ghazalKuch Alfaaz

gair ko munh laga ke dekh liya jhooth sach aazma ke dekh liya un ke ghar daagh ja ke dekh liya dil ke kehne men aa ke dekh liya kitnii farhat-faza thii boo-e-wafaus ne dil ko jala ke dekh liya kabhi ghash men raha shab-e-wa'da kabhi gardan utha ke dekh liya jins-e-dil hai ye vo nahin sauda har jagah se manga ke dekh liya log kahte hain chup lagii hai tujhe haal-e-dil bhi suna ke dekh liya jaao bhi kya karoge mehr-o-wafa baar-ha aazma ke dekh liya zakhm-e-dil men nahin hai qatra-e-khoon khoob ham ne dikha ke dekh liya idhar aaina hai udhar dil hai jis ko chaaha utha ke dekh liya un ko khilvat-sara men be-parda saaf maidaan pa ke dekh liya us ne subh-e-shab-e-visaal mujhe jaate jaate bhi aa ke dekh liya tum ko hai wasl-e-ghair se inkaar aur jo ham ne aa ke dekh liya daagh ne khoob aashiqi ka mazaa jal ke dekha jala ke dekh liya

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

More from Dagh Dehlvi

is ada se vo jafaa karte hain koi jaane ki vafaa karte hain yuñ vafaa ahad-e-wafaa karte hain aap kya kahte hain kya karte hain ham ko chhedoge to pachtayoge hansne waalon se hansa karte hain nama-bar tujh ko saleeqa hi nahin kaam baaton men banaa karte hain cha li.e 'aashiq ka janaaza utha aap baithe hue kya karte hain ye bataata nahin koi mujh ko dil jo aata hai to kya karte hain husn ka haq nahin rehta baaki har ada men vo ada karte hain teer aaKHir badl-e-kaafir hai ham akheer aaj dua karte hain rote hain gair ka rona paharon ye hañsi mujh se hansa karte hain is li.e dil ko laga rakha hai is men mahboob raha karte hain tum miloge na vahaañ bhi ham se hashr se pahle gilaa karte hain jhaank kar rauzan-e-dar se mujh ko kya vo shokhi se haya karte hain us ne ehsaan jata kar ye kaha aap kis munh se gilaa karte hain roz lete hain naya dil dilbar nahin maaloom ye kya karte hain daagh tu dekh to kya hota hai jabr par sabr kiya karte hain

Dagh Dehlvi

5 likes

is nahin ka koi ilaaj nahin roz kahte hain aap aaj nahin kal jo tha aaj vo mizaaj nahin is talavvun ka kuchh ilaaj nahin aaina dekhte hi itraaye phir ye kya hai agar mizaaj nahin le ke dil rakh lo kaam aayega go abhii tum ko ehtiyaaj nahin ho saken ham mizaaj-daan kyunkar ham ko milta tira mizaaj nahin chup lagii laal-e-jaan-faza ko tire is maseeha ka kuchh ilaaj nahin dil-e-be-muddaa KHuda ne diya ab kisi shay ki ehtiyaaj nahin khote daamon men ye bhi kya thehra dirham-e-'daagh ka rivaaj nahin be-niyaazi ki shaan kahti hai bandagi ki kuchh ehtiyaaj nahin dil-lagi keejie raqeebon se is tarah ka mira mizaaj nahin ishq hai paadshaah-e-aalam-geer garche zaahir men takht-o-taaj nahin dard-e-furqat ki go davaa hai visaal is ke qaabil bhi har mizaaj nahin yaas ne kya bujha diya dil ko ki tadap kaisi ikhtilaaj nahin ham to seerat-pasand 'aashiq hain khoob-roo kya jo khush-mizaj nahin hoor se poochta hooñ jannat men is jagah kya buton ka raaj nahin sabr bhi dil ko daagh de lenge abhii kuchh is ki ehtiyaaj nahin

Dagh Dehlvi

2 likes

dil ko kya ho gaya KHuda jaane kyun hai aisa udaas kya jaane apne gham men bhi us ko sarfaa haina khila jaane vo na kha jaane is tajaahul ka kya thikaana hai jaan kar jo na muddaa jaane kah diya main ne raaz-e-dil apnaus ko tum jaano ya KHuda jaane kya garz kyun idhar tavajjoh ho haal-e-dil aap ki bala jaane jaante jaante hi jaanega mujh men kya hai abhii vo kya jaane kya ham us bad-gumaan se baat karen jo sataish ko bhi gilaa jaane tum na paoge saada-dil mujh sa jo taghaaful ko bhi haya jaane hai abas jurm-e-ishq par ilzaam jab khata-waar bhi KHataa jaane nahin kotaah daaman-e-ummeed aage ab dast-e-na-rasa jaane jo ho achha hazaar achhon ka wa'iz us but ko tu bura jaane ki mirii qadr misl-e-shaah-e-dakan kisi nawwaab ne na raja ne us se utthegi kya museebat-e-ishq ibtida ko jo intiha jaane daagh se kah do ab na ghabraao kaam apna bataa hua jaane

Dagh Dehlvi

2 likes

raah par un ko laga laaye to hain baaton men aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton men ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton men aazmaaya hai tumhein ham ne kaii baaton men gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim kya mire qatl ko bhi jaan nahin haathon men abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid KHaak udti k abhii dekhi na kharaabaaton men yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun raushni jis ki ho in taaron bharii raaton men tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do lutf un baaton men aata hai ki in baaton men daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate haaye paida na hue paanv mire haathon men jalwa-e-yaar se jab bazm men ghash aaya hai to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon men aisi taqreer sooni thii na k abhii shokh-o-shareer teri aankhoñ ke bhi fitne hain tiri baaton men ham se inkaar hua gair se iqaar hua faisla khoob kiya aap ne do baaton men haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton men aur sunte abhii rindon se janaab-e-waaiz chal diye aap to do-chaar salaavaton men ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte jin ki shohrat thii ye hargiz nahin in baaton men bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan ek sarkaar luti jaati hai sougaaton men dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se is li.e aap ham aate hain tiri ghaaton men vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the shaam se subh hui un ki mudaaraaton men vo ga.e din jo rahe yaad buton ki ai daagh raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton men

Dagh Dehlvi

1 likes

aarzoo hai vafaa kare koi jee na chahe to kya kare koi gar marz ho davaa kare koi marne waale ka kya kare koi kosate hain jale hue kya kya apne haq men dua kare koi un se sab apni apni kahte hain meraa matlab ada kare koi chaah se aap ko to nafrat hai mujh ko chahe KHuda kare koi us gile ko gilaa nahin kahte gar maze ka gilaa kare koi ye mili daad ranj-e-furqat ki aur dil ka kaha kare koi tum saraapa ho soorat-e-tasveer tum se phir baat kya kare koi kahte hain ham nahin khuda-e-kareem kyun hamaari KHataa kare koi jis men laakhon baras ki hooren hon aisi jannat ko kya kare koi is jafaa par tumhein tamannaa hai ki mirii iltijaa kare koi munh lagaate hi daagh itraaya lutf hai phir jafaa kare koi

Dagh Dehlvi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Dagh Dehlvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.