ghazalKuch Alfaaz

fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha samne baitha tha mere aur vo mera na tha vo ki khushbu ki tarah phaila tha mere char-su main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha raat bhar pichhli si aahat kaan men aati rahi jhank kar dekha gali men koi bhi aaya na tha main tiri surat liye saare zamane men phira saari duniya men magar koi tire jaisa na tha aaj milne ki khushi men sirf main jaaga nahin teri ankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thiin aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha sainkadon tufan lafzon men dabe the zer-e-lab ek patthar tha khamoshi ka ki jo hatta na tha yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim' bhuul jaane ke siva ab koi bhi chara na tha maslahat ne ajnabi ham ko banaya tha 'adim' varna kab ik dusre ko ham ne pahchana na tha fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha samne baitha tha mere aur wo mera na tha wo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha raat bhar pichhli si aahat kan mein aati rahi jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha main teri surat liye sare zamane mein phira sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha aaj milne ki khushi mein sirf main jaga nahin teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha sainkadon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab ek patthar tha khamoshi ka ki jo hatta na tha yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim' bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim' warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha

Related Ghazal

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

usne do chaar kar diya mujh...ko zehni beemaar kar diya mujh...ko kyuuñ nahin dastaras men tu mere kyuuñ talabgaar kar diya mujh...ko kabhi patthar kabhi KHuda usne chaaha jo yaar kar diya mujh...ko usse koi sawaal mat karna usne inkaar kar diya mujh...ko ek insaan hi to maanga tha us..ko bhi maar kar diya mujh...ko

Himanshi babra KATIB

51 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

More from Adeem Hashmi

kisi jhooti vafaa se dil ko bahaana nahin aata mujhe ghar kaaghazi phoolon se mehkaana nahin aata main jo kuchh hooñ vahii kuchh hooñ jo zaahir hai vo baatin hai mujhe jhoote dar-o-deewar chamkaana nahin aata main dariyaa hooñ magar bahta hooñ main kohsaar kii jaanib mujhe duniya kii pasti men utar jaana nahin aata zar-o-maal-o-javahar le bhi aur thukra bhi saktaa hooñ koii dil pesh karta ho to thukraana nahin aata parinda jaanib-e-dana hamesha ud ke aata hai parinde kii taraf ud kar kabhi daana nahin aata agar sehra men hain to aap KHud aa.e hain sehra men kisi ke ghar to chal kar koii veeraana nahin aata hua hai jo sadaa us ko naseebon ka likha samjha adeem apne ki.e par mujh ko pachtana nahin aata

Adeem Hashmi

2 likes

tere li.e chale the ham tere li.e thehar ga.e tu ne kaha to jee uthe tu ne kaha to mar ga.e kat hi gaii judaai bhi kab ye hua ki mar ga.e tere bhi din guzar ga.e mere bhi din guzar ga.e tu bhi kuchh aur aur hai ham bhi kuchh aur aur hain jaane vo tu kidhar gaya jaane vo ham kidhar ga.e raahon men hi mile the ham raahen naseeb ban gaiin vo bhi na apne ghar gaya ham bhi na apne ghar ga.e vaqt hi judaai ka itnaa taveel ho gaya dil men tire visaal ke jitne the zaKHm bhar ga.e hota raha muqaabla paani ka aur pyaas ka sehra umad umad pade dariyaa bifar bifar ga.e vo bhi ghubaar-e-khwaab tha ham bhi ghubaar-e-khwaab the vo bhi kahiin bikhar gaya ham bhi kahiin bikhar ga.e koii kanaar-e-aabjoo baitha hua hai sar-nigoon kashtii kidhar chali gaii jaane kidhar bhanwar ga.e aaj bhi intizaar ka vaqt hunoot ho gaya aisa laga ki hashr tak saare hi pal thehar ga.e barish-e-wasl vo hui saara ghubaar dhul gaya vo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar ga.e aab-e-muheet-e-ishq ka bahar ajeeb bahar hai taire to ghark ho ga.e doobe to paar kar ga.e itne qareeb ho ga.e apne raqeeb ho ga.e vo bhi adeem dar gaya ham bhi adeem dar ga.e us ke sulook par adeem apni hayaat-o-maut hai vo jo mila to jee uthe vo na mila to mar ga.e

Adeem Hashmi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Adeem Hashmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Adeem Hashmi's ghazal.