kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar azal ka rang hai jaise misaal se baahar to phir vo kaun hai jo maavra hai har shay se nahin hai kuchh bhi yahaañ gar khayal se baahar ye kaayenaat saraapa javaab hai jis ka vo ik sawaal hai phir bhi sawaal se baahar hai yaad ahl-e-watan yuñ ki reg-e-saahil par giri hui koi machhlii ho jaal se baahar ajeeb silsila-e-rang hai tamannaa bhi had-e-urooj se aage zawaal hai baahar na us ka ant hai koi na isti'aara hai ye daastaan hai hijr-o-visaal se baahar dua buzurgon ki rakhti hai zakham ulfat ko kisi ilaaj kisi indimaal se baahar bayaañ ho kis tarah vo kaifiyat ki hai amjad mirii talab se faraawan majaal se baahar
Related Ghazal
abhii ik shor sa utha hai kahii koi KHaamosh ho gaya hai kahii hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh is se pahle bhi ho chuka hai kahii tujh ko kya ho gaya ki cheezein ko kahii rakhta hai dhoondhta hai kahii jo yahaañ se kahii na jaata tha vo yahaañ se chala gaya hai kahii aaj shamshaan ki si boo hai yahaañ kya koi jism jal raha hai kahii ham kisi ke nahin jahaan ke siva aisi vo khaas baat kya hai kahii tu mujhe dhundh main tujhe dhundhun koi ham men se rah gaya hai kahii kitnii vehshat hai darmiyaan-e-hujoom jis ko dekho gaya hua hai kahii main to ab shahar men kahii bhi nahin kya mira naam bhi likha hai kahii
Jaun Elia
40 likes
tum ne bhi un se hi milnaa hota hai jin logon se meraa jhagda hota hai us ke gaav ki ek nishaani ye bhi hai har nalke ka paani meetha hota hai main us shaKHs se thoda aage chaltaa hooñ jis ka main ne peecha karna hota hai bas halki si thokar maarni padti hai har patthar ke andar chashma hota hai tum meri duniya men bilkul aise ho taash men jaise hukum ka ikka hota hai kitne sukhe ped bacha sakte hain ham har jungle men lakkadhaara hota hai
Zia Mazkoor
30 likes
do navo par paanv pasaare aise kaise vo bhi pyaara ham bhi pyaare aise kaise suraj bola bin mere duniya andhi hai hañs kar bole chaand sitaare aise kaise tere hisse ki KHushiyon se bair nahin par mere haq men sirf khasaare aise kaise gaalon par bosa de kar jab chali gaii vo kahte rah ga.e hont bichaare aise kaise mujh jaison ko yaan par dekh ke kahte hain vo itnaa aage bina sahaare aise kaise jaise hi maqte par pahunchee ghazal asad ki bol uthe saare ke saare aise kaise
Asad Akbarabadi
28 likes
ye ishq vo hai jisne bahr-o-bar KHaraab kar diya ha men to usne jaise khaas kar KHaraab kar diya main dil pe haath rakh ke tujhko shahar bhej doon magar tujhe bhi un hawaon ne agar KHaraab kar diya kisi ne naam likh ke aur kisi ne peeng daal ke mohabbaton ki aad men shajar KHaraab kar diya tumhein hi dekhne men mahav hai vo kaam chhodkar tumhaari car ne to kaarigar KHaraab kar diya main qafile ke saath hooñ magar mujhe ye khauf hai agar kisi ne meraa hamsafar KHaraab kar diya teri nazar ke maqde tamaam shab khule rahe teri sharaab ne meraa jigar KHaraab kar diya
Tehzeeb Hafi
57 likes
KHushboo ke ehsaas pe bhaage paagal log mere jaise seedhe saadhe paagal log mere jaisa Dhoondh rahe ho sabr karo mil jaayenge mere jaise paagal log dost hamaare koshish karke haar ga.e paagal ko kitna samjhaate paagal log
Vishal Singh Tabish
23 likes
More from Amjad Islam Amjad
