ghazalKuch Alfaaz

dariya ho ya pahad ho takrana chahiye jab tak na saans tuute jiye jaana chahiye yuun to qadam qadam pe hai divar samne koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye jhukti hui nazar ho ki simta hua badan har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye chaurahe baaghh buildingen sab shahr to nahin kuchh aise vaise logon se yarana chahiye apni talash apni nazar apna tajraba rasta ho chahe saaf bhatak jaana chahiye chup chup makan raste gum-sum nidhal vaqt is shahr ke liye koi divana chahiye bijli ka qumquma na ho kaala dhuan to ho ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye dariya ho ya pahad ho takrana chahiye jab tak na sans tute jiye jaana chahiye yun to qadam qadam pe hai diwar samne koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye jhukti hui nazar ho ki simta hua badan har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye chaurahe bagh buildingen sab shahr to nahin kuchh aise waise logon se yarana chahiye apni talash apni nazar apna tajraba rasta ho chahe saf bhatak jaana chahiye chup chup makan raste gum-sum nidhaal waqt is shahr ke liye koi diwana chahiye bijli ka qumquma na ho kala dhuan to ho ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye

Related Ghazal

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai

Tehzeeb Hafi

182 likes

jab se usne kheecha hai khidki ka parda ek taraf uskaa kamra ek taraf hai baaki duniya ek taraf maine ab tak jitne bhi logon men KHud ko baanta hai bachpan se rakhta aaya hooñ teraa hissa ek taraf ek taraf mujhe jal dii hai uske dil men ghar karne ki ek taraf vo kar deta hai rafta rafta ek taraf yuñ to aaj bhi teraa dukh dil dahla deta hai lekin tujh se juda hone ke baad ka pehla hafta ek taraf uski aankhoñ ne mujhse meri khuddaari cheeni varna paanv ki thokar se kar deta tha main duniya ek taraf meri marzi thii main zarre chunta ya lahren chunta usne sehra ek taraf rakha aur dariyaa ek taraf

Tehzeeb Hafi

122 likes

More from Nida Fazli

chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain

Nida Fazli

0 likes

har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho agar na ho kahii aisa to ehtijaaj bhi ho rahegi va'don men kab tak aseer khush-haali har ek baar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaaba to aur kya karte tumhaare shahar men kuchh aur kaam-kaaj bhi ho hukoomaton ko badalna to kuchh muhaal nahin hukoomatein jo badalta hai vo samaaj bhi ho badal rahe hain kaii aadmi darindon men marz puraana hai is ka naya ilaaj bhi ho akelaa gham se nayi shaayri nahin hoti zabaan-e-'meer men ghalib ka imtizaaj bhi ho

Nida Fazli

0 likes

kath-putli hai ya jeevan hai jeete jaao socho mat soch se hi saari uljhan hai jeete jaao socho mat likha hua kirdaar kahaanii men hi chaltaa firta hai kabhi hai doori kabhi milan hai jeete jaao socho mat naach sako to naacho jab thak jaao to aaraam karo tedha kyun ghar ka aangan hai jeete jaao socho mat har mazhab ka ek hi kehna jaisa maalik rakhe rahna jab tak saanson ka bandhan hai jeete jaao socho mat ghoom rahe hain bazaaron men sarmaayein ke aatish-daan kis bhatti men kaun eendhan hai jeete jaao socho mat

Nida Fazli

1 likes

vaqt banjaara-sifat lamha b lamha apna kis ko maaloom yahaañ kaun hai kitna apna jo bhi chahe vo banaa le use apne jaisa kisi aaiine ka hota nahin chehra apna KHud se milne ka chalan aam nahin hai warna apne andar hi chhupa hota hai rastaa apna yuñ bhi hota hai vo khoobi jo hai ham se mansoobus ke hone men nahin hota iraada apna khat ke aaKHir men sabhi yuñ hi raqam karte hainus ne rasman hi likha hogaa tumhaara apna

Nida Fazli

3 likes

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.