ghazalKuch Alfaaz

dil ko kya ho gaya KHuda jaane kyun hai aisa udaas kya jaane apne gham men bhi us ko sarfaa haina khila jaane vo na kha jaane is tajaahul ka kya thikaana hai jaan kar jo na muddaa jaane kah diya main ne raaz-e-dil apnaus ko tum jaano ya KHuda jaane kya garz kyun idhar tavajjoh ho haal-e-dil aap ki bala jaane jaante jaante hi jaanega mujh men kya hai abhii vo kya jaane kya ham us bad-gumaan se baat karen jo sataish ko bhi gilaa jaane tum na paoge saada-dil mujh sa jo taghaaful ko bhi haya jaane hai abas jurm-e-ishq par ilzaam jab khata-waar bhi KHataa jaane nahin kotaah daaman-e-ummeed aage ab dast-e-na-rasa jaane jo ho achha hazaar achhon ka wa'iz us but ko tu bura jaane ki mirii qadr misl-e-shaah-e-dakan kisi nawwaab ne na raja ne us se utthegi kya museebat-e-ishq ibtida ko jo intiha jaane daagh se kah do ab na ghabraao kaam apna bataa hua jaane

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Dagh Dehlvi

ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii

Dagh Dehlvi

1 likes

in aankhoñ ne kya kya tamasha na dekha haqeeqat men jo dekhna tha na dekha tujhe dekh kar vo dui uth gaii hai ki apna bhi saani na dekha na dekha un aankhoñ ke qurbaan jaaun jinhonne hazaaron hijaabo men parwaana dekha na himmat na qismat na dil hai na aañkhenna dhoondhaan paaya na samjha na dekha bahut dard-mandon ko dekha hai tune ye seena ye dil ye kaleja na dekha vo kab dekh saka hai us ki tajalli jis insaan ne apna hi jalwa na dekha bahut shor sunte the is anjuman ka yahaan aa ke jo kuchh suna tha na dekha use dekh kar aur ko phir jo dekhe koi dekhne vaala aisa na dekha gaya kaarwaan chhod kar mujh ko tanhaa zaraa mere aane ka rastaa na dekha tiri yaad hai ya hai teraa tasavvur kabhi daagh ko ham ne tanhaa na dekha

Dagh Dehlvi

0 likes

ye baat baat men kya nazuki nikalti hai dabii dabii tire lab se hañsi nikalti hai thehar thehar ke jala dil ko ek baar na phoonk ki is men boo-e-mohabbat abhii nikalti hai bajaae shikwa bhi deta hooñ main dua us ko mirii zabaan se karoon kya yahii nikalti hai khushi men ham ne ye shokhi k abhii nahin dekhi dam-e-itaab jo rangat tiri nikalti hai hazaar baar jo maanga karo to kya haasil dua vahii hai jo dil se k abhii nikalti hai ada se teri magar khinch raheen hain talwaarein nigah nigah se chhuri par chhuri nikalti hai muheet-e-ishq men hai kya umeed o beem mujhe ki doob doob ke kashtii mirii nikalti hai jhalak rahi hai sar-e-shaakh-e-miza KHoon ki boond shajar men pahle samar se kali nikalti hai shab-e-firaq jo khole hain ham ne zakham-e-jigar ye intizaar hai kab chaandni nikalti hai samajh to leejie kehne to deejie matlab bayaañ se pahle hi mujh par chhuri nikalti hai ye dil ki aag hai ya dil ke noor ka hai zuhoor nafs nafs men mire raushni nikalti hai kaha jo main ne ki mar jaaunga to kahte hain hamaare zaiche men zindagi nikalti hai samajhne waale samjhte hain pech ki taqreer ki kuchh na kuchh tiri baaton men fee nikalti hai dam-e-akheer tasavvur hai kis paree-vash ka ki mirii rooh bhi ban kar pari nikalti hai sanam-kade men bhi hai husn ik khudaai ka ki jo nikalti hai soorat pari nikalti hai mire nikale na niklegi aarzoo mirii jo tum nikaalna chaaho abhii nikalti hai gham-e-firaq men ho daagh is qadar betaab zaraa se ranj men jaañ aap ki nikalti hai

Dagh Dehlvi

0 likes

khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya

Dagh Dehlvi

1 likes

baaki jahaan men qais na farhaad rah gaya afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya ye sakht-jaan to qatl se naashaad rah gaya khanjar chala to baazoo-e-jallaad rah gaya paabandiyo ne ishq ki bekas rakha mujhe main sau asiriyo men bhi azaad rah gaya chashm-e-sanam ne yuñ to bigaade hazaar ghar ik kaaba chand roz ko aabaad rah gaya mahshar men ja-e-shikwa kiya shukr yaar ka jo bhoolna tha mujh ko vahii yaad rah gaya un ki to ban padi ki lagii jaan muft haath teri girah men kya dil-e-naashaad rah gaya pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar dil men buton ka shauq-e-khuda-daad rah gaya yuñ aankh un ki kar ke ishaara palat gaii goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya naaseh ka jee chala tha hamaari tarah magar ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya hain tere dil men sab ke thikaane bure bhale main khaanumaan-kharaab hi barbaad rah gaya vo din ga.e ki thii mire seene men kuchh kharaash ab dil kahaan hai dil ka nishaan yaad rah gaya soorat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalk dil apna thaam thaam ke bahzaad rah gaya ai daagh dil hi dil men ghule zabt-e-ishq se afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya

Dagh Dehlvi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Dagh Dehlvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.