ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi
Umair Najmi
68 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
zindagi se badi saza hi nahin aur kya jurm hai pata hi nahin itne hisson men bat gaya hooñ main mere hisse men kuchh bacha hi nahin zindagi maut teri manzil hai doosra koii raasta hi nahin sach ghate ya badhe to sach na rahe jhooth kii koii intiha hi nahin zindagi ab bataa kahaan jaayen zahar bazaar men mila hi nahin jis ke kaaran fasaad hote hainus ka koii ata-pata hi nahin kaise avtaar kaise paighambar aisa lagta hai ab KHuda hi nahin chahe sone ke fra men men jad do aaina jhooth bolta hi nahin apni rachnaon men vo zinda hai noor sansaar se gaya hi nahin
Krishna Bihari Noor
37 likes
bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main
Umair Najmi
55 likes
More from Firaq Gorakhpuri
haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
1 likes
sitaaron se uljhta ja raha hooñ shab-e-furqat bahut ghabra raha hooñ tire gham ko bhi kuchh bahla raha hooñ jahaan ko bhi samajhta ja raha hooñ yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai gumaan ye hai ki dhoke kha raha hooñ agar mumkin ho le le apni aahat khabar do husn ko main aa raha hooñ hadein husn-o-mohabbat ki mila kar qayamat par qayamat dhaa raha hooñ khabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat tire haathon men lutta ja raha hooñ asar bhi le raha hooñ teri chup ka tujhe qaail bhi karta ja raha hooñ bharam tere sitam ka khul chuka hai main tujh se aaj kyun sharmaa raha hooñ unhin men raaz hain gul-baariyon ke main jo chingaariyaan barsa raha hooñ jo un maasoom aankhoñ ne diye the vo dhoke aaj tak main kha raha hooñ tire pahluu men kyun hota hai mehsoos ki tujh se door hota ja raha hooñ had-e-jor-o-karam se badh chala husn nigah-e-yaar ko yaad aa raha hooñ jo uljhi thii kabhi aadam ke haathon vo gut thii aaj tak suljhaa raha hooñ mohabbat ab mohabbat ho chali hai tujhe kuchh bhoolta sa ja raha hooñ ajal bhi jin ko sun kar jhoomti hai vo nag men zindagi ke ga raha hooñ ye sannaata hai mere paanv ki chaap firaq apni kuchh aahat pa raha hooñ
Firaq Gorakhpuri
2 likes
kuchh na kuchh ishq ki taaseer ka iqaar to haius ka ilzaam-e-taghaful pe kuchh inkaar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-daar to hai teraa deewaana kisi kaam men hushyaar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaqa-e-jamaal KHair deedaar na ho hasrat-e-deedaar to hai maarake sar hon usii barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwaar to hai sar patkane ko patkata hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewaar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gayana sahi jaur magar jaur ka iqaar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kehne ki KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is men bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak KHair iqaar-e-mohabbat na ho inkaar to hai kyun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigaah ye jhijak kis li.e ik kushta-e-deedaar to hai kaii unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kaar to hai sehar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkaar to hai chaunk uthte hain firaq aate hi us shokh ka naam kuchh saraasimagi-e-ishq ka iqaar to hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
kisi ka yuñ to hua kaun umr bhar phir bhi ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi hazaar baar zamaana idhar se guzra hai nayi nayi si hai kuchh teri raahguzaar phir bhi kahooñ ye kaise idhar dekh ya na dekh udhar ki dard dard hai phir bhi nazar nazar phir bhi khusa ishaara-e-paiham zahe sukoot-e-nazar daraaz ho ke fasana hai mukhtasar phir bhi jhapak rahi hain zamaan o makaan ki bhi aañkhen magar hai qaafila aamada-e-safar phir bhi shab-e-firaq se aage hai aaj meri nazar ki kat hi jaayegi ye shaam-e-be-sehr phir bhi kahii yahii to nahin kaashif-e-hayaat-o-mamaat ye husn o ishq ba-zaahir hain be-KHabar phir bhi palat rahe hain ghareeb-ul-watan palatna tha vo koocha roo-kash-e-jannat ho ghar hai ghar phir bhi luta hua chaman-e-ishq hai nigaahon ko dikha gaya vahii kya kya gul o samar phir bhi KHaraab ho ke bhi socha ki.e tire mahjoor yahii ki teri nazar hai tiri nazar phir bhi ho be-niyaaz-e-asar bhi kabhi tiri miTTi vo keemiya hi sahi rah gaii kasar phir bhi lipt gaya tira deewaana garche manzil se udri udri si hai ye khaak-e-rahguzar phir bhi tiri nigaah se bachne men umr guzri hai utar gaya rag-e-jaan men ye neshtar phir bhi gham-e-firaq ke kushto'n ka hashr kya hogaa ye shaam-e-hijr to ho jaayegi sehar phir bhi fana bhi ho ke giraa-baari-e-hayaat na pooch uthaaye uth nahin saka ye dard-e-sar phir bhi sitam ke rang hain har iltifaat-e-pinhaan men karam-numa hain tire jaur sar-b-sar phir bhi khatamuaaf tira 'afv bhi hai misl-e-saza tiri saza men hai ik shaan-e-dar-guzar phir bhi agarche be-khudi-e-ishq ko zamaana hua firaq karti rahi kaam vo nazar phir bhi
Firaq Gorakhpuri
2 likes
deedaar men ik turfah deedaar nazar aaya har baar chhupa koi har baar nazar aaya chhaalon ko biyaabaan bhi gulzaar nazar aaya jab chhed par aamada har khaar nazar aaya subh-e-shab-e-hijraan ki vo chaak-garebaani ik aalam-e-nairangi har taar nazar aaya ho sabr ki betaabi ummeed ki maayusi nairang-e-mohabbat bhi be-kaar nazar aaya jab chashm-e-siyah teri thii chhaai hui dil par is mulk ka har khitaa taataar nazar aaya tu ne bhi to dekhi thii vo jaati hui duniya kya aakhri lamhon men beemaar nazar aaya ghash kha ke gire moosa allah-ree maayusi halka sa vo parda bhi deewaar nazar aaya zarra ho ki qatra ho khum-khaana-e-hasti men makhmoor nazar aaya sarshaar nazar aaya kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne aur yuñ to hua jo kuchh be-kaar nazar aaya ai ishq qasam tujh ko ma'amura-e-aalam ki koi gham-e-furqat men gham-khwaar nazar aaya shab kat gaii furqat ki dekha na firaq aaKHir tool-e-gham-e-hijraan bhi be-kaar nazar aaya
Firaq Gorakhpuri
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.







