ghazalKuch Alfaaz

dost ban kar bhi nahin saath nibhane vaala vahi andaz hai zalim ka zamane vaala ab use log samajhte hain giraftar mira sakht nadim hai mujhe daam men laane vaala subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat raat ko ghhuncha-e-dil men simat aane vaala kya kahen kitne marasim the hamare us se vo jo ik shakhs hai munh pher ke jaane vaala tere hote hue aa jaati thi saari duniya aaj tanha huun to koi nahin aane vaala muntazir kis ka huun tuuti hui dahliz pe main kaun aaega yahan kaun hai aane vaala kya khabar thi jo miri jaan men ghula hai itna hai vahi mujh ko sar-e-dar bhi laane vaala main ne dekha hai baharon men chaman ko jalte hai koi khvab ki tabir batane vaala tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraz' dost hota nahin har haath milane vaala dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala wahi andaz hai zalim ka zamane wala ab use log samajhte hain giraftar mera sakht nadim hai mujhe dam mein lane wala subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat raat ko ghuncha-e-dil mein simat aane wala kya kahen kitne marasim the hamare us se wo jo ek shakhs hai munh pher ke jaane wala tere hote hue aa jati thi sari duniya aaj tanha hun to koi nahin aane wala muntazir kis ka hun tuti hui dahliz pe main kaun aaega yahan kaun hai aane wala kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna hai wahi mujh ko sar-e-dar bhi lane wala main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte hai koi khwab ki tabir batane wala tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraaz' dost hota nahin har hath milane wala

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Ahmad Faraz

karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use

Ahmad Faraz

3 likes

kya aise kam-sukhan se koi guftugoo kare jo mustaqil sukoot se dil ko lahu kare ab to ha men bhi tark-e-maraasim ka dukh nahin par dil ye chahta hai ki aaghaaz tu kare tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi KHud ko ganwa ke kaun tiri justuju kare ab to ye aarzoo hai ki vo zakham khaaiye ta-zindagi ye dil na koi aarzoo kare tujh ko bhula ke dil hai vo sharminda-e-nazar ab koi haadsa hi tire roo-b-roo kare chup-chaap apni aag men jalte raho faraaz duniya to arz-e-haal se be-aabroo kare

Ahmad Faraz

8 likes

dil badan ka shareek-e-haal kahaan hijr phir hijr hai visaal kahaan ishq hai naam intihaaon ka is samundar men etidaal kahaan aisa nashaato zahar men bhi na tha ai gham-e-dil tiri misaal kahaan ham ko bhi apni paayemaali ka hai magar is qadar malaal kaha main nayi dosti ke mod pe tha aa gaya hai tira khayal kaha dil ki khush-fahm tha so hai warna tere milne ka ehtimaal kahaan vasl o hijraanhain aur duniyaayein in zamaanon men maah-o-saal kahaan tujh ko dekha to log hairaanhain aa gaya shahar men ghazaal kahaan tujh pe likkhi to saj gaii hai ghazal aa mila KHvaab se khayal kahaan ab to shah maat ho rahi hai faraaz ab bachaav ki koi chaal kahaan

Ahmad Faraz

1 likes

kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin

Ahmad Faraz

6 likes

jis se ye tabeeyat badi mushkil se lagii thii dekha to vo tasveer har ik dil se lagii thii tanhaaii men rote hain ki yuñ dil ko sukoon ho ye chot kisi sahib-e-mehfil se lagii thii ai dil tire aashob ne phir hashr jagaaya bedard abhii aankh bhi mushkil se lagii thii khilqat ka ajab haal tha us koo-e-sitam men saa.e ki tarah daaman-e-qaatil se lagii thii utara bhi to kab dard ka chadhta hua dariyaa jab kashti-e-jaan maut ke saahil se lagii thii

Ahmad Faraz

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.