gar dua bhi koi cheez hai to dua ke hawaale kiya ja tujhe aaj se ham ne apne KHuda ke hawaale kiya ek muddat hui ham ne duniya ki har ek zid chhod dii ek muddat hui ham ne dil ko vafaa ke hawaale kiya is tarah ham ne teri mohabbat zamaane ke haathon men dii jis tarah gul ne khushboo ko baad-e-saba ke hawaale kiya bebaasi si ajab zindagi men ik aisi bhi aayi ki jab ham ne chup-chaap haathon ko rasm-e-hina ke hawaale kiya KHoon ne teri yaaden sulagti hui raat ko saunp deen aañsuon ne tira dard rookhi hawa ke hawaale kiya
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
More from Farhat Abbas Shah
dil bhi aawaara nazar aawaara kat gaya saara safar aawaara zindagi bhatka hua jungle hai raah bechain shajar aawaara rooh ki khidki se ham jhaankte hain aur lagta hai nagar aawaara tujh ko ma'aloom kahaan hogaa ki shab kaise karte hain basar aawaara mujh ko ma'aloom hai apne baare hooñ bahut achha magar aawaara ye alag baat ki bas pal-do-pal laut ke aate hain ghar aawaara
Farhat Abbas Shah
2 likes
ye jo zindagi hai ye kaun hai ye jo bebaasi hai ye kaun hai ye tumhaare lams ko kya hua ye jo be-hisi hai ye kaun hai vo jo mire jaisa tha kaun tha ye jo aap si hai ye kaun hai mire chaar-soo mire chaar-soo ye jo bekli hai ye kaun hai mire ang ang men bas gaii ye jo shaay'ri hai ye kaun hai vo jo teergii thii vo kaun thii ye jo raushni hai ye kaun hai mujhe kya khabar mujhe kya pata ye jo be-khu dii hai ye kaun hai vo jo gham se choor tha kaun tha jo khushi khushi hai ye kaun hai
Farhat Abbas Shah
1 likes
kaha main kahaan ho tum javaab aaya jahaan ho tum mire jeevan se zaahir ho mire gham men nihaan ho tum mirii to saari duniya ho mira saara jahaan ho tum mirii sochon ke mehwar ho mira zor-e-bayaan ho tum main to lafz-e-mohabbat hooñ magar mirii zabaan ho tum
Farhat Abbas Shah
8 likes
isee se hota hai zaahir jo haal dard ka hai sabhi ko koi na koi vabaal dard ka hai sehar siskate hue aasmaan se utri to dil ne jaan liya ye bhi saal dard ka hai ye jhaank letii hai dil se jo doosre dil men meri nigaah men saara kamaal dard ka hai ab iske baad koi raabta nahin rakhna ye baat tay hui lekin sawaal dard ka hai ye dil ye ujadi hui chashm-e-nam ye tanhaaii hamaare paas to jo bhi hai maal dard ka hai na tum men sukh ki koi baat hai na mujh men hai tumhaara aur meraa milnaa visaal dard ka hai kisi ne poocha ke farhat bahut haseen ho tum to muskuraa ke kaha sab jamaal dard ka hai
Farhat Abbas Shah
14 likes
aag ho to jalne men der kitnii lagti hai barf ke pighalne men der kitnii lagti hai chahe koi ruk jaa.e chahe koi rah jaa.e kaafilo ko chalne men der kitnii lagti hai chahe koi jaisa bhi hamsafar ho sadiyon se raasta badlne men der kitnii lagti hai ye to vaqt ke bas men hai ke kitnii mohlat de varna vaqt dhalne men der kitnii lagti hai
Farhat Abbas Shah
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Farhat Abbas Shah.
Similar Moods
More moods that pair well with Farhat Abbas Shah's ghazal.







