ek pahuncha hua musaafir hai dil bhatkne men phir bhi maahir hai kaun laaya hai ishq par eemaan main bhi kaafir hooñ tu bhi kaafir hai dard ka vo jo harf-e-awwal tha dard ka vo hi harf-e-aakhir hai kaam adhoora pada hai KHvaabon ka aaj phir neend ghair-haazir hai laaj rakh li tiri sama'at ne warna taabish bhi koi shaair hai
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Zubair Ali Tabish
chaand ko daaman men la kar rakh diya usne meri god men sar rakh diya aankh men aañsu hai kiske naam ke kisne kashtii men samundar rakh diya vo bataane lag gaya majbooriyaan aur phir hamne receiver rakh diya
Zubair Ali Tabish
31 likes
baithe-baithe ik dam se chaunkaati hai yaad tiri kab dastak de kar aati hai titli ke jaisi hai meri har KHvaahish haath lagaane se pahle ud jaati hai mere sajde raaz nahin rahne waaleus ki chaukhat maathe ko chamkaati hai ishq men jitna bahko utna hi achha ye gumaahi manzil tak pahunchaati hai pahli pahli baar ajab sa lagta hai dheere dheere aadat si ho jaati hai tum us ko bhi samjha kar pachtayoge vo bhi mere hi jaisi jazbaati hai
Zubair Ali Tabish
27 likes
dil phir us kooche men jaane vaala hai baithe-bithaye thokar khaane vaala hai tark-e-taalluq ka dhadka sa hai dil ko vo mujh ko ik baat bataane vaala hai kitne adab se baithe hain sukhe paude jaise baadal she'r sunaane vaala hai ye mat soch saraaye par kya bitegi tu to bas ik raat bitaane vaala hai eenton ko aapas men milaane vaala shaKHs asl men ik deewaar uthaane vaala hai gaadi ki raftaar men aayi hai susti shaayad ab station aane vaala hai aakhri hichki leni hai ab aa jaao baa'd men tum ko kaun bulane vaala hai
Zubair Ali Tabish
33 likes
pahle muft men pyaas bathegi baa'd men ik-ik boond bikegi kitne haseen ho maasha-allah tum pe mohabbat khoob jachegi zalim bas itnaa batla de kya rone ki chhoot milegi aaj to patthar baandh liya hai lekin kal phir bhook lagegi main bhi paagal tu bhi paagal ham dono ki khoob jamegi yaar ne paani fer diya hai KHaak hamaari KHaak udegi duniya ko aise bhooloonga duniya mujh ko yaad karegi
Zubair Ali Tabish
30 likes
bhare hue jaam par suraahi ka sar jhuka to bura lagega jise teri aarzoo nahin tu use mila to bura lagega ye aisa rastaa hai jis pe har koi baarha ladkhada raha hai main pahli thokar ke baad hi gar sambhal gaya to bura lagega main KHush hooñ us ke nikaalne par aur itnaa aage nikal chuka hooñ ke ab achaanak se us ne waapas bula liya to bura lagega ye aakhiri kapkapata jumla ki is ta'alluq ko khatm kar do bade jatan se kaha hai us ne nahin kiya to bura lagega na jaane kitne ghamon ko peene ke baa'd taabish chadhi udaasi kisi ne aise men aa ke ham ko hansa diya to bura lagega
Zubair Ali Tabish
28 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zubair Ali Tabish.
Similar Moods
More moods that pair well with Zubair Ali Tabish's ghazal.







