hai khird-man dii yahii ba-hosh deewaana rahe hai vahii apna ki jo apne se begaana rahe kufr se ye iltijaaein kar raha hooñ baar baar jaaun to kaa'ba magar rukh soo-e-may-khaana rahe sham-e-sozaan kuchh khabar bhi hai tujhe o mast-e-gham husn-e-mahfil hai jabhi jab tak ki parwaana rahe zakhm-e-dil ai zakhm-e-dil naasoor kyun banta nahin lutf to jab hai ki afsaane men afsaana rahe ham ko waiz ka bhi dil rakhna hai saaqi ka bhi dil ham to tauba kar ke bhi paaband-e-may-khaana rahe aakhirsh kab tak raheingi husn ki naadaaniyaañ husn se poochho ki kab tak ishq deewaana rahe faiz-e-raah-e-ishq hai ya faiz-e-jazb-e-ishq hai ham to manzil pa ke bhi manzil se begaana rahe may-kade men ham duaaein kar rahe hain baar baar is taraf bhi chashm-e-mast-e-peer-e-may-khaana rahe aaj to saaqi se ye bahzaad ne baandha hai ahd lab pe tauba ho magar haathon men paimaana rahe
Related Ghazal
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho
Jawwad Sheikh
50 likes
khayal men bhi use be-rida nahin kiya hai ye zulm mujhse nahin ho sakaa nahin kiya hai main ek shaKHs ko eimaan jaanta hooñ to kya KHuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai isi li.e to main roya nahin bichhadte samay tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai
Ali Zaryoun
48 likes
kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne men kat rahi hai ki ye udaasi hamaare jismoon se kis khushi men lipt rahi hai ajeeb dukh hai ham us ke hokar bhi us ko choone se dar rahe hain ajeeb dukh hai hamaare hisse ki aag auron men bat rahi hai main us ko har roz bas yahii ek jhooth sunne ko phone karta suno yahaañ koi mas’ala hai tumhaari awaaz kat rahi hai mujh aise pedon ke sookhne aur sabz hone se kya kisi ko ye bel shaayad kisi museebat men hai jo mujh se lipt rahi hai ye vaqt aane pe apni aulaad apne azdaad bech degi jo fauj dushman ko apna saalar girvi rakh kar palat rahi hai so is ta'alluq men jo galat-fahmiyaan theen ab door ho rahi hain ruki hui gaadiyon ke chalne ka vaqt hai dhundh chhat rahi hai
Tehzeeb Hafi
88 likes
ye alag baat muqaddar nahin badla apna ek hi dar pe rahe dar nahin badla apna ishq ka khel hai shatranj nahin hai saahib maat khaai hai magar ghar nahin badla apna jaane kis vaqt achaanak use yaad aa jaa.e maine ye soch ke number nahin badla apna
Aadil Rasheed
33 likes
More from Behzad Lakhnavi
mohabbat mustaqil kaif-aafareen maaloom hoti hai khalish dil men jahaan par thii wahin maaloom hoti hai tire jalvo se takra kar nahin maaloom hoti hai nazar bhi ek mauj-e-tah-nasheen maaloom hoti hai nukush-e-paa ke sadqe bandagi-ishq ke qurbaan mujhe har samt apni hi jabeen maaloom hoti hai mirii rag rag men yuñ to daudti hai ishq ki bijli kahii zaahir nahin hoti kahii maaloom hoti hai ye ejaz-e-nazar kab hai ye kab hai husn ki kaavish haseen jo cheez hoti hai haseen maaloom hoti hai umeedein tod de mire dil-e-muztar khuda-haafiz zabaan-e-husn par ab tak nahin maaloom hoti hai use kyun may-kada kahtaa hai batla de mire saaqi yahaañ ki sar-zameen khuld-e-bareen maaloom hoti hai are ai chaara-gar haan haan khalish tu jis ko kahtaa hai ye shay dil men nahin dil ke qareen maaloom hoti hai kisi ke paa-e-naazuk par jhuki hai aur nahin uthatii mujhe bahzaad ye apni jabeen maaloom hoti hai
Behzad Lakhnavi
0 likes
KHuda ko dhundh raha tha kahii KHuda na mila zahe-naseeb ki bande ko muddaa na mila nigaah-e-shauq men be-nooriyon ka rang badha nigaah-e-shauq ko jab koi doosra na mila ham apni be-khudi-e-shauq par nisaar rahe khu dii ko Dhoondh liya jab ha men KHuda na mila tumhaari bazm men lab khol kar hua KHaamosh vo bad-naseeb jise koi aasraa na mila har ek zarre men main KHud to aa raha tha nazar ajeeb baat tumhaara kahii pata na mila bas ik sukoon hi ham ko na mil sakaa ta-umr wagarana tere tasadduq men ham ko kya na mila tiri nigaah-e-mohabbat-nawaaz hi ki qasam ki aaj tak to ha men tujh sa doosra na mila tira jamaal fazaaon men muntashir tha magar nigaah-e-shauq ko phir bhi tira pata na mila hazaar thokren khaaiin hazaar soo bahzaad jahaan-e-husn men koi bhi ba-wafa na mila
Behzad Lakhnavi
0 likes
ik be-vafa ko dard ka darmaan banaa liya ham ne to aah kufr ko eemaan banaa liya dil ki khalish-pasandiyaan hain ki allah ki panaah teer-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaan banaa liya mujh ko khabar nahin mire dil ko khabar nahin kis ki nazar ne banda-e-ehsaan banaa liya mehsoos kar ke ham ne mohabbat ka har alam khwaab-e-subuk ko khwaab-e-pareshaan banaa liya dast-e-junoon ki uqda-kushaai to dekhiye daaman ko be-niyaaz garebaan banaa liya taskin-e-dil ki ham ne bhi parwaah chhod dii har mauj-e-gham ko haasil-e-toofan banaa liya jab un ka naam aa gaya ham muztarib hue aahon ko apni zeest ka unwaan banaa liya ham ne to apne dil men vo gham ho ki ho alam jo koi aa gaya use mehmaan banaa liya aaina dekhne ki zaroorat na thii koi apne ko KHud hi aap ne hairaan banaa liya ik be-wafa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar bahzaad ham ne KHud ko pareshaan banaa liya
Behzad Lakhnavi
0 likes
deewaana banaana hai to deewaana banaa de warna kahii taqdeer tamasha na banaa de ai dekhne waalo mujhe hañs hañs ke na dekho tum ko bhi mohabbat kahii mujh sa na banaa de
Behzad Lakhnavi
32 likes
kya ye bhi main batla doon tu kaun hai main kya hooñ tu jaan-e-tamaasha hai main mahv-e-tamaasha hooñ tu baais-e-hasti hai main haasil-e-hasti hooñ tu khaaliq-ulfitna hai aur main tira banda hooñ jab tak na mila tha tu ai fitna-e-do-aalam jab dard se ghaafil tha ab dard ki duniya hooñ kuchh farq nahin tujh men aur mujh men koi lekin tu aur kisi ka hai bedard main teraa hooñ muddat hui kho baitha sarmaaya-e-taskin main ab to tiri furqat men din raat tadpata hooñ armaan nahin koi go dil men mire lekin allah ri majboori majboor-e-tamanna hooñ bahzaad'-e-hazin mujh par ik kaif sa taari hai ab ye mira aalam hai hansta hooñ na rota hooñ
Behzad Lakhnavi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Behzad Lakhnavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Behzad Lakhnavi's ghazal.







