chak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand apni taqdir kahan bhuul gaya eid ka chand un ke abru-e-khamida ki tarah tikha hai apni ankhon men badi der chhupa eid ka chand jaane kyuun aap ke rukhsar mahak uthte hain jab kabhi kaan men chupke se kaha eid ka chand duur viran basere men diya ho jaise ghham ki divar se dekha to laga eid ka chand le ke halat ke sahraon men aa jaata hai aaj bhi khuld ki rangin faza eid ka chand talkhiyan badh gaiin jab ziist ke paimane men ghol kar dard ke maron ne piya eid ka chand chashm to vusat-e-aflak men khoi 'saghhar' dil ne ik aur jagah dhund liya eid ka chand chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand apni taqdir kahan bhul gaya eid ka chand un ke abru-e-khamida ki tarah tikha hai apni aankhon mein badi der chhupa eid ka chand jaane kyun aap ke rukhsar mahak uthte hain jab kabhi kan mein chupke se kaha eid ka chand dur viran basere mein diya ho jaise gham ki diwar se dekha to laga eid ka chand le ke haalat ke sahraon mein aa jata hai aaj bhi khuld ki rangin faza eid ka chand talkhiyan badh gain jab zist ke paimane mein ghol kar dard ke maron ne piya eid ka chand chashm to wusat-e-aflak mein khoi 'saghar' dil ne ek aur jagah dhund liya eid ka chand
Related Ghazal
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha
Zubair Ali Tabish
48 likes
dar hai ghar men kaise bola jaayega chhodo jo bhi hogaa dekha jaayega number likhkar haathon men pakda dena tere ghar ik chhota bachcha jaayega main bas uskaa chehra padhkar jaaunga meraa paper sabse achha jaayega
Vishal Singh Tabish
33 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
zindagi bhar phool hi bhijwaoge ya kisi din KHud bhi milne aaoge paihredaaron se bachoonga kab talak dost tum ek din mujhe marwaoge KHud ko aaiine men kam dekha karo ek din soorj-mukhi ban jaaoge
Tehzeeb Hafi
88 likes
More from Saghar Siddiqui
main talkhi-e-hayaat se ghabra ke pee gaya gham ki siyaah raat se ghabra ke pee gaya itni daqeeq shay koi kaise samajh sake yazdaan ke waqiaat se ghabra ke pee gaya chalke hue the jaam pareshaan thii zulf-e-yaar kuchh aise haadsaat se ghabra ke pee gaya main aadmi hooñ koi farishta nahin huzoor main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya duniya-e-haadsaat hai ik dardnaak geet duniya-e-haadsaat se ghabra ke pee gaya kaañte to KHair kaañte hain is ka gilaa hi kya phoolon ki waardaat se ghabra ke pee gaya saaghar vo kah rahe the ki pee leejie huzoor un ki guzaarishaat se ghabra ke pee gaya
Saghar Siddiqui
3 likes
ai dil-e-be-qaraar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja ab na aayenge roothne waale deeda-e-ashk-baar chup ho ja ja chuka kaarvaan-lala-o-gul ud raha hai ghubaar chup ho ja chhoot jaati hai phool se khushboo rooth jaate hain yaar chup ho ja ham faqeeron ka is zamaane men kaun hai gham-gusaar chup ho ja haadson ki na aankh khul jaa.e hasrat-e-sogvaar chup ho ja geet ki zarb se bhi ai saaghar toot jaate hain taar chup ho ja
Saghar Siddiqui
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saghar Siddiqui.
Similar Moods
More moods that pair well with Saghar Siddiqui's ghazal.







