ghazalKuch Alfaaz

dil bhi aawaara nazar aawaara kat gaya saara safar aawaara zindagi bhatka hua jungle hai raah bechain shajar aawaara rooh ki khidki se ham jhaankte hain aur lagta hai nagar aawaara tujh ko ma'aloom kahaan hogaa ki shab kaise karte hain basar aawaara mujh ko ma'aloom hai apne baare hooñ bahut achha magar aawaara ye alag baat ki bas pal-do-pal laut ke aate hain ghar aawaara

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya

Tehzeeb Hafi

203 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Farhat Abbas Shah

gar dua bhi koi cheez hai to dua ke hawaale kiya ja tujhe aaj se ham ne apne KHuda ke hawaale kiya ek muddat hui ham ne duniya ki har ek zid chhod dii ek muddat hui ham ne dil ko vafaa ke hawaale kiya is tarah ham ne teri mohabbat zamaane ke haathon men dii jis tarah gul ne khushboo ko baad-e-saba ke hawaale kiya bebaasi si ajab zindagi men ik aisi bhi aayi ki jab ham ne chup-chaap haathon ko rasm-e-hina ke hawaale kiya KHoon ne teri yaaden sulagti hui raat ko saunp deen aañsuon ne tira dard rookhi hawa ke hawaale kiya

Farhat Abbas Shah

1 likes

ye jo zindagi hai ye kaun hai ye jo bebaasi hai ye kaun hai ye tumhaare lams ko kya hua ye jo be-hisi hai ye kaun hai vo jo mire jaisa tha kaun tha ye jo aap si hai ye kaun hai mire chaar-soo mire chaar-soo ye jo bekli hai ye kaun hai mire ang ang men bas gaii ye jo shaay'ri hai ye kaun hai vo jo teergii thii vo kaun thii ye jo raushni hai ye kaun hai mujhe kya khabar mujhe kya pata ye jo be-khu dii hai ye kaun hai vo jo gham se choor tha kaun tha jo khushi khushi hai ye kaun hai

Farhat Abbas Shah

1 likes

kaha main kahaan ho tum javaab aaya jahaan ho tum mire jeevan se zaahir ho mire gham men nihaan ho tum mirii to saari duniya ho mira saara jahaan ho tum mirii sochon ke mehwar ho mira zor-e-bayaan ho tum main to lafz-e-mohabbat hooñ magar mirii zabaan ho tum

Farhat Abbas Shah

8 likes

tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baa'd kitne chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke baa'd itne chup-chaap ki raaste bhi rahenge la-ilm chhod jaayenge kisi roz nagar shaam ke baa'd main ne aise hi gunah teri judaai men ki.e jaise toofaan men koi chhod de ghar shaam ke baa'd shaam se pahle vo mast apni uraano men raha jis ke haathon men the toote hue par shaam ke baa'd raat beetii to gine aable aur phir socha kaun tha ba-is-e-aaghaaz-e-safar shaam ke baa'd tu hai suraj tujhe ma'aloom kahaan raat ka dukh tu kisi roz mere ghar men utar shaam ke baa'd laut aa.e na kisi roz vo aawaara-mizaaj khol rakhte hain isee aas pe dar shaam ke baa'd

Farhat Abbas Shah

6 likes

isee se hota hai zaahir jo haal dard ka hai sabhi ko koi na koi vabaal dard ka hai sehar siskate hue aasmaan se utri to dil ne jaan liya ye bhi saal dard ka hai ye jhaank letii hai dil se jo doosre dil men meri nigaah men saara kamaal dard ka hai ab iske baad koi raabta nahin rakhna ye baat tay hui lekin sawaal dard ka hai ye dil ye ujadi hui chashm-e-nam ye tanhaaii hamaare paas to jo bhi hai maal dard ka hai na tum men sukh ki koi baat hai na mujh men hai tumhaara aur meraa milnaa visaal dard ka hai kisi ne poocha ke farhat bahut haseen ho tum to muskuraa ke kaha sab jamaal dard ka hai

Farhat Abbas Shah

14 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Farhat Abbas Shah.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Farhat Abbas Shah's ghazal.