ghazalKuch Alfaaz

gae dinon ka suraghh le kar kidhar se aaya kidhar gaya vo ajiib manus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya vo bas ek moti si chhab dikha kar bas ek mithi si dhun suna kar sitara-e-sham ban ke aaya ba-rang-e-khvab-e-sahar gaya vo khushi ki rut ho ki ghham ka mausam nazar use dhundti hai har dam vo bu-e-gul tha ki naghhma-e-jan mire to dil men utar gaya vo na ab vo yadon ka chadhta dariya na fursaton ki udaas barkha yunhi zara si kasak hai dil men jo zakhm gahra tha bhar gaya vo kuchh ab sambhalne lagi hai jaan bhi badal chala daur-e-asman bhi jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya vo bas ek manzil hai bul-havas ki hazar raste hain ahl-e-dil ke yahi to hai farq mujh men us men guzar gaya main thahar gaya vo shikasta-pa raah men khada huun gae dinon ko bula raha huun jo qafila mera ham-safar tha misal-e-gard-e-safar gaya vo mira tu khuun ho gaya hai paani sitamgaron ki palak na bhigi jo naala uttha tha raat dil se na jaane kyuun be-asar gaya vo vo mai-kade ko jagane vaala vo raat ki niind udane vaala ye aaj kya us ke ji men aai ki shaam hote hi ghar gaya vo vo hijr ki raat ka sitara vo ham-nafas ham-sukhan hamara sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya vo vo jis ke shane pe haath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka tiri gali se na jaane kyuun aaj sar jhukae guzar gaya vo vo raat ka be-nava musafir vo tera shair vo tera 'nasir' tiri gali tak to ham ne dekha tha phir na jaane kidhar gaya vo gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo ajib manus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo bas ek moti si chhab dikha kar bas ek mithi si dhun suna kar sitara-e-sham ban ke aaya ba-rang-e-khwab-e-sahar gaya wo khushi ki rut ho ki gham ka mausam nazar use dhundti hai har dam wo bu-e-gul tha ki naghma-e-jaan mere to dil mein utar gaya wo na ab wo yaadon ka chadhta dariya na fursaton ki udas barkha yunhi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahra tha bhar gaya wo kuchh ab sambhalne lagi hai jaan bhi badal chala daur-e-asman bhi jo raat bhaari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo bas ek manzil hai bul-hawas ki hazar raste hain ahl-e-dil ke yahi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo shikasta-pa rah mein khada hun gae dinon ko bula raha hun jo qafila mera ham-safar tha misal-e-gard-e-safar gaya wo mera tu khun ho gaya hai pani sitamgaron ki palak na bhigi jo nala uttha tha raat dil se na jaane kyun be-asar gaya wo wo mai-kade ko jagane wala wo raat ki nind udane wala ye aaj kya us ke ji mein aai ki sham hote hi ghar gaya wo wo hijr ki raat ka sitara wo ham-nafas ham-sukhan hamara sada rahe us ka nam pyara suna hai kal raat mar gaya wo wo jis ke shane pe hath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka teri gali se na jaane kyun aaj sar jhukae guzar gaya wo wo raat ka be-nawa musafir wo tera shair wo tera 'nasir' teri gali tak to hum ne dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo

Related Ghazal

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

More from Nasir Kazmi

musalsal bekli dil ko rahi hai magar jeene ki soorat to rahi hai main kyun firta hooñ tanhaa maara maara ye bastii chain se kyun so rahi hai chale dil se ummeedon ke musaafir ye nagri aaj khaali ho rahi hai na samjho tum ise shor-e-bahaaraan khizaan patton men chhup kar ro rahi hai hamaare ghar ki deewaron pe naasir udaasi baal khole so rahi hai

Nasir Kazmi

2 likes

main ne jab likhna seekha tha pahle teraa naam likha tha main vo sabr-e-sameem hooñ jis ne baar-e-amaanat sar pe liya tha main vo ism-e-azeem hooñ jis ko jinn-o-malak ne sajda kiya tha tu ne kyun miraa haath na pakda main jab raaste se bhatka tha jo paaya hai vo teraa hai jo khoya vo bhi teraa tha tujh bin saari umr guzaari log kaheinge tu miraa tha pahli baarish bhejne waale main tire darshan ka pyaasa tha

Nasir Kazmi

9 likes

shahar sunsaan hai kidhar jaayein KHaak ho kar kahii bikhar jaayein raat kitnii guzar gaii lekin itni himmat nahin ki ghar jaayein yoon tire dhyaan se larzata hooñ jaise patte hawa se dar jaayein un ujaalon ki dhun men firta hooñ chhab dikhaate hi jo guzar jaayein rain andheri hai aur kinaara door chaand nikle to paar utar jaayein

Nasir Kazmi

1 likes

dil men aur to kya rakha hai teraa dard chhupa rakha hai itne dukhon ki tez hawa men dil ka deep jala rakha hai dhoop se chehron ne duniya men kya andher macha rakha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka naam davaa rakha hai waada-e-yaar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakha hai bhool bhi jaao beetii baatein in baaton men kya rakha hai chup chup kyun rahte ho naasir ye kya rog laga rakha hai

Nasir Kazmi

11 likes

jab zaraa tez hawa hoti hai kaisi sunsaan fazaa hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaate bhi jab har ik saans sadaa hoti hai dil ka ye haal hua tere baad jaise veeraan sara hoti hai rona aata hai ha men bhi lekin is men tauheen-e-wafa hoti hai munh-andhere kabhi uth kar dekho kya tar o taaza hawa hoti hai ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath kis qadar tez hawa hoti hai gham ke be-noor guzargaahon men ik kiran zauq-faza hoti hai gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa miza-e-aabla-pa hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-mehtaab men vaa hoti hai jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul munh pe shabnam ki rida hoti hai haadsa hai ki khizaan se pahle boo-e-gul gul se juda hoti hai ik naya daur janam leta hai ek tahzeeb fana hoti hai jab koi gham nahin hota naasir bekli dil ki siva hoti hai

Nasir Kazmi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nasir Kazmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nasir Kazmi's ghazal.