dhal chuki raat mulaqat kahan so jaao so gaya saara jahan saara jahan so jaao so gae vahm-o-guman vahm-o-guman so jaao so gaya dard-e-nihan dard-e-nihan so jaao kab talak dida-e-nam dida-e-nam dida-e-nam kab talak ah-o-fughhan ah-o-fughhan so jaao aah ab tuut chala tuut chala tuut chala aah ye rishta-e-jan rishta-e-jan so jaao uth chale dil ke makin dil ke makin dil ke makin lut gaya saara makan saara makan so jaao dhal chuki raat mulaqat kahan so jao so gaya sara jahan sara jahan so jao so gae wahm-o-guman wahm-o-guman so jao so gaya dard-e-nihan dard-e-nihan so jao kab talak dida-e-nam dida-e-nam dida-e-nam kab talak aah-o-fughan aah-o-fughan so jao aah ab tut chala tut chala tut chala aah ye rishta-e-jaan rishta-e-jaan so jao uth chale dil ke makin dil ke makin dil ke makin lut gaya sara makan sara makan so jao
Related Ghazal
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi
Zubair Ali Tabish
58 likes
har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai tumheen kaho ki ye andaaz-e-guftugu kya hai na shole men ye karishma na barq men ye ada koi batao ki vo shokh-e-tund-khoo kya hai ye rashk hai ki vo hota hai hum-sukhan tum se vagarna khauf-e-bad-aamoozi-e-adu kya hai chipak raha hai badan par lahu se pairaahan hamaare jaib ko ab haajat-e-rafu kya hai jala hai jism jahaan dil bhi jal gaya hogaa kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai ragon men daudte firne ke ham nahin qaail jab aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai vo cheez jis ke li.e ham ko ho behisht aziz sivaae baada-e-gulfaam-e-mushk-boo kya hai piyuun sharaab agar khum bhi dekh luun do-chaar ye sheesha o qadah o kuzaa o suboo kya hai rahi na taqat-e-guftaar aur agar ho bhi to kis umeed pe kahiye ki aarzoo kya hai hua hai shah ka musahib phire hai itraata vagarna shahar men ghalib ki aabroo kya hai
Mirza Ghalib
32 likes
chal khwaahish ki baat karenge khaali dish ki baat karenge pahle pyaase to ban jaao phir baarish ki baat karenge aanaa toota rishta lekar gunjaish ki baat karenge bande ik do sajde karke basaaoge ki baat karenge tum auron ke she'r sunaao ham taabish ki baat karenge
Zubair Ali Tabish
37 likes
yuñ apni pyaas ki KHud hi kahaanii likh rahe the ham sulagti ret pe ungli se paani likh rahe the ham miyaan bas maut hi sach hai vahaañ ye likh gaya koi jahaan par zindagaani zindagaani likh rahe the ham mile tujh se to duniya ko suhaani likh diya ham ne vagarna kab se us ko be-maa'ni likh rahe the ham humeen pe gir padi kal raat vo deewaar ro ro kar ki jis pe apne maazi ki kahaanii likh rahe the ham
Varun Anand
27 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Javed Kamal Rampuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Javed Kamal Rampuri's ghazal.







