ghazalKuch Alfaaz

ham bhi firte hain yak hashm le kar dasta-e-daag-o-fauj-e-gham le kar dast-kash naala pesh-rau giryaa aah chalti hai yaa ilm le kar marg ik maandagi ka waqfa hai ya'ni aage chalenge dam le kar us ke u uupar ki dil se tha nazdeek gham-e-doori chale hain ham le kar teri vaz-e-sitam se ai be-dard ek aalam gaya alam le kar baarha said-gah se us ki ga.e daag-e-yaas aahu-e-haram le kar zof yaa tak khincha ki soorat-gar rah ga.e haath men qalam le kar dil pe kab iktifa kare hai ishqjaayega jaan bhi ye gham le kar shauq agar hai yahii to ai qaasid ham bhi aate hain ab raqam le kar meer'-saahib hi chooke e bad-ahd warna dena tha dil qasam le kar

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

dil ko teri KHvaahish pahli baar hui is sehra men baarish pahli baar hui maangne waale heere moti maangte hain ashkon ki basaaoge pahli baar hui doobne waale ik ik kar ke aa jaayen dariyaa men gunjaish pahli baar hui

Abrar Kashif

46 likes

More from Meer Taqi Meer

kab talak ye sitam uthaaiyega ek din yoonhi jee se jaaiyega shakl tasveer-e-be-khu dii kab tak kaso din aap men bhi aaiyega sab se mil chal ki haadse se phir kahii dhoonda bhi to na paaiyega na mooe ham aseeri men to naseem koi din aur baav khaaiyega kahiyea us se qissa-e-majnoon ya'ni parde men gham sunaaiyega us ke pa-bos ki tavakko par apne teen KHaak men milaaiyega us ke paanv ko ja lagii hai hina khoob se haath use lagaaiyega shirkat-sheikh-o-brahman se meer ka'ba-o-dair se bhi jaaiyega apni dedh iint ki jad dii masjid kisi veeraane men banaaiyega

Meer Taqi Meer

1 likes

dekhega jo tujh ro ko so hairaan rahega waabasta tire moo ka pareshaan rahega vaa'da to kiya is se dam-e-subh ka lekinus dam tai mujh men bhi agar jaan rahega muna'im ne banaa zulm ki rakh ghar to banaya par aap koi raat hi mehmaan rahega chhootoon kahii eeza se laga ek hi jallaad ta-hashr mire sar pe ye ehsaan rahega chimte rahenge dast-e-mohabbat men sar-o-tegh mahshar tai khaali na ye maidaan rahega jaane ka nahin shor sukhun ka mire hargiz ta-hashr jahaan men mira deevaan rahega dil dene ki aisi harkat un ne nahin ki jab tak jiyega meer pashemaan rahega

Meer Taqi Meer

0 likes

kis husn se kahooñ main us ki khush-akhtari ki is maah-roo ke aage kya taab mushtari ki rakhna na tha qadam yaa jun baad be-taammul sair is jahaan ki rahraw par tu ne sarsari ki shubhaa bahaal sag men ik umr sirf ki hai mat pooch in ne mujh se jo aadmi-gari ki paa.e gul us chaman men chhodaa gaya na ham se sar par hamaare ab ke mannat hai be-paree ki pesha to ek hi tha us ka hamaara lekin majnoon ke taaleon ne shohrat men yaavari ki girye se daag-e-seena taaza hue hain saare ye kisht-e-khushk tu ne ai chashm phir hari ki ye daur to muaafiq hota nahin magar ab rakhiye bina-e-taaza is charkh-e-chambri ki khooban tumhaari khoobi taa-chand naql kariye ham ranja-khaatiron ki kya khoob dilbari ki ham se jo meer ud kar aflaak-e-charkh men hain un KHaak men maloo ki kahe ko hamsari ki

Meer Taqi Meer

0 likes

makka gaya madeena gaya karbala gaya jaisa gaya tha waisa hi chal phir ke aa gaya dekha ho kuchh us aamad-o-shud men to main kahooñ KHud gum hua hooñ baat ki tah ab jo pa gaya kapde gale ke mere na hon aab-deeda kyun maanind-e-abr deeda-e-tar ab to chha gaya jaan-soz aah o naala samajhta nahin hooñ main yak shola mere dil se utha tha jala gaya vo mujh se bhaagta hi fira kibr-o-naaz se jun jun niyaaz kar ke main us se laga gaya jor-e-sephar-e-doon se bura haal tha bahut main sharm-e-na-kasi se zameen men samaa gaya dekha jo raah jaate tabkhtur ke saath use phir mujh shikasta-paa se na ik-dam raha gaya baitha to boriye ke tai sar pe rakh ke meer saf kis adab se ham fukraa ki utha gaya

Meer Taqi Meer

3 likes

shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka

Meer Taqi Meer

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Meer Taqi Meer.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.