ghazalKuch Alfaaz

gul tha bulbul thi gulistan men magar tu hi na tha kya gulistan vo gulistan tha agar tu hi na tha shor-o-hangama to ashiq ko nahin deta hai zeb sab hi zakhmi the vahan zer-o-zabar tu hi na tha rang kitne the magar tujh ko na tha shauq-e-hayat ham-safar kitne the mushtaq-e-safar tu hi na tha chaah shohrat ki na kar par tu yuun rusva to na ho teri khatir thi saji bazm-e-hunar tu hi na tha kaisa manzar ho bina nur-e-nazar kuchh bhi nahin kaise manzar the par ai nur-e-nazar tu hi na tha mujh ko khadsha tha ki tu jaadu hai par chhu hi liya vahi akhir ko hua jis ka tha dar tu hi na tha ashna tu hi tha sheron ke isharon se mire kya hi phir karta bhala arz-e-hunar tu hi na tha gul tha bulbul thi gulistan mein magar tu hi na tha kya gulistan wo gulistan tha agar tu hi na tha shor-o-hangama to aashiq ko nahin deta hai zeb sab hi zakhmi the wahan zer-o-zabar tu hi na tha rang kitne the magar tujh ko na tha shauq-e-hayat ham-safar kitne the mushtaq-e-safar tu hi na tha chah shohrat ki na kar par tu yun ruswa to na ho teri khatir thi saji bazm-e-hunar tu hi na tha kaisa manzar ho bina nur-e-nazar kuchh bhi nahin kaise manzar the par ai nur-e-nazar tu hi na tha mujh ko khadsha tha ki tu jadu hai par chhu hi liya wahi aakhir ko hua jis ka tha dar tu hi na tha aashna tu hi tha sheron ke ishaaron se mere kya hi phir karta bhala arz-e-hunar tu hi na tha

Related Ghazal

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ajmal Siddiqui.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ajmal Siddiqui's ghazal.