ghazalKuch Alfaaz

dukh fasana nahin ki tujh se kahen dil bhi maana nahin ki tujh se kahen aaj tak apni bekali ka sabab khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se dostana nahin ki tujh se kahen ek tu harf-e-ashna tha magar ab zamana nahin ki tujh se kahen qasida ham faqir logon ka ik thikana nahin ki tujh se kahen ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost ab-o-dana nahin ki tujh se kahen ab to apna bhi us gali men 'faraz' aana jaana nahin ki tujh se kahen dukh fasana nahin ki tujh se kahen dil bhi mana nahin ki tujh se kahen aaj tak apni bekali ka sabab khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se dostana nahin ki tujh se kahen ek tu harf-e-ashna tha magar ab zamana nahin ki tujh se kahen qasida hum faqir logon ka ek thikana nahin ki tujh se kahen ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost aab-o-dana nahin ki tujh se kahen ab to apna bhi us gali mein 'faraaz' aana jaana nahin ki tujh se kahen

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Ahmad Faraz

karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use

Ahmad Faraz

3 likes

vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath

Ahmad Faraz

3 likes

kya aise kam-sukhan se koi guftugoo kare jo mustaqil sukoot se dil ko lahu kare ab to ha men bhi tark-e-maraasim ka dukh nahin par dil ye chahta hai ki aaghaaz tu kare tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi KHud ko ganwa ke kaun tiri justuju kare ab to ye aarzoo hai ki vo zakham khaaiye ta-zindagi ye dil na koi aarzoo kare tujh ko bhula ke dil hai vo sharminda-e-nazar ab koi haadsa hi tire roo-b-roo kare chup-chaap apni aag men jalte raho faraaz duniya to arz-e-haal se be-aabroo kare

Ahmad Faraz

8 likes

kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin

Ahmad Faraz

6 likes

jis se ye tabeeyat badi mushkil se lagii thii dekha to vo tasveer har ik dil se lagii thii tanhaaii men rote hain ki yuñ dil ko sukoon ho ye chot kisi sahib-e-mehfil se lagii thii ai dil tire aashob ne phir hashr jagaaya bedard abhii aankh bhi mushkil se lagii thii khilqat ka ajab haal tha us koo-e-sitam men saa.e ki tarah daaman-e-qaatil se lagii thii utara bhi to kab dard ka chadhta hua dariyaa jab kashti-e-jaan maut ke saahil se lagii thii

Ahmad Faraz

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.