haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e
Related Ghazal
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare
Kumar Vishwas
56 likes
More from Firaq Gorakhpuri
ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
sitaaron se uljhta ja raha hooñ shab-e-furqat bahut ghabra raha hooñ tire gham ko bhi kuchh bahla raha hooñ jahaan ko bhi samajhta ja raha hooñ yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai gumaan ye hai ki dhoke kha raha hooñ agar mumkin ho le le apni aahat khabar do husn ko main aa raha hooñ hadein husn-o-mohabbat ki mila kar qayamat par qayamat dhaa raha hooñ khabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat tire haathon men lutta ja raha hooñ asar bhi le raha hooñ teri chup ka tujhe qaail bhi karta ja raha hooñ bharam tere sitam ka khul chuka hai main tujh se aaj kyun sharmaa raha hooñ unhin men raaz hain gul-baariyon ke main jo chingaariyaan barsa raha hooñ jo un maasoom aankhoñ ne diye the vo dhoke aaj tak main kha raha hooñ tire pahluu men kyun hota hai mehsoos ki tujh se door hota ja raha hooñ had-e-jor-o-karam se badh chala husn nigah-e-yaar ko yaad aa raha hooñ jo uljhi thii kabhi aadam ke haathon vo gut thii aaj tak suljhaa raha hooñ mohabbat ab mohabbat ho chali hai tujhe kuchh bhoolta sa ja raha hooñ ajal bhi jin ko sun kar jhoomti hai vo nag men zindagi ke ga raha hooñ ye sannaata hai mere paanv ki chaap firaq apni kuchh aahat pa raha hooñ
Firaq Gorakhpuri
2 likes
kuchh na kuchh ishq ki taaseer ka iqaar to haius ka ilzaam-e-taghaful pe kuchh inkaar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-daar to hai teraa deewaana kisi kaam men hushyaar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaqa-e-jamaal KHair deedaar na ho hasrat-e-deedaar to hai maarake sar hon usii barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwaar to hai sar patkane ko patkata hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewaar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gayana sahi jaur magar jaur ka iqaar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kehne ki KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is men bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak KHair iqaar-e-mohabbat na ho inkaar to hai kyun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigaah ye jhijak kis li.e ik kushta-e-deedaar to hai kaii unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kaar to hai sehar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkaar to hai chaunk uthte hain firaq aate hi us shokh ka naam kuchh saraasimagi-e-ishq ka iqaar to hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
aaj bhi qaafila-e-ishq ravaan hai ki jo tha vahii meel aur vahii sang-e-nishaan hai ki jo tha phir tira gham vahii ruswa-e-jahaan hai ki jo tha phir fasana ba-hadees-e-digaraan hai ki jo tha manzilen gard ke maanind udri jaati hain vahii andaaz-e-jahaan-e-guzaraan hai ki jo tha zulmat o noor men kuchh bhi na mohabbat ko mila aaj tak ek dhundlake ka samaan hai ki jo tha yuñ to is daur men be-kaif si hai bazm-e-hayaat ek hangaama sar-e-ritl-e-giraan hai ki jo tha laakh kar jaur-o-sitam laakh kar ehsaan-o-karam tujh pe ai dost vahii wahm-o-gumaan hai ki jo tha aaj phir ishq do-aalam se juda hota hai aasteenon men li.e kaun-o-makaan hai ki jo tha ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut vahii kam kam asar-e-soz-e-nihaan hai ki jo tha nazar aa jaate hain tum ko to bahut naazuk baal dil mira kya vahii ai sheesha-giraan hai ki jo tha jaan de baithe the ik baar havas waale bhi phir vahii marhala-e-sood-o-ziyaan hai ki jo tha aaj bhi said-gah-e-ishq men husn-e-saffaak li.e abroo ki lachakti si kamaan hai ki jo tha phir tiri chashm-e-sukhan-sanj ne chhedi koi baat vahii jaadu hai vahii husn-e-bayaan hai ki jo tha raat bhar husn par aa.e bhi ga.e sau sau rang shaam se ishq abhii tak nigaraan hai ki jo tha jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsaan-o-karam tujh pe ai dost vahii wahm-o-gumaan hai ki jo tha aankh jhapki ki idhar khatm hua roz-e-visaal phir bhi is din pe qayamat ka gumaan hai ki jo tha qurb hi kam hai na doori hi ziyaada lekin aaj vo rabt ka ehsaas kahaan hai ki jo tha teera-bakhti nahin jaati dil-e-sozaan ki firaq shama' ke sar pe vahii aaj dhuaan hai ki jo tha
Firaq Gorakhpuri
1 likes
ab akshar chup chup se rahen hain yoonhi kabhu lab khole hain pahle firaq ko dekha hota ab to bahut kam bolein hain din men ham ko dekhne waalo apne apne hain auqaat jaao na tum in khushk aankhoñ par ham raaton ko ro len hain fitrat meri ishq-o-mohabbat qismat meri tanhaai kehne ki naubat hi na aayi ham bhi kisoo ke ho len hain khunuk siyah mahke hue saa.e phail jaayen hain jal-thal par kin jatnon se meri ghazlein raat ka judaa khole hain baagh men vo khwaab-aavar aalam mauj-e-saba ke ishaaron par daali daali nauras patte sahaj sahaj jab dolein hain uf vo labon par mauj-e-tabassum jaise karvatein len kaunde haaye vo aalam-e-jumbish-e-mizgaan jab fitne par taulein hain naqsh-o-nigaar-e-ghazal men jo tum ye shaadaabi paao ho ham ashkon men kaayenaat ke nok-e-qalam ko dubo len hain in raaton ko hareem-e-naaz ka ik aalam hue hai nadeem khilwat men vo narm ungaliyaan band-e-qaba jab khole hain gham ka fasana sunne waalo aakhir-e-shab aaraam karo kal ye kahaanii phir chhedenge ham bhi zaraa ab so len hain ham log ab to ajnabi se hain kuchh to batao haal-e-'firaq ab to tumheen ko pyaar karen hain ab to tumheen se bolein hain
Firaq Gorakhpuri
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.







