dar-e-kaayenaat jo vaa kare usii aagahi ki talash hai mujhe raushni ki talash thii mujhe raushni ki talash hai gham-e-zindagi ke fishaar men tiri aarzoo ke ghubaar men isee be-hisi ke hisaar men mujhe zindagi ki talash hai ye jo sarsari si nashaat hai ye to chand lamhon ki baat hai mirii rooh tak jo utar sake mujhe us khushi ki talash hai ye jo aag si hai dabii dabii nahin dosto mire kaam ki vo jo ek aan men phoonk de usii sho lagii ki talash hai ye jo saakhta se hain qahqahe mire dil ko lagte hain bojh se vo jo apne aap men mast ho mujhe us hañsi ki talash hai ye jo mel-jol ki baat hai ye jo majlisi si hayaat hai mujhe is se koi garz nahin mujhe dosti ki talash hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
agar tu be-vafa hai dhyaan rakhna mujhe sab kuchh pata hai dhyaan rakhna bichhadte waqt hamne kah diya tha hamaara dil dukha hai dhyaan rakhna KHuda jiski mohabbat men banii ho vo kaiyon ka KHuda hai dhyaan rakhna jise tum dost keval jaanti ho vo tumko chahta hai dhyaan rakhna
Anand Raj Singh
54 likes
zindagi bhar phool hi bhijwaoge ya kisi din KHud bhi milne aaoge paihredaaron se bachoonga kab talak dost tum ek din mujhe marwaoge KHud ko aaiine men kam dekha karo ek din soorj-mukhi ban jaaoge
Tehzeeb Hafi
88 likes
bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main
Umair Najmi
55 likes
More from Amjad Islam Amjad
na aasmaañ se na dushman ke zor o zar se hua ye mojza to mire dast-e-be-hunar se hua qadam utha hai to paanv tale zameen hi nahin safar ka ranj ha men khwaahish-e-safar se hua main bheeg bheeg gaya aarzoo ki baarish men vo aks aks men taqseem chashm-e-tar se hua siyaahi shab ki na chehron pe aa gaii ho kahii sehar ka khauf ha men aainon ke dar se hua koi chale to zameen saath saath chalti hai ye raaz ham pe ayaan gard-e-rahguzar se hua tire badan ki mahak hi na thii to kya rukte guzar hamaara kaii baar yuñ to ghar se hua kahaan pe soye the amjad kahaan khuliin aañkhen gumaan qafas ka ha men apne baam-o-dar se hua
Amjad Islam Amjad
1 likes
parde men laakh phir bhi numoodaar kaun hai hai jis ke dam se garmi-e-baazaar kaun hai vo saamne hai phir bhi dikhaai na de sake mere aur us ke beech ye deewaar kaun hai baagh-e-wafaa men ho nahin saka ye faisla sayyaad yaa pe kaun girftaar kaun hai maana nazar ke saamne hai be-shumaar dhund hai dekhna ki dhund ke is paar kaun hai kuchh bhi nahin hai paas pe rehta hai phir bhi KHush sab kuchh hai jis ke paas vo bezaar kaun hai yuñ to dikhaai dete hain asraar har taraf khulta nahin ki saahib-e-asraar kaun hai amjad alag si aap ne khuli hai jo dukaaan jins-e-hunar ka yaa ye khareedaar kaun hai
Amjad Islam Amjad
0 likes
raat main is kashmakash men ek pal soya nahin kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin yuñ agar sochun to ik ik naqsh hai seene pe naqsh haaye vo chehra ki phir bhi aankh men banta nahin kyun udaati phir rahi hai dar-b-dar mujh ko hawa main agar ik shaakh se toota hua patta nahin aaj tanhaa hooñ to kitna ajnabi maahol hai ek bhi raaste ne tere shahar men roka nahin harf barg-e-khushk ban kar tootte girte rahe guncha-e-arz-e-tamanna hont par foota nahin dard ka rastaa hai ya hai saa'at-e-roz-e-hisaab saikron logon ko roka ek bhi thehra nahin shabnami aankhoñ ke jugnoo kaanpate honton ke phool ek lamha tha jo amjad aaj tak guzra nahin
Amjad Islam Amjad
0 likes
kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar azal ka rang hai jaise misaal se baahar to phir vo kaun hai jo maavra hai har shay se nahin hai kuchh bhi yahaañ gar khayal se baahar ye kaayenaat saraapa javaab hai jis ka vo ik sawaal hai phir bhi sawaal se baahar hai yaad ahl-e-watan yuñ ki reg-e-saahil par giri hui koi machhlii ho jaal se baahar ajeeb silsila-e-rang hai tamannaa bhi had-e-urooj se aage zawaal hai baahar na us ka ant hai koi na isti'aara hai ye daastaan hai hijr-o-visaal se baahar dua buzurgon ki rakhti hai zakham ulfat ko kisi ilaaj kisi indimaal se baahar bayaañ ho kis tarah vo kaifiyat ki hai amjad mirii talab se faraawan majaal se baahar
Amjad Islam Amjad
1 likes
yaad ke sehra men kuchh to zindagi aa.e nazar sochta hooñ ab banaa luun ret se hi koi ghar kis qadar yaaden ubhar aayi hain tere naam se ek patthar feknne se pad ga.e kitne bhanwar vaqt ke andhe kuein men pal rahi hai zindagi ai mire husn-e-takhayyul baam se neeche utar tu aseer-e-aabroo-e-sheva-e-pindaar-e-husn main giraftaar-e-nigaah-e-zindagi-e-mukhtasar zabt ke qarye men amjad dekhiye kaise kate soch ki sooni sadak par yaad ka lamba safar
Amjad Islam Amjad
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Amjad Islam Amjad.
Similar Moods
More moods that pair well with Amjad Islam Amjad's ghazal.







