ghazalKuch Alfaaz

kharaabi kuchh na poochho mulakat-e-dil ki imarat ki ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaa dii hi gharaat ki nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka pade the baagh men yak-musht par udhar ishaarat ki jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam usii aatish ke par kaale ne ham se bhi sharaarat ki nazaakat kya kahooñ khursheed-roo ki kal shab-e-mah men gaya tha saa.e saa.e baagh tak tis par hararat ki nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe haqeeqat kuchh na poochho peer-e-kan'aan ki basaarat ki tire kooche ke shauq-e-tauf men jaise bagoola tha biyaabaan main ghubaar meer ki ham ne ziyaarat ki

Related Ghazal

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

jaam cigarette kash aur bas kuchh dhuaan aakhirsh aur bas maut tak zindagi ka safar raat-din kashmakash aur bas pee gaya ped aandhi magar gir pada kha ke ghash aur bas zindagi jaltee cigarette hai sirf do-chaar kash aur bas sookhte ped ki lakdiyaan aakhiri peshkash aur bas

Sandeep Thakur

50 likes

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge

Jaun Elia

88 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

More from Meer Taqi Meer

yuñ hi hairaan-o-khafa jon ghuncha-e-tasveer hon umr guzri par na jaana main ki kyun dil-geer hon itni baatein mat banaa mujh shefate se naaseha pand ke laayeq nahin main qaabil-e-zanjeer hon surkh rahtii hain mirii aañkhen lahu rone se shaikh may agar saabit ho mujh par waajib al-taazeer hooñ ne falak par raah mujh ko ne zameen par rau mujhe aise kis mahroom ka men shor-e-be-taaseer hooñ jon kamaan garche khameeda hooñ pe chhoota aur wahinus ke kooche ki taraf chalne ko yaaro teer hooñ jo mire hisse men aave tegh-e-jamadhar sail-o-kaard ye fuzooli hai ki main hi kushta-e-shamsheer hooñ khol kar deevaan meraa dekh qudrat muddai garche hooñ main naujavaan par sha'iron ka peer hooñ yuñ saadat ek jamdhar mujh ko bhi guzaariye munsifi kijeye to main to mahaj be-taqseer hooñ is qadar be-nang khabton ko naseehat shaikh-ji baaz aao warna apne naam ko main meer hooñ

Meer Taqi Meer

0 likes

shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka

Meer Taqi Meer

0 likes

kya kahein apni us ki shab ki baat kahiye hove jo kuchh bhi dhab ki baat ab to chup lag gaii hai hairat se phir khulegi zabaan jab ki baat nukta-daanan-e-rafta ki na kaho baat vo hai jo hove ab ki baat kis ka roo-e-sukhan nahin hai udhar hai nazar men hamaari sab ki baat zulm hai qahr hai qayamat hai ghusse men us ke zer-e-lab ki baat kahte hain aage tha buton men rahm hai KHuda jaaniye ye kab ki baat go ki aatish-zabaan the aage meer ab ki kahiye gaii vo tab ki baat

Meer Taqi Meer

1 likes

shab tha naalaan aziz koi tha murg-e-khush-khwaan aziz koi tha thii tumhaare sitam ki taab us tak sabr jo yaa aziz koi tha shab ko us ka khayal tha dil men ghar men mehmaan aziz koi tha chaah beja na thii zulekha ki maah-e-kanaan aziz koi tha ab to us ki gali men khaar hai lek meer be-jaan aziz koi tha

Meer Taqi Meer

0 likes

khat likh ke koi saada na us ko malool ho ham to hooñ bad-gumaan jo qaasid-e-rasool ho chaahoon to bhar ke kaulee utha luun abhii tumhein kaise hi bhari ho mire aage to phool ho surma jo noor bakshe hai aankhoñ ko khalk ki shaayad ki raah-e-yaar ki hi KHaak dhool ho jaaven nisaar hone ko ham kis bisaat par ik neem jaañ rakhen hain so vo jab qubool ho ham in dinon men lag nahin padte hain subh-o-shaam warna dua karen to jo chahein husool ho dil le ke launde dilli ke kab ka pacha ga.e ab un se khaai pee hui shay kiya vasool ho naakaam is li.e ho ki chaaho ho sab kuchh aaj tum bhi to meer saahib-o-qibla ajuul ho

Meer Taqi Meer

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Meer Taqi Meer.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.