bhare hue jaam par suraahi ka sar jhuka to bura lagega jise teri aarzoo nahin tu use mila to bura lagega ye aisa rastaa hai jis pe har koi baarha ladkhada raha hai main pahli thokar ke baad hi gar sambhal gaya to bura lagega main KHush hooñ us ke nikaalne par aur itnaa aage nikal chuka hooñ ke ab achaanak se us ne waapas bula liya to bura lagega ye aakhiri kapkapata jumla ki is ta'alluq ko khatm kar do bade jatan se kaha hai us ne nahin kiya to bura lagega na jaane kitne ghamon ko peene ke baa'd taabish chadhi udaasi kisi ne aise men aa ke ham ko hansa diya to bura lagega
Related Ghazal
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
kya kahega kabhi milne bhi agar aayega vo ab wafadari ki qasmen to nahin khayega vo ham samjhte the ki ham us..ko bhula sakte hain vo samajhta tha ha men bhool nahin paayega vo k itnaa socha tha par itnaa to nahin socha tha yaad ban jaayega vo khwaab nazar aayega vo sab ke hote hue ik roz vo tanhaa hogaa phir vo dhoondhega ha men aur nahin paayega vo ittifaqan jo kabhi saamne aaya ajmal ab vo tanhaa to na hogaa jo thehar jaayega vo
Ajmal Siraj
50 likes
More from Zubair Ali Tabish
chaand ko daaman men la kar rakh diya usne meri god men sar rakh diya aankh men aañsu hai kiske naam ke kisne kashtii men samundar rakh diya vo bataane lag gaya majbooriyaan aur phir hamne receiver rakh diya
Zubair Ali Tabish
31 likes
pahle muft men pyaas bathegi baa'd men ik-ik boond bikegi kitne haseen ho maasha-allah tum pe mohabbat khoob jachegi zalim bas itnaa batla de kya rone ki chhoot milegi aaj to patthar baandh liya hai lekin kal phir bhook lagegi main bhi paagal tu bhi paagal ham dono ki khoob jamegi yaar ne paani fer diya hai KHaak hamaari KHaak udegi duniya ko aise bhooloonga duniya mujh ko yaad karegi
Zubair Ali Tabish
30 likes
tumhaare gham se tauba kar raha hooñ ta'ajjub hai main aisa kar raha hooñ hai apne haath men apna girebaanna jaane kis se jhagda kar raha hooñ bahut se band taale khul rahe hain tire sab khat ikattha kar raha hooñ koi titli nishaane par nahin hai main bas rangon ka peecha kar raha hooñ main rasman kah raha hooñ phir milenge ye mat samjho ki vaa'da kar raha hooñ mire ahbaab saare shahar men hain main apne gaav men kya kar raha hooñ mirii har ik ghazal asli hai sahab kaii barson se dhanda kar raha hooñ
Zubair Ali Tabish
38 likes
chal khwaahish ki baat karenge khaali dish ki baat karenge pahle pyaase to ban jaao phir baarish ki baat karenge aanaa toota rishta lekar gunjaish ki baat karenge bande ik do sajde karke basaaoge ki baat karenge tum auron ke she'r sunaao ham taabish ki baat karenge
Zubair Ali Tabish
37 likes
ek pahuncha hua musaafir hai dil bhatkne men phir bhi maahir hai kaun laaya hai ishq par eemaan main bhi kaafir hooñ tu bhi kaafir hai dard ka vo jo harf-e-awwal tha dard ka vo hi harf-e-aakhir hai kaam adhoora pada hai KHvaabon ka aaj phir neend ghair-haazir hai laaj rakh li tiri sama'at ne warna taabish bhi koi shaair hai
Zubair Ali Tabish
18 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zubair Ali Tabish.
Similar Moods
More moods that pair well with Zubair Ali Tabish's ghazal.







