ghazalKuch Alfaaz

haail thi biich men jo razai tamam shab is ghham se ham ko niind na aai tamam shab ki yaas se havas ne ladai tamam shab tum ne to khuub raah dikhai tamam shab phir bhi to khatm ho na saki aarzu ki baat har chand ham ne un ko sunai tamam shab bebak milte hi jo hue ham to sharm se aankh us pari ne phir na milai tamam shab dil khuub janta hai ki tum kis khayal se karte rahe adu ki burai tamam shab phir shaam hi se kyuun vo chale the chhuda ke haath dukhti rahi jo un ki kalai tamam shab 'hasrat' se kuchh vo aate hi aise hue khafa phir ho saki na un se safai tamam shab hail thi bich mein jo razai tamam shab is gham se hum ko nind na aai tamam shab ki yas se hawas ne ladai tamam shab tum ne to khub rah dikhai tamam shab phir bhi to khatm ho na saki aarzu ki baat har chand hum ne un ko sunai tamam shab bebak milte hi jo hue hum to sharm se aankh us pari ne phir na milai tamam shab dil khub jaanta hai ki tum kis khayal se karte rahe adu ki burai tamam shab phir sham hi se kyun wo chale the chhuda ke hath dukhti rahi jo un ki kalai tamam shab 'hasrat' se kuchh wo aate hi aise hue khafa phir ho saki na un se safai tamam shab

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

More from Hasrat Mohani

aasaan-e-haqeeqi hai na kuchh sahl-e-majaazi maaloom hui raah-e-mohabbat ki daraazi kuchh lutf o nazar laazim o malzoom nahin hain ik ye bhi tamannaa ki na ho shobda baazi dil khoob samajhta hai tire harf-e-karam ko har-chand vo urdu hai na turki hai na taazi qaaim hai na vo husn-e-rukh-e-yaar ka aalam baaki hai na vo shauq ki hangaama-nawaazi ai ishq tiri fateh bahr-haal hai saabit mar kar bhi shaheedaan-e-mohabbat hue ghaazi kar jald ha men khatm kahii ai gham-e-jaanaan kaam aayegi kis roz tiri seena-gudaazi maaloom hai duniya ko ye hasrat ki haqeeqat khilwat men vo may-khwaar hai jalvat men namaazi

Hasrat Mohani

0 likes

aur bhi ho ga.e begaana vo ghaflat kar ke aazmaaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke dil ne chhodaa hai na chhode tire milne ka khayal baar-ha dekh liya ham ne malaamat kar ke dekhne aa.e the vo apni mohabbat ka asar kehne ko ye hai ki aa.e hain ayaadat kar ke pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salaah baith rahiye gham-e-hijraan pe qanaat kar ke dil ne paaya hai mohabbat ka ye aali rutba aap ke dard-e-dawaakaar ki khidmat kar ke rooh ne paai hai takleef-e-judaai se najaat aap ki yaad ko sarmaaya-e-raahat kar ke chhed se ab vo ye kahte hain ki sambhalon hasrat sabr o taab-e-dil-e-beemaar ko gharaat kar ke

Hasrat Mohani

0 likes

hai mashq-e-sukhan jaarii chakki ki mashqat bhi ik turfah tamasha hai hasrat ki tabeeyat bhi jo chaaho saza de lo tum aur bhi khul khelo par ham se qasam le lo ki ho jo shikaayat bhi dushwaar hai rindon par inkaar-e-karam yaksar ai saaqi-e-jaan-parvar kuchh lutf-o-inaayat bhi dil bas-ki hai deewaana us husn-e-gulaabi ka rangeen hai usii roo se shaayad gham-e-furqat bhi KHud ishq ki gustaakhi sab tujh ko sikha degi ai husn-e-haya-parvar shokhi bhi sharaarat bhi barsaat ke aate hi tauba na rahi baaki baadal jo nazar aa.e badli meri niyat bhi ushshaq ke dil naazuk us shokh ki khoo naazuk naazuk isee nisbat se hai kaar-e-mohabbat bhi rakhte hain mire dil par kyun tohmat-e-betaabi yaa naala-e-muztar ki jab mujh men ho quwwat bhi ai shauq ki bebaki vo kya teri KHvaahish thii jis par unhen ghussa hai inkaar bhi hairat bhi har-chand hai dil shaida hurriyat-e-kaamil ka manzoor-e-dua lekin hai qaid-e-mohabbat bhi hain shaad o safee shaair ya shauq o vafaa hasrat phir zaamin o mahshar hain iqbaal bhi vehshat bhi

Hasrat Mohani

0 likes

apna sa shauq auron men laayein kahaan se ham ghabra ga.e hain be-dili-e-hamrahaan se ham kuchh aisi door bhi to nahin manzil-e-muraad lekin ye jab ki chhoot chalen kaarwaan se ham ai yaad-e-yaar dekh ki ba-wasf-e-ranj-e-hijr masroor hain tiri khalish-e-na-tavaan se ham maaloom sab hai poochte ho phir bhi muddaa ab tum se dil ki baat kahein kya zabaan se ham ai zohd-e-khushk teri hidaayat ke vaaste saugaat-e-ishq laaye hain koo-e-butaan se ham betaabiyon se chhup na sakaa haal-e-aarzoo aaKHir bache na us nigah-e-bad-guma se ham peeraana-sar bhi shauq ki himmat buland hai khwaahaan-e-kaam-e-jaan hain jo us naujavaan se ham mayus bhi to karte nahin tum z-raah-e-naaz tang aa ga.e hain kashmakash-e-imtihaan se ham khilwat banegi tere gham-e-jaan-navaaz ki lenge ye kaam apne dil-e-shaadmaan se ham hai intiha-e-yaas bhi ik ibtida-e-shauq phir aa ga.e wahin pe chale the jahaan se ham hasrat phir aur ja ke karen kis ki bandagi achha jo sar uthaaye bhi is aastaan se ham

Hasrat Mohani

1 likes

kya vo ab naadim hain apne jaur ki roodaad se laaye hain meerut jo aaKHir mujh ko faizaabaad se sair-e-gul ko aayi thii jis dam sawaari aap ki phool utha tha chaman fakhr-e-mubaarakbaad se har kas-o-na-kas ho kyunkar kaamgaar-e-be-khu dii ye hunar seekha hai dil ne ik bade ustaad se ik jahaan mast-e-mohabbat hai ki har soo b-e-uns chhaai hai un gesuon ki nikhat-e-barbaad se ab talak maujood hai kuchh kuchh laga laaye the ham vo jo ik lapka kabhi na khaak-e-jahaan aabaad se daava-e-taqva ka hasrat kis ko aata hai yaqeen aap aur jaate rahen peer-e-mugaan ki yaad se

Hasrat Mohani

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Hasrat Mohani.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Hasrat Mohani's ghazal.