ghazalKuch Alfaaz

sitaaron se uljhta ja raha hooñ shab-e-furqat bahut ghabra raha hooñ tire gham ko bhi kuchh bahla raha hooñ jahaan ko bhi samajhta ja raha hooñ yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai gumaan ye hai ki dhoke kha raha hooñ agar mumkin ho le le apni aahat khabar do husn ko main aa raha hooñ hadein husn-o-mohabbat ki mila kar qayamat par qayamat dhaa raha hooñ khabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat tire haathon men lutta ja raha hooñ asar bhi le raha hooñ teri chup ka tujhe qaail bhi karta ja raha hooñ bharam tere sitam ka khul chuka hai main tujh se aaj kyun sharmaa raha hooñ unhin men raaz hain gul-baariyon ke main jo chingaariyaan barsa raha hooñ jo un maasoom aankhoñ ne diye the vo dhoke aaj tak main kha raha hooñ tire pahluu men kyun hota hai mehsoos ki tujh se door hota ja raha hooñ had-e-jor-o-karam se badh chala husn nigah-e-yaar ko yaad aa raha hooñ jo uljhi thii kabhi aadam ke haathon vo gut thii aaj tak suljhaa raha hooñ mohabbat ab mohabbat ho chali hai tujhe kuchh bhoolta sa ja raha hooñ ajal bhi jin ko sun kar jhoomti hai vo nag men zindagi ke ga raha hooñ ye sannaata hai mere paanv ki chaap firaq apni kuchh aahat pa raha hooñ

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

More from Firaq Gorakhpuri

kuchh na kuchh ishq ki taaseer ka iqaar to haius ka ilzaam-e-taghaful pe kuchh inkaar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-daar to hai teraa deewaana kisi kaam men hushyaar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaqa-e-jamaal KHair deedaar na ho hasrat-e-deedaar to hai maarake sar hon usii barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwaar to hai sar patkane ko patkata hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewaar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gayana sahi jaur magar jaur ka iqaar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kehne ki KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is men bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak KHair iqaar-e-mohabbat na ho inkaar to hai kyun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigaah ye jhijak kis li.e ik kushta-e-deedaar to hai kaii unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kaar to hai sehar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkaar to hai chaunk uthte hain firaq aate hi us shokh ka naam kuchh saraasimagi-e-ishq ka iqaar to hai

Firaq Gorakhpuri

1 likes

ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai

Firaq Gorakhpuri

1 likes

haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e

Firaq Gorakhpuri

1 likes

apne gham ka mujhe kahaan gham hai ai ki teri khushi muqaddam hai aag men jo pada vo aag hua husn-e-soz-e-nihaan mujassam hai us ke shaitaan ko kahaan taufeeq ishq karna gunaah-e-aadam hai dil ke dharkon men zor-e-zarb-e-kaleem kis qadar is habaab men dam hai hai vahii ishq zinda-o-jaaved jise aab-e-hayaat bhi sam hai is men thehraav ya sukoon kahaan zindagi inqilaab-e-paiham hai ik tadap mauj-e-tah-nasheen ki tarah zindagi ki bina-e-mohkam hai rahtii duniya men ishq ki duniya naye unwaan se munazzam hai uthne waali hai bazm maazi ki raushni kam hai zindagi kam hai ye bhi nazm-e-hayaat hai koi zindagi zindagi ka maatam hai ik mu'ammaa hai zindagi ai dost ye bhi teri ada-e-mubaham hai ai mohabbat tu ik azaab sahi zindagi be tire jahannam hai ik talaatum sa rang-o-nikhat ka paikar-e-naaz men dama-dam hai firne ko hai raseeli neem-nigaah aahu-e-naaz maail-e-raam hai roop ke jot zer-e-pairahan gulsitaan par rida-e-shabnam hai mere seene se lag ke so jaao palken bhari hain raat bhi kam hai aah ye mehrabaaniyaan teri shaadmaani ki aankh pur-nam hai narm o doshizaa kis qadr hai nigaah har nazar daastaan-e-maryam hai mehr-o-mah shola-ha-e-saaz-e-jamaal jis ki jhankaar itni madhham hai jaise uchhale junoon ki pahli shaam is ada se vo zulf barham hai yuñ bhi dil men nahin vo pahli umang aur teri nigaah bhi kam hai aur kyun chhedti hai gardish-e-charkh vo nazar phir gaii ye kya kam hai roo-kash-e-sad-hareem-e-dil hai fazaa vo jahaan hain ajeeb aalam hai diye jaati hai lau sada-e-'firaq haan vahii soz-o-saaz kam kam hai

Firaq Gorakhpuri

1 likes

aaj bhi qaafila-e-ishq ravaan hai ki jo tha vahii meel aur vahii sang-e-nishaan hai ki jo tha phir tira gham vahii ruswa-e-jahaan hai ki jo tha phir fasana ba-hadees-e-digaraan hai ki jo tha manzilen gard ke maanind udri jaati hain vahii andaaz-e-jahaan-e-guzaraan hai ki jo tha zulmat o noor men kuchh bhi na mohabbat ko mila aaj tak ek dhundlake ka samaan hai ki jo tha yuñ to is daur men be-kaif si hai bazm-e-hayaat ek hangaama sar-e-ritl-e-giraan hai ki jo tha laakh kar jaur-o-sitam laakh kar ehsaan-o-karam tujh pe ai dost vahii wahm-o-gumaan hai ki jo tha aaj phir ishq do-aalam se juda hota hai aasteenon men li.e kaun-o-makaan hai ki jo tha ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut vahii kam kam asar-e-soz-e-nihaan hai ki jo tha nazar aa jaate hain tum ko to bahut naazuk baal dil mira kya vahii ai sheesha-giraan hai ki jo tha jaan de baithe the ik baar havas waale bhi phir vahii marhala-e-sood-o-ziyaan hai ki jo tha aaj bhi said-gah-e-ishq men husn-e-saffaak li.e abroo ki lachakti si kamaan hai ki jo tha phir tiri chashm-e-sukhan-sanj ne chhedi koi baat vahii jaadu hai vahii husn-e-bayaan hai ki jo tha raat bhar husn par aa.e bhi ga.e sau sau rang shaam se ishq abhii tak nigaraan hai ki jo tha jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsaan-o-karam tujh pe ai dost vahii wahm-o-gumaan hai ki jo tha aankh jhapki ki idhar khatm hua roz-e-visaal phir bhi is din pe qayamat ka gumaan hai ki jo tha qurb hi kam hai na doori hi ziyaada lekin aaj vo rabt ka ehsaas kahaan hai ki jo tha teera-bakhti nahin jaati dil-e-sozaan ki firaq shama' ke sar pe vahii aaj dhuaan hai ki jo tha

Firaq Gorakhpuri

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.