chahta ye hooñ ki benaam-o-nishaan ho jaaun shaam ki tarah jaloon aur dhuaan ho jaaun pahle dahleez pe raushan karoon aankhoñ ke charaaghh aur phir KHud kisi parde men nihaan ho jaaun tod kar fenk doon ye firqa-parasti ke mahal aur peshaani pe sajde ka nishaan ho jaaun dil se phir dard mahakne ki sadaaein utthen kaash aisa ho main teri rag-e-jaan ho jaaun bas tire zikr men kat jaayen mire roz-o-shab noor ki shaakh pe chidiyon ki zabaan ho jaaun KHaak jis kooche ki malte hain farishte aa kar main usii KHaak ke zarron men nihaan ho jaaun meri aawaara-mizaaji ko sukoon mil jaa.e dard ban kar tire seene men ravaan ho jaaun
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
More from Azm Shakri
jitna teraa hukm tha utni sanwaari zindagi apni marzi se kahaan ham ne guzaari zindagi mere andar ik naya gham roz rakh jaata hai kaun rafta rafta ho rahi hai aur bhari zindagi rooh ki taskin ke saare dariche khul ga.e dard ke pahluu men jab aayi hamaari zindagi sirf thii khaana-badoshi ya mohabbat ka junoon hijraten karta raha ik shaKHs saari zindagi ek lafz-e-kun kaha aabaad sannaate hue aasmaanon se zameenon par utaari zindagi
Azm Shakri
9 likes
dil men hasrat koi bachi hi nahin aag aisi lagii bujhi hi nahin us ne jab KHud ko be-naqaab kiya phir kisi ki nazar u thii hi nahin jaisa is baar khul ke roye ham aisi baarish k abhii hui hi nahin zindagi ko gale lagaate kya zindagi umr-bhar mili hi nahin muntazir kab se chaand chat par hai koi khidki abhii khulii hi nahin main jise apni zindagi samjha sach to ye hai vo meri thii hi nahin
Azm Shakri
4 likes
KHoon aañsu ban gaya aankhoñ men bhar jaane ke baad aap aa.e to magar toofaan guzar jaane ke baad chaand ka dukh baantne nikle hain ab ahl-e-wafa raushni ka saara sheeraza bikhar jaane ke baad hosh kya aaya musalsal jal raha hooñ hijr men ik sunhari raat ka nashsha utar jaane ke baad zakham jo tum ne diya vo is li.e rakha haraa zindagi men kya bachega zakham bhar jaane ke baad shaam hote hi charaaghon se tumhaari guftugoo ham bahut masroof ho jaate hain ghar jaane ke baad zindagi ke naam par ham umar bhar jeete rahe zindagi ko ham ne paaya bhi to mar jaane ke baad
Azm Shakri
12 likes
ye mat kaho ki bheed men tanhaa khada hooñ main takra ke aabgeene se patthar hua hooñ main aankhoñ ke junglon men mujhe mat karo talash daaman pe aañsuon ki tarah aa gaya hooñ main yuñ be-rukhi ke saath na munh fer ke guzar ai sahib-e-jamaal tira aaina hooñ main yuñ baar baar mujh ko sadaaein na deejie ab vo nahin raha hooñ koi doosra hooñ main meri buraaiyon pe kisi ki nazar nahin sab ye samajh rahe hain badaa paarsa hooñ main vo be-vafa samajhta hai mujh ko use kaho aankhoñ men us ke KHvaab li.e phir raha hooñ main
Azm Shakri
4 likes
laakhon sad men dheron gham phir bhi nahin hain aañkhen nam ik muddat se roye nahin kya patthar ke ho ga.e ham yoon palkon pe hain aañsu jaise phoolon par shabnam khwaab men vo aa jaate hain itnaa to rakhte hain bharam ham us bastii men hain jahaan dhoop ziyaada saa.e kam ab zaKHmon men taab nahin ab kyuuñ laaye ho marham
Azm Shakri
13 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Azm Shakri.
Similar Moods
More moods that pair well with Azm Shakri's ghazal.







