divana banana hai to divana bana de varna kahin taqdir tamasha na bana de ai dekhne vaalo mujhe hans hans ke na dekho tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de main dhundh raha huun miri vo shama kahan hai jo bazm ki har chiiz ko parvana bana de akhir koi surat bhi to ho khana-e-dil ki kaaba nahin banta hai to but-khana bana de 'bahzad' har ik gaam pe ik sajda-e-masti har zarre ko sang-e-dar-e-janana bana de diwana banana hai to diwana bana de warna kahin taqdir tamasha na bana de ai dekhne walo mujhe hans hans ke na dekho tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de main dhundh raha hun meri wo shama kahan hai jo bazm ki har chiz ko parwana bana de aakhir koi surat bhi to ho khana-e-dil ki kaba nahin banta hai to but-khana bana de 'bahzad' har ek gam pe ek sajda-e-masti har zarre ko sang-e-dar-e-jaanana bana de
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
More from Behzad Lakhnavi
mohabbat mustaqil kaif-aafareen maaloom hoti hai khalish dil men jahaan par thii wahin maaloom hoti hai tire jalvo se takra kar nahin maaloom hoti hai nazar bhi ek mauj-e-tah-nasheen maaloom hoti hai nukush-e-paa ke sadqe bandagi-ishq ke qurbaan mujhe har samt apni hi jabeen maaloom hoti hai mirii rag rag men yuñ to daudti hai ishq ki bijli kahii zaahir nahin hoti kahii maaloom hoti hai ye ejaz-e-nazar kab hai ye kab hai husn ki kaavish haseen jo cheez hoti hai haseen maaloom hoti hai umeedein tod de mire dil-e-muztar khuda-haafiz zabaan-e-husn par ab tak nahin maaloom hoti hai use kyun may-kada kahtaa hai batla de mire saaqi yahaañ ki sar-zameen khuld-e-bareen maaloom hoti hai are ai chaara-gar haan haan khalish tu jis ko kahtaa hai ye shay dil men nahin dil ke qareen maaloom hoti hai kisi ke paa-e-naazuk par jhuki hai aur nahin uthatii mujhe bahzaad ye apni jabeen maaloom hoti hai
Behzad Lakhnavi
0 likes
ik be-vafa ko dard ka darmaan banaa liya ham ne to aah kufr ko eemaan banaa liya dil ki khalish-pasandiyaan hain ki allah ki panaah teer-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaan banaa liya mujh ko khabar nahin mire dil ko khabar nahin kis ki nazar ne banda-e-ehsaan banaa liya mehsoos kar ke ham ne mohabbat ka har alam khwaab-e-subuk ko khwaab-e-pareshaan banaa liya dast-e-junoon ki uqda-kushaai to dekhiye daaman ko be-niyaaz garebaan banaa liya taskin-e-dil ki ham ne bhi parwaah chhod dii har mauj-e-gham ko haasil-e-toofan banaa liya jab un ka naam aa gaya ham muztarib hue aahon ko apni zeest ka unwaan banaa liya ham ne to apne dil men vo gham ho ki ho alam jo koi aa gaya use mehmaan banaa liya aaina dekhne ki zaroorat na thii koi apne ko KHud hi aap ne hairaan banaa liya ik be-wafa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar bahzaad ham ne KHud ko pareshaan banaa liya
Behzad Lakhnavi
0 likes
dil miraa teraa taab-e-farmaan hai kya karoon ab teraa kufr hi miraa eemaan hai kya karoon ba-hosh hooñ magar miraa daaman hai chaak chaak aalam ye dekh dekh ke hairaan hai kya karoon har tarah ka sukoon hai har tarah ka hai kaif phir bhi ye miraa qalb pareshaan hai kya karoon kahtaa nahin hooñ aur zamaana hai ba-khabar chehre se dil ka haal numayaan hai kya karoon daaman karoon na chaak ye mumkin to hai magar muztar har ek taar-e-garebaan hai kya karoon saada sa ik varq hooñ kitaab-e-hayaat ka hasrat se ab na ab koi armaan hai kya karoon har samt pa raha hooñ vahii rang-e-dil-fareb haathon men kufr ke miraa eemaan hai kya karoon daaghoon ka qalb-e-zaar se mumkin to hai ilaaj un ke hi dam se dil men charaaghaan hai kya karoon ik be-wafa ke vaaste se sab kuchh luta diya bahzaad ab na deen na eemaan hai kya karoon
Behzad Lakhnavi
0 likes
KHuda ko dhundh raha tha kahii KHuda na mila zahe-naseeb ki bande ko muddaa na mila nigaah-e-shauq men be-nooriyon ka rang badha nigaah-e-shauq ko jab koi doosra na mila ham apni be-khudi-e-shauq par nisaar rahe khu dii ko Dhoondh liya jab ha men KHuda na mila tumhaari bazm men lab khol kar hua KHaamosh vo bad-naseeb jise koi aasraa na mila har ek zarre men main KHud to aa raha tha nazar ajeeb baat tumhaara kahii pata na mila bas ik sukoon hi ham ko na mil sakaa ta-umr wagarana tere tasadduq men ham ko kya na mila tiri nigaah-e-mohabbat-nawaaz hi ki qasam ki aaj tak to ha men tujh sa doosra na mila tira jamaal fazaaon men muntashir tha magar nigaah-e-shauq ko phir bhi tira pata na mila hazaar thokren khaaiin hazaar soo bahzaad jahaan-e-husn men koi bhi ba-wafa na mila
Behzad Lakhnavi
0 likes
hai khird-man dii yahii ba-hosh deewaana rahe hai vahii apna ki jo apne se begaana rahe kufr se ye iltijaaein kar raha hooñ baar baar jaaun to kaa'ba magar rukh soo-e-may-khaana rahe sham-e-sozaan kuchh khabar bhi hai tujhe o mast-e-gham husn-e-mahfil hai jabhi jab tak ki parwaana rahe zakhm-e-dil ai zakhm-e-dil naasoor kyun banta nahin lutf to jab hai ki afsaane men afsaana rahe ham ko waiz ka bhi dil rakhna hai saaqi ka bhi dil ham to tauba kar ke bhi paaband-e-may-khaana rahe aakhirsh kab tak raheingi husn ki naadaaniyaañ husn se poochho ki kab tak ishq deewaana rahe faiz-e-raah-e-ishq hai ya faiz-e-jazb-e-ishq hai ham to manzil pa ke bhi manzil se begaana rahe may-kade men ham duaaein kar rahe hain baar baar is taraf bhi chashm-e-mast-e-peer-e-may-khaana rahe aaj to saaqi se ye bahzaad ne baandha hai ahd lab pe tauba ho magar haathon men paimaana rahe
Behzad Lakhnavi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Behzad Lakhnavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Behzad Lakhnavi's ghazal.







