ghazalKuch Alfaaz

guzaro na is tarah ki tamasha nahin hooñ main samjho ki ab hooñ aur dobara nahin hooñ main ik taba rang rang thii so nazr-e-gul hui ab ye ki apne saath bhi rehta nahin hooñ main tum ne bhi mere saath uthaaye hain dukh bahut KHush hooñ ki raah-e-shauq men tanhaa nahin hooñ main peeche na bhag vaqt ki ai na-shanaas dhoop saayo ke darmiyaan hooñ saaya nahin hooñ main jo kuchh bhi hooñ main apni hi soorat men hooñ aleem ghalib nahin hooñ meer-o-yagaana nahin hooñ main

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

More from Obaidullah Aleem

aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e

Obaidullah Aleem

1 likes

koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun

Obaidullah Aleem

1 likes

chehra hua main aur mirii tasveer hue sab main lafz hua mujh men hi zanjeer hue sab buniyaad bhi mirii dar-o-deewar bhi mere ta'aamir hua main ki ye ta'aamir hue sab vaise hi likhoge to mira naam bhi hogaa jo lafz likhe vo mirii jaageer hue sab marte hain magar maut se pahle nahin marte ye vaqiaa' aisa hai ki dil-geer hue sab vo ahl-e-qalam saaya-e-rehmat ki tarah the ham itne ghate apni hi ta'zeer hue sab us lafz ki maanind jo khulta hi chala jaa.e ye zaat-o-zamaan mujh se hi tahreer hue sab itnaa sukhan-e-meer nahin sahal KHuda khairnaqqaad bhi ab mo'taqid-e-'meer hue sab

Obaidullah Aleem

1 likes

banaa gulaab to kaañte chubha gaya ik shaKHs hua charaaghh to ghar hi jala gaya ik shaKHs tamaam rang mire aur saare KHvaab mire fasana the ki fasana banaa gaya ik shaKHs main kis hawa men udoon kis fazaa men lehraaoon dukhon ke jaal har ik soo bichha gaya ik shaKHs palat sakoon hi na aage hi badh sakoon jis par mujhe ye kaun se raaste laga gaya ik shaKHs mohabbatein bhi ajab us ki nafratein bhi kamaal mirii hi tarah ka mujh men samaa gaya ik shaKHs mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use mile vo zakham ki phir yaad aa gaya ik shaKHs khula ye raaz ki aaina-khaana hai duniya aur us men mujh ko tamasha banaa gaya ik shaKHs

Obaidullah Aleem

1 likes

shikasta-haal sa be-aasra sa lagta hai ye shahar dil se ziyaada dukha sa lagta hai har ik ke saath koi vaqiaa' sa lagta hai jise bhi dekho vo khoya hua sa lagta hai zameen hai so vo apni gardishon men kahii jo chaand hai so vo toota hua sa lagta hai mere watan pe utarte hue andheron ko jo tum kaho mujhe qahr-e-khuda sa lagta hai jo shaam aayi to phir shaam ka laga darbaar jo din hua to vo din karbala sa lagta hai ye raat kha gaii ik ek kar ke saare charaaghh jo rah gaya hai vo bujhta hua sa lagta hai dua karo ki main us ke li.e dua ho jaaun vo ek shaKHs jo dil ko dua sa lagta hai to dil men bujhne si lagti hai kaayenaat tamaam k abhii k abhii jo mujhe tu bujha sa lagta hai jo aa rahi hai sadaa ghaur se suno us ko ki is sadaa men KHuda bolta sa lagta hai abhii khareed len duniya kahaan ki mahangi hai magar zameer ka sauda bura sa lagta hai ye maut hai ya koi aakhiri visaal ke baa'd ajab sukoon men soya hua sa lagta hai hawaa-e-rang-e-do-aalam men jaagti hui lay aleem hi kahii naghma-saraa sa lagta hai

Obaidullah Aleem

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Obaidullah Aleem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.