ghazalKuch Alfaaz

goriyon kaliyon ne maar diya jamunon valiyon ne maar diya ang hain ya rikabiyan dhan ki mohni thaliyon ne maar diya gungunate hasin kanon ki dolti baliyon ne maar diya uude uude sahab se anchal rang ki jaliyon ne maar diya zulf ki nikhaton ne jaan le li hont ki laliyon ne maar diya uff vo pyase moazzezin jinhen ras-bhari galiyon ne maar diya jhumti daliyon se jism 'adam' jhumti daliyon ne maar diya goriyon kaliyon ne mar diya jamunon waliyon ne mar diya ang hain ya rikabiyan dhan ki mohni thaaliyon ne mar diya gungunate hasin kanon ki dolti baaliyon ne mar diya ude ude sahab se aanchal rang ki jaliyon ne mar diya zulf ki nikhaton ne jaan le li hont ki laliyon ne mar diya uff wo pyase moazzezin jinhen ras-bhari galiyon ne mar diya jhumti daliyon se jism 'adam' jhumti daliyon ne mar diya

Related Ghazal

barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho

Umair Najmi

59 likes

naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham

Jaun Elia

67 likes

vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe

Abrar Kashif

54 likes

main bhi tum jaisa hooñ apne se juda mat samjho aadmi hi mujhe rahne do KHuda mat samjho ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho raas aata nahin sabko ye mohabbat ka marz meri beemaarii ko tum apni davaa mat samjho

Shakeel Azmi

51 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Abdul Hamid Adam.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Abdul Hamid Adam's ghazal.