hamesha zindagi ki har kamii ko jeete rahte hain jise ham jee nahin paa.e usii ko jeete rahte hain hamaare dukh ki baarish ko koi daaman nahin milta hamaari aankh ke baadal nami ko jeete rahte hain kisi ke saath hain rasmen kisi ke saath hain qasmen kisi ke saath jeena hai kisi ko jeete rahte hain ha men ma'aloom hai ik din bharosa toot jaayega magar phir bhi saraabo men na dii ko jeete rahte hain hamaare saath chalti hai tumhaare pyaar ki KHushboo lagaaee thii jo tum ne us lagii ko jeete rahte hain chahakte ghar mehakte khet aur vo gaav ki galiyaan jinhen ham chhod aa.e un sabhi ko jeete rahte hai KHuda ke naam-leva ham bhi hain tum bhi ho aur vo bhi magar afsos sab apni khu dii ko jeete rahte hain
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
More from Aalok Shrivastav
ghar ki buni yaaden deewarein baam-o-dar the baabu jee sab ko baandh ke rakhne vaala khaas hunar the baabu jee teen mohallon men un jaisi qad kaathee ka koi na tha achhe-khaase unche poore qad-aavar the baabu jee ab to us soone maathe par kore-pan ki chadar hai amma jee ki saari saj-dhaj sab zevar the baabu jee bheetar se khaalis jazbaati aur u uupar se theth pitaa alag anootha anbuujha sa ik tevar the baabu jee kabhi badaa sa haath-kharch the kabhi hatheli ki soojan mere man ka aadha saahas aadha dar the baabu jee
Aalok Shrivastav
2 likes
ye sochna galat hai ki tum par nazar nahin masroof ham bahut hain magar be-KHabar nahin ab to KHud apne KHoon ne bhi saaf kah diya main aap ka rahoonga magar umr bhar nahin aa hi ga.e hain KHvaab to phir jaayenge kahaan aankhoñ se aage un ki koi raahguzaar nahin kitna jiein kahaan se jiein aur kis li.e ye ikhtiyaar ham pe hai taqdeer par nahin maazi ki raakh ulteen to chingaariyaan miliin be-shak kisi ko chaaho magar is qadar nahin
Aalok Shrivastav
14 likes
agar safar men mire saath miraa yaar chale tawaaf karta hua mausam-e-bahaar chale laga ke vaqt ko thokar jo khaaksaar chale yaqeen ke qafile hamraah be-shumaar chale nawaazna hai to phir is tarah nawaaz mujhe ki mire ba'd miraa zikr baar baar chale ye jism kya hai koi pairhan udhaar ka hai yahiin sanbhaal ke pahna yahiin utaar chale ye jugnuon se bhara aasmaañ jahaan tak hai vahaañ talak tiri nazaron ka iqtidaar chale yahii to ek tamannaa hai is musaafir ki jo tum nahin to safar men tumhaara pyaar chale
Aalok Shrivastav
8 likes
theek hua jo bik ga.e sainik mutthi bhar deenaaron men vaise bhi to zang laga tha pushtaini hathiyaaron men sard nason men chalte chalte garm lahu jab barf hua chaar padosi jism utha kar jhonk aa.e angaaron men kheton ko mutthi men bharna ab tak seekh nahin paaya yuñ to meraa jeevan beeta saamanti ayyaaron men kaise us ke chaal-chalan men angrezee andaaz na ho aaKHir us ne saansen leen hain pachhim ke darbaaron men nazdeeki akshar doori ka kaaran bhi ban jaati hai soch-samajh kar ghulna-milna apne rishte-daaron men chaand agar poora chamke to us ke daagh khatkate hain ek na ek buraai tay hai saare izzat-daaron men
Aalok Shrivastav
1 likes
tu vafaa kar ke bhool ja mujh ko ab zaraa yuñ bhi aazma mujh ko ye zamaana bura nahin hai magar apni nazaron se dekhna mujh ko be-sada kaaghazon men aag laga aaj ki raat gunguna mujh ko tujh ko kis kis men dhoondhta aaKHir tu bhi kis kis se maangata mujh ko ab kisi aur ka pu jaarii hai jis ne maana tha devta mujh ko
Aalok Shrivastav
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aalok Shrivastav.
Similar Moods
More moods that pair well with Aalok Shrivastav's ghazal.







