kuchh sajdon men mar jaate hain kuchh ko sajda maarta hai sirf ham hi hain jo tujh par poore ke poore marte hain varna kisi ko teri aañkhen kisi ko lahza maarta hai dilwaale ek dooje ki imdaad ko KHud mar jaate hain duniyadaar ko jab bhi maare duniyaavaala maarta hai shahar men ek naye kaatil ke husn-e-sukhan ke balve hain usse bach ke rahna she'r suna ke banda maarta hai
Ali Zaryoun
43 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
kaun aayega yahaañ koi na aaya hogaa meraa darwaaza hawaon ne hilaaya hogaa dil-e-naadaañ na dhadak ai dil-e-naadaañ na dhadak koi khat le ke padosi ke ghar aaya hogaa is gulistaan ki yahii reet hai ai shaakh-e-gul tu ne jis phool ko paala vo paraaya hogaa dil ki qismat hi men likkha tha andhera shaayad warna masjid ka diya kis ne bujhaaya hogaa gul se lipti hui titli ko giraa kar dekho aandhiyo tum ne darakhton ko giraaya hogaa khelne ke li.e bacche nikal aa.e honge chaand ab us ki gali men utar aaya hogaa kaif pardes men mat yaad karo apna makaan ab ke baarish ne use tod giraaya hogaa
Kaif Bhopali
20 likes
nahin hai munsir is baat par yaari hamaari ke tu karta rahe naahak tarafdaari hamaari andhere men ha men rakhna to khaamoshi se rakhna kahii bedaar na ho jaaye bedaari hamaari magar achha to ye hota ham ek saath rahte bharii rahtii tere kapdo se almaari hamaari ham aasaani se khul jaaye magar ek masla hai tumhaari satah se u uupar hai tahdaari hamaari kahaanikaar ne kirdaar hi aisa diya hai adaakaari nahin lagti adaakaari hamaari ha men jeete chale jaane par maail karne waali yaha koi nahin lekin sukhankaari hamaari
Jawwad Sheikh
26 likes
More from Meer Taqi Meer
kharaabi kuchh na poochho mulakat-e-dil ki imarat ki ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaa dii hi gharaat ki nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka pade the baagh men yak-musht par udhar ishaarat ki jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam usii aatish ke par kaale ne ham se bhi sharaarat ki nazaakat kya kahooñ khursheed-roo ki kal shab-e-mah men gaya tha saa.e saa.e baagh tak tis par hararat ki nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe haqeeqat kuchh na poochho peer-e-kan'aan ki basaarat ki tire kooche ke shauq-e-tauf men jaise bagoola tha biyaabaan main ghubaar meer ki ham ne ziyaarat ki
Meer Taqi Meer
0 likes
mehr ki tujh se tavakko thii sitamgar niklaa mom samjhe the tire dil ko so patthar niklaa daagh hooñ rask-e-mohabbat se ki itnaa betaab kis ki taskin ke li.e ghar se tu baahar niklaa jeete jee aah tire kooche se koi na fira jo sitam-deeda raha ja ke so mar kar niklaa dil ki aabaa dii ki is had hai kharaabi ki na pooch jaana jaata hai ki us raah se lashkar niklaa ashk-e-tar qatra-e-khoon lakht-e-jigar paara-e-dil ek se ek addad aankh se bah kar niklaa kunj-kaavi jo ki seene ki gham-e-hijraan ne is dafneene men se aqsaam-e-jawaahar niklaa ham ne jaana tha likhega tu koi harf ai meer par tira naama to ik shauq ka daftar niklaa
Meer Taqi Meer
0 likes
shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka
Meer Taqi Meer
0 likes
us ka khayal chashm se shab KHvaab le gaya qas men ki ishq jee se mire taab le gaya kin neendon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-naak mizgaan to khol shahar ko sailaab le gaya aave jo mastaba men to sun lo ki raah se waiz ko ek jaam-e-may-e-naab le gaya ne dil raha baja hai na sabr o hawas o hosh aaya jo sail-e-ishq sab asbaab le gaya mire huzoor shama' ne giryaa jo sar kiya roya main is qadar ki mujhe aab le gaya ahvaal us shikaar zuboon ka hai jaa.e rahm jis na-tawan ko muft na qassaab le gaya munh ki jhalak se yaar ke behosh ho ga.e shab ham ko meer paratav-e-mehtaab le gaya
Meer Taqi Meer
0 likes
main ne jo be-kasaana majlis men jaan khoi sar par mire khadi ho shab shama' zor ravi aati hai shama' shab ko aage tire ye kah kar munh ki gaii jo loii to kya karega koi be-taaqati se aage kuchh poochta bhi tha so rone ne har ghadi ke vo baat hi duboi bulbul ki bekli ne shab be-dimaagh rakha sone diya na ham ko zalim na aap soi us zulm pesha ki ye rasm-e-qadeem hai gee ghairoon pe meherbaani yaaron se keena-jooi naubat jo ham se gahe aati hai guftugoo ki munh men zabaan nahin hai is bad-zabaan ke goii us mah ke jalwe se kuchh ta meer yaad deve ab ke gharo men ham ne sab chaandni hai boi
Meer Taqi Meer
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meer Taqi Meer.
Similar Moods
More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.







