ghazalKuch Alfaaz

makka gaya madeena gaya karbala gaya jaisa gaya tha waisa hi chal phir ke aa gaya dekha ho kuchh us aamad-o-shud men to main kahooñ KHud gum hua hooñ baat ki tah ab jo pa gaya kapde gale ke mere na hon aab-deeda kyun maanind-e-abr deeda-e-tar ab to chha gaya jaan-soz aah o naala samajhta nahin hooñ main yak shola mere dil se utha tha jala gaya vo mujh se bhaagta hi fira kibr-o-naaz se jun jun niyaaz kar ke main us se laga gaya jor-e-sephar-e-doon se bura haal tha bahut main sharm-e-na-kasi se zameen men samaa gaya dekha jo raah jaate tabkhtur ke saath use phir mujh shikasta-paa se na ik-dam raha gaya baitha to boriye ke tai sar pe rakh ke meer saf kis adab se ham fukraa ki utha gaya

Related Ghazal

maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho

Jawwad Sheikh

50 likes

bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main

Umair Najmi

55 likes

yaanii ki ishq apna mukammal nahin hua gar main tumhaare hijr men paagal nahin hua vo shakhs saalon baad bhi kitna haseen hai vo rang canvas pe kabhi dal nahin hua us god jaisi neend muyassar na ho saki utna to makhmali kabhi makhmal nahin hua do chaar raabton ne hi paagal kiya mujhe achha hua jo rabt musalsal nahin hua is baar mere haal pe khulkar nahin hañsi is baar tere gaal pe dimple nahin hua andha vo kyuuñ hua pata lagne ke baad main ta-umr uski aankh se ojhal nahin hua yuñ kheenchti hai teer vo apne nishaane par har ik shikaar mar gaya ghaayal nahin hua

Kushal Dauneria

34 likes

bas ik nigaah-e-naaz ko tarsa hua tha main haalanki shahar-shahar men faila hua tha main muddat ke baad aaina dekha to ro pada kis behtareen dost se rootha hua tha main pahna jo renkot to baarish nahin hui lautaa jo ghar to sharm se bheega hua tha main pahle bhi dii gaii thii mujhe bazm ki dua pahle bhi is dua pe akela hua tha main kitnii ajeeb baat hai na tu hi aa gaya tere hi intzaar men baitha hua tha main

Zubair Ali Tabish

47 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

More from Meer Taqi Meer

mustoojib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hooñ har-chand ki jalta hooñ pe sargarm-e-wafa hooñ aate hain mujhe khoob se dono hunar-e-ishq rone ke tai aandhi hooñ kudhne ko bala hooñ is gulshan-e-duniya men shagufta na hua main hooñ ghuncha-e-afsurdah ki mardood-e-saba hooñ ham-chashm hai har aabla-e-paa ka mira ashk az-bas ki tiri raah men aankhoñ se chala hooñ aaya koi bhi tarah mire cheen ki hogii aazurda hooñ jeene se main marne se KHafaa hooñ daaman na jhatak haath se mire ki sitamgar hooñ khaak-e-sar-e-raah koi dam men hua hooñ dil khwaah jala ab to mujhe ai shab-e-hijraan main sokhta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hooñ go taqat-o-aaraam-o-khor-o-khwaab ga.e sab baare ye ghaneemat hai ki jeeta to raha hooñ itnaa hi mujhe ilm hai kuchh main hooñ bahr-cheez ma'aloom nahin khoob mujhe bhi ki main kya hooñ behtar hai garz KHaamushi hi kehne se yaaraan mat poochho kuchh ahvaal ki mar mar ke jiya hooñ tab garm-e-sukhan kehne laga hooñ main ki ik umr jun shama' sar-e-shaam se ta-subh jala hooñ seena to kiya fazl-e-ilaahi se sabhi chaak hai waqt-e-dua meer ki ab dil ko laga hooñ

Meer Taqi Meer

0 likes

kya mire aane pe tu ai but-e-maghrur gaya kabhi us raah se niklaa to tujhe ghur gaya le gaya subh ke nazdeek mujhe KHvaab ai waaye aankh us vaqt khulii qaafila jab door gaya gor se naale nahin uthte to nay ugati hai jee gaya par na hamaara sar pur-shor gaya chashm-e-khun-basta se kal raat lahu phir tapka ham ne jaana tha ki bas ab to ye naasoor gaya na-tawan ham hain ki hain KHaak gali ki us ki ab to be-taaqati se dil ka bhi maqdoor gaya le kahii munh pe naqaab apne ki ai ghairat-e-subh shama' ke chahra-e-rakhshaan se to ab noor gaya naala-e-meer nahin raat se sunte ham log kya tire kooche se ai shokh vo ranjoor gaya

Meer Taqi Meer

0 likes

khush-qadaan jab sawaar hote hain sarv-o-qumri shikaar hote hain tere baalon ke wasf men mere she'r sab paechdaar hote hain aao yaad-e-butaan pa bhool na jaao ye taghaful-shiaar hote hain dekh levengay gair ko tujh paaas sohbaton men bhi yaar hote hain sadqe ho leven ek-dam tere paahir to tujh paar nisaar hote hain tu kare hai qaraar milne ka ham abhii be-qaraar hote hain haft-iqleem har gali hai kahii dilli se bhi dayaar hote hain rafta rafta ye tifl-e-khush-zaahir fitna-e-rozgaar hote hain us ke nazdeek kuchh nahin izzat meer'-ji yuñ hi khwaar hote hain

Meer Taqi Meer

0 likes

dekhega jo tujh ro ko so hairaan rahega waabasta tire moo ka pareshaan rahega vaa'da to kiya is se dam-e-subh ka lekinus dam tai mujh men bhi agar jaan rahega muna'im ne banaa zulm ki rakh ghar to banaya par aap koi raat hi mehmaan rahega chhootoon kahii eeza se laga ek hi jallaad ta-hashr mire sar pe ye ehsaan rahega chimte rahenge dast-e-mohabbat men sar-o-tegh mahshar tai khaali na ye maidaan rahega jaane ka nahin shor sukhun ka mire hargiz ta-hashr jahaan men mira deevaan rahega dil dene ki aisi harkat un ne nahin ki jab tak jiyega meer pashemaan rahega

Meer Taqi Meer

0 likes

kharaabi kuchh na poochho mulakat-e-dil ki imarat ki ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaa dii hi gharaat ki nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka pade the baagh men yak-musht par udhar ishaarat ki jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam usii aatish ke par kaale ne ham se bhi sharaarat ki nazaakat kya kahooñ khursheed-roo ki kal shab-e-mah men gaya tha saa.e saa.e baagh tak tis par hararat ki nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe haqeeqat kuchh na poochho peer-e-kan'aan ki basaarat ki tire kooche ke shauq-e-tauf men jaise bagoola tha biyaabaan main ghubaar meer ki ham ne ziyaarat ki

Meer Taqi Meer

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Meer Taqi Meer.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.