mehr ki tujh se tavakko thii sitamgar niklaa mom samjhe the tire dil ko so patthar niklaa daagh hooñ rask-e-mohabbat se ki itnaa betaab kis ki taskin ke li.e ghar se tu baahar niklaa jeete jee aah tire kooche se koi na fira jo sitam-deeda raha ja ke so mar kar niklaa dil ki aabaa dii ki is had hai kharaabi ki na pooch jaana jaata hai ki us raah se lashkar niklaa ashk-e-tar qatra-e-khoon lakht-e-jigar paara-e-dil ek se ek addad aankh se bah kar niklaa kunj-kaavi jo ki seene ki gham-e-hijraan ne is dafneene men se aqsaam-e-jawaahar niklaa ham ne jaana tha likhega tu koi harf ai meer par tira naama to ik shauq ka daftar niklaa
Related Ghazal
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya
Tehzeeb Hafi
203 likes
koi itnaa pyaara kaise ho saka hai phir saare ka saara kaise ho saka hai kaise kisi ki yaad ha men zinda rakhti hai ek khayal sahaara kaise ho saka hai tujh se jab mil kar bhi udaasi kam nahin hoti tere baghair guzaara kaise ho saka hai yaar hawa se kaise aag bhadak uthatii hai lafz koi angaara kaise ho saka hai kaun zamaane-bhar ki thokren kha kar KHush hai dard kisi ko pyaara kaise ho saka hai ham bhi kaise ek hi shaKHs ke ho kar rah jaayen vo bhi sirf hamaara kaise ho saka hai kaise ho saka hai jo kuchh bhi main chaahoon bol na mere yaara kaise ho saka hai
Jawwad Sheikh
39 likes
More from Meer Taqi Meer
yuñ hi hairaan-o-khafa jon ghuncha-e-tasveer hon umr guzri par na jaana main ki kyun dil-geer hon itni baatein mat banaa mujh shefate se naaseha pand ke laayeq nahin main qaabil-e-zanjeer hon surkh rahtii hain mirii aañkhen lahu rone se shaikh may agar saabit ho mujh par waajib al-taazeer hooñ ne falak par raah mujh ko ne zameen par rau mujhe aise kis mahroom ka men shor-e-be-taaseer hooñ jon kamaan garche khameeda hooñ pe chhoota aur wahinus ke kooche ki taraf chalne ko yaaro teer hooñ jo mire hisse men aave tegh-e-jamadhar sail-o-kaard ye fuzooli hai ki main hi kushta-e-shamsheer hooñ khol kar deevaan meraa dekh qudrat muddai garche hooñ main naujavaan par sha'iron ka peer hooñ yuñ saadat ek jamdhar mujh ko bhi guzaariye munsifi kijeye to main to mahaj be-taqseer hooñ is qadar be-nang khabton ko naseehat shaikh-ji baaz aao warna apne naam ko main meer hooñ
Meer Taqi Meer
0 likes
tang aa.e hain dil us jee se utha baithege bhookhon marte hain kuchh ab yaar bhi kha baithege ab ke bigdegi agar un se to is shahar se ja kaso veeraane men takiya hi banaa baithege ma'arka garm to tak hone do khuun-rezi ka pahle talwaar ke neeche humeen ja baithege hogaa aisa bhi koi roz ki majlis se kabhu ham to ek-aadh ghadi uth ke juda baithege ja na izhaar-e-mohabbat pe havasnaakon ki vaqt ke vaqt ye sab munh ko chhupa baithege dekhen vo ghairat-e-khursheed kahaan jaata hai ab sar-e-raah dam-e-subh se aa baithege bheed taltee hi nahin aage se us zalim ke gardanen yaar kisi roz kata baithege kab talak galiyon men saudaai se firte rahiye dil ko us zulf-e-musalsal se laga baithege shola-afshaan agar aisi hi rahi aah to meer ghar ko ham apne kaso raat jala baithege
Meer Taqi Meer
1 likes
ab meer'-ji to achchhe zindeeq hi ban baithe peshaani pe de qashka zunnar pahan baithe aazurda dil-e-ulfat ham chupke hi behtar hain sab ro uthegi majlis jo kar ke sukhun baithe uryaan phiren kab tak ai kaash kahii aa kar ta gard biyaabaan ki baala-e-badan baithe paikaan-e-khadang us ka yuñ seene ke udhar hai jon maar-e-siyah koi kaadhe hue fan baithe juz khat ke khayal us ke kuchh kaam nahin ham ko sabzi pi.e ham akshar rahte hain magan baithe shamsher-e-sitam us ki ab go ka chale har-dam shoreeda-sar apne se ham baandh kafan baithe bas ho to idhar-udhar yuñ firne na den tujh ko naachaar tire ham ye dekhen hain chalan baithe
Meer Taqi Meer
0 likes
shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka
Meer Taqi Meer
0 likes
boo ki ho soo-e-baagh nikle hai baav se ik dimaagh nikle hai hai jo andher shahar men khurshid din ko le kar charaaghh nikle hai chob-kaari hi se rahega shaikh ab to le kar chumaagh nikle hai de hai jumbish jo waan ki KHaak ko baav jigar daagh daagh nikle hai har sehar haadisa mirii khaatir bhar ke khun ka ayaagh nikle hai us gali ki zameen-e-tafta se dil-jalon ka suraagh nikle hai shaayad us zulf se lagii hai meer baav men ik dimaagh nikle hai
Meer Taqi Meer
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meer Taqi Meer.
Similar Moods
More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.







