dukhe hue hain ha men aur ab dukhaao mat jo ho ga.e ho fasana to yaad aao mat khayal-o-khwaab men parchaaiyaan si naachti hain ab is tarah to mirii rooh men samaao mat zameen ke log to kya do dilon ki chaahat men KHuda bhi ho to use darmiyaan laao mat tumhaara sar nahin tiflaan-e-rah-guzar ke li.e dayaar-e-sang men ghar se nikal ke jaao mat sivaae apne kisi ke bhi ho nahin sakte ham aur log hain logon ha men satao mat hamaare ahd men ye rasm-e-aashiqi thehri faqeer ban ke raho aur sadaa lagao mat vahii likho jo lahu ki zabaan se milta hai sukhun ko parda-e-alfaaz men chhupao mat supurd kar hi diya aatish-e-hunar ke to phir tamaam KHaak hi ho jaao kuchh bachao mat
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham
Jaun Elia
67 likes
More from Obaidullah Aleem
aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e
Obaidullah Aleem
1 likes
koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun
Obaidullah Aleem
1 likes
vo raat be-panaah thii aur main gareeb tha vo jis ne ye charaaghh jalaya ajeeb tha vo raushni ki aankh uthaai nahin gaii kal mujh se meraa chaand bahut hi qareeb tha dekha mujhe to taba ravaan ho gaii mirii vo muskuraa diya to main shayar adeeb tha rakhta na kyun main rooh o badan us ke saamne vo yuñ bhi tha tabeeb vo yuñ bhi tabeeb tha har silsila tha us ka KHuda se mila hua chup ho ki lab-kusha ho bala ka khateeb tha mauj-e-nashaat o sail-e-gham-e-jaan the ek saath gulshan men naghma-sanj ajab andaleeb tha main bhi raha hooñ khalvat-e-jaanan men ek shaam ye KHvaab hai ya Vaaqaii main khush-naseeb tha harf-e-dua o dast-e-sakhawat ke baab men KHud meraa tajurba hai vo be-had najeeb tha dekha hai us ko khilwat o jalvat men baar-ha vo aadmi bahut hi ajeeb-o-ghareeb tha likkho tamaam umr magar phir bhi tum aleemus ko dikha na paao vo aisa habeeb tha
Obaidullah Aleem
0 likes
jo us ne kiya use sila de maula mujhe sabr ki jazaa de ya mere diye ki lau badha de ya raat ko subh se mila de sach hooñ to mujhe amar banaa de jhoota hooñ to naqsh sab mita de ye qaum ajeeb ho gaii hai is qaum ko khoo-e-ambiya de utarega na koi aasmaañ se ik aas men dil magar sadaa de bacchon ki tarah ye lafz mere maabood inhen bolna sikha de dukh dehr ke apne naam likkhoon har dukh mujhe zaat ka mazaa de ik miraa vujood sun raha hai ilhaam jo raat ki hawa de mujh se miraa koi milne vaala bichhda to nahin magar mila de chehra mujhe apna dekhne ko ab dast-e-hawas men aaina de jis shaKHs ne umr-e-hijr kaateeus shaKHs ko ek raat kya de dukhta hai badan ki phir mile vo mil jaa.e to rooh ko dikha de kya cheez hai khwahish-e-badan bhi har baar naya hi zaaika de choone men ye dar ki mar na jaaun choo luun to vo zindagi siva de
Obaidullah Aleem
1 likes
banaa gulaab to kaañte chubha gaya ik shaKHs hua charaaghh to ghar hi jala gaya ik shaKHs tamaam rang mire aur saare KHvaab mire fasana the ki fasana banaa gaya ik shaKHs main kis hawa men udoon kis fazaa men lehraaoon dukhon ke jaal har ik soo bichha gaya ik shaKHs palat sakoon hi na aage hi badh sakoon jis par mujhe ye kaun se raaste laga gaya ik shaKHs mohabbatein bhi ajab us ki nafratein bhi kamaal mirii hi tarah ka mujh men samaa gaya ik shaKHs mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use mile vo zakham ki phir yaad aa gaya ik shaKHs khula ye raaz ki aaina-khaana hai duniya aur us men mujh ko tamasha banaa gaya ik shaKHs
Obaidullah Aleem
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Obaidullah Aleem.
Similar Moods
More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.