na aasmaañ se na dushman ke zor o zar se hua ye mojza to mire dast-e-be-hunar se hua qadam utha hai to paanv tale zameen hi nahin safar ka ranj ha men khwaahish-e-safar se hua main bheeg bheeg gaya aarzoo ki baarish men vo aks aks men taqseem chashm-e-tar se hua siyaahi shab ki na chehron pe aa gaii ho kahii sehar ka khauf ha men aainon ke dar se hua koi chale to zameen saath saath chalti hai ye raaz ham pe ayaan gard-e-rahguzar se hua tire badan ki mahak hi na thii to kya rukte guzar hamaara kaii baar yuñ to ghar se hua kahaan pe soye the amjad kahaan khuliin aañkhen gumaan qafas ka ha men apne baam-o-dar se hua
Amjad Islam Amjad
1 likes
aainon men aks na hon to hairat rahtii hai jaise khaali aankhoñ men bhi vehshat rahtii hai har dam duniya ke hangaa men ghere rakhte the jab se tere dhyaan lage hain furqat rahtii hai karne hai to khul ke karo inkaar-e-wafa ki baat baat adhuri rah jaa.e to hasrat rahtii hai shehar-e-sukhan men aisa kuchh kar izzat ban jaa.e sab kuchh miTTi ho jaata hai izzat rahtii hai bante bante dhah jaati hai dil ki har taameer KHvaahish ke bharoop men shaayad qismat rahtii hai saa.e larzate rahte hain shehron ki galiyon men rahte the insaan jahaan ab dahshat rahtii hai mausam koi KHushboo le kar aate jaate hain kya kya ham ko raat ga.e tak vehshat rahtii hai dhyaan men mela sa lagta hai beetii yaadon ka akshar us ke gham se dil ki sohbat rahtii hai phoolon ki takhti par jaise rangon ki tahreer lauh-e-sukhan par aise amjad shohrat rahtii hai
Amjad Islam Amjad
0 likes
parde men laakh phir bhi numoodaar kaun hai hai jis ke dam se garmi-e-baazaar kaun hai vo saamne hai phir bhi dikhaai na de sake mere aur us ke beech ye deewaar kaun hai baagh-e-wafaa men ho nahin saka ye faisla sayyaad yaa pe kaun girftaar kaun hai maana nazar ke saamne hai be-shumaar dhund hai dekhna ki dhund ke is paar kaun hai kuchh bhi nahin hai paas pe rehta hai phir bhi KHush sab kuchh hai jis ke paas vo bezaar kaun hai yuñ to dikhaai dete hain asraar har taraf khulta nahin ki saahib-e-asraar kaun hai amjad alag si aap ne khuli hai jo dukaaan jins-e-hunar ka yaa ye khareedaar kaun hai
Amjad Islam Amjad
0 likes
auron ka tha bayaan to mauj sadaa rahe KHud umr bhar aseer-e-lab-e-muddaa rahe misl-e-habaab behr-e-gham-e-haadsaat men ham zer-e-baar-e-minnat-e-aab-o-hawaa rahe ham us se apni baat ka maange agar javaab lehron ka pech-o-kham vo khada dekhta rahe aaya to apni aankh bhi apni na ban saki ham sochte the us se kabhi saamna rahe gulshan men the to rounaq-e-rang-e-chaman bane jungle men ham amanat-e-baad-e-saba rahe surkhi bane to khun-e-shaheedaan ka rang the raushan hue to mash'al-e-raah-e-baqa rahe amjad dar-e-nigaar pe dastak hi deejie is be-karaan sukoot men kuchh ghalghala rahe
Amjad Islam Amjad
0 likes
bheed men ik ajnabi ka saamna achha laga sab se chhup kar vo kisi ka dekhna achha laga sur main aankhoñ ke neeche phool se khilne lage kahte kahte kuchh kisi ka sochna achha laga baat to kuchh bhi nahin theen lekin us ka ek dam haath ko honton pe rakh kar rokna achha laga chaai men cheeni milaana us ghadi bhaaya bahut zer-e-lab vo muskurata shukriya achha laga dil men kitne ahd baandhe the bhulaane ke use vo mila to sab iraade todna achha laga be-iraada lams ki vo sansanee pyaari lagii kam tavajjoh aankh ka vo dekhna achha laga neem-shab ki khaamoshi men bheegti sadkon pe kal teri yaadon ke jilau men ghoomna achha laga is adoo-e-jaan ko amjad main bura kaise kahooñ jab bhi aaya saamne vo be-vafa achha laga
Amjad Islam Amjad
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Amjad Islam Amjad.
Similar Moods
More moods that pair well with Amjad Islam Amjad's ghazal.







