ghazalKuch Alfaaz

ghhazlon ka hunar apni ankhon ko sikhaenge roenge bahut lekin aansu nahin aenge kah dena samundar se ham os ke moti hain dariya ki tarah tujh se milne nahin aenge vo dhuup ke chhappar hon ya chhanv ki divaren ab jo bhi uthaenge mil jul ke uthaenge jab saath na de koi avaz hamen dena ham phuul sahi lekin patthar bhi uthaenge ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhaenge roenge bahut lekin aansu nahin aaenge kah dena samundar se hum os ke moti hain dariya ki tarah tujh se milne nahin aaenge wo dhup ke chhappar hon ya chhanw ki diwaren ab jo bhi uthaenge mil jul ke uthaenge jab sath na de koi aawaz hamein dena hum phul sahi lekin patthar bhi uthaenge

Related Ghazal

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

so rahenge ke jaagte rahenge ham tere khwaab dekhte rahenge tu kahii aur hi dhoondhta rahega ham kahii aur hi khile rahenge raahgeeron ne raah badalni hai ped apni jagah khade rahenge sabhi mausam hai dastaras men teri tune chaaha to ham hare rahenge lautna kab hai tune par tujhko aadatan hi pukaarte rahenge tujhko paane men mas'ala ye hai tujhko khone ke vasvase rahenge tu idhar dekh mujhse baate kar yaar chash men to phoote rahenge ek muddat hui hai tujhse mile tu to kahtaa tha raabte rahenge

Tehzeeb Hafi

91 likes

aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha

Zubair Ali Tabish

48 likes

sar jhukaoge to patthar devta ho jaayega itnaa mat chaaho use vo be-vafa ho jaayega ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega kitnii sachchaai se mujh se zindagi ne kah diya tu nahin meraa to koi doosra ho jaayega main KHuda ka naam le kar pee raha hooñ dosto zahar bhi is men agar hogaa davaa ho jaayega sab usii ke hain hawa KHushboo zameen o aasmaañ main jahaan bhi jaaunga us ko pata ho jaayega

Bashir Badr

43 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

phool barase kahii shabnam kahii gauhar barase aur is dil ki taraf barase to patthar barase koi baadal ho to tham jaa.e magar ashk mire ek raftaar se din raat barabar barase barf ke phoolon se raushan hui tareek zameen raat ki shaakh se jaise mah o akhtar barase pyaar ka geet andheron pe ujaalon ki fuwaar aur nafrat ki sadaa sheeshe pe patthar barase baarishen chat pe khulii jagahon pe hoti hain magar gham vo saawan hai jo un kamron ke andar barase

Bashir Badr

4 likes

mirii ghazal ki tarah us ki bhi hukoomat hai tamaam mulk men vo sab se khoobsurat hai kabhi kabhi koi insaan aisa lagta hai purane shahar men jaise nayi imarat hai jamee hai der se kamre men ghaybaton ki nashisht fazaa men gard hai maahol men kudoorat hai bahut dinon se mire saath thii magar kal shaam mujhe pata chala vo kitnii khoobsurat hai ye zaairaan-e-ali-garh ka khaas tohfa hai mirii ghazal ka tabarruk dilon ki barkat hai

Bashir Badr

4 likes

sau khuloos baaton men sab karam khayaalon men bas zaraa vafaa kam hai tere shahar waalon men pahli baar nazaron ne chaand bolte dekha ham javaab kya dete kho ga.e sawaalon men raat teri yaadon ne dil ko is tarah chheda jaise koi chutki le narm narm gaalon men yuñ kisi ki aankhoñ men subh tak abhii the ham jis tarah rahe shabnam phool ke pyaalon men meri aankh ke taare ab na dekh paoge raat ke musaafir the kho ga.e ujaalon men jaise aadhi shab ke baa'd chaand neend men chaunke vo gulaab ki jumbish un siyaah baalon men

Bashir Badr

8 likes

jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko

Bashir Badr

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.