ghazalKuch Alfaaz

dhuup men niklo ghataon men naha kar dekho zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho sirf ankhon se hi duniya nahin dekhi jaati dil ki dhadkan ko bhi binai bana kar dekho pattharon men bhi zaban hoti hai dil hote hain apne ghar ke dar-o-divar saja kar dekho vo sitara hai chamakne do yunhi ankhon men kya zaruri hai use jism bana kar dekho fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai vo mile ya na mile haath badha kar dekho dhup mein niklo ghataon mein naha kar dekho zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho sirf aankhon se hi duniya nahin dekhi jati dil ki dhadkan ko bhi binai bana kar dekho pattharon mein bhi zaban hoti hai dil hote hain apne ghar ke dar-o-diwar saja kar dekho wo sitara hai chamakne do yunhi aankhon mein kya zaruri hai use jism bana kar dekho fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai wo mile ya na mile hath badha kar dekho

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Nida Fazli

chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain

Nida Fazli

0 likes

raakshas tha na KHuda tha pahle aadmi kitna badaa tha pahle aasmaañ khet samundar sab laal KHoon kaaghaz pe ugaa tha pahle main vo maqtool jo qaateel na banaa haath meraa bhi utha tha pahle ab kisi se bhi shikaayat na rahi jaane kis kis se gilaa tha pahle shahar to baa'd men veeraan hua meraa ghar KHaak hua tha pahle

Nida Fazli

2 likes

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf kahaan hai shahar men ab koi zindagi ki taraf sabhi ki nazaron men ghaaeb tha jo vo haazir tha kisi ne ruk ke nahin dekha aadmi ki taraf tamaam shahar ki shamaein usii se raushan theen kabhi ujaala bahut tha kisi gali ki taraf kahii ki bhook ho har khet us ka apna hai kahii ki pyaas ho jaayegi vo na dii ki taraf na nikle KHair se allaama qaul se baahar yagaana toot ga.e jab chale khu dii ki taraf

Nida Fazli

0 likes

girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya

Nida Fazli

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.