ghazalKuch Alfaaz

ghar ki buni yaaden deewarein baam-o-dar the baabu jee sab ko baandh ke rakhne vaala khaas hunar the baabu jee teen mohallon men un jaisi qad kaathee ka koi na tha achhe-khaase unche poore qad-aavar the baabu jee ab to us soone maathe par kore-pan ki chadar hai amma jee ki saari saj-dhaj sab zevar the baabu jee bheetar se khaalis jazbaati aur u uupar se theth pitaa alag anootha anbuujha sa ik tevar the baabu jee kabhi badaa sa haath-kharch the kabhi hatheli ki soojan mere man ka aadha saahas aadha dar the baabu jee

Related Ghazal

pahle muft men pyaas bathegi baa'd men ik-ik boond bikegi kitne haseen ho maasha-allah tum pe mohabbat khoob jachegi zalim bas itnaa batla de kya rone ki chhoot milegi aaj to patthar baandh liya hai lekin kal phir bhook lagegi main bhi paagal tu bhi paagal ham dono ki khoob jamegi yaar ne paani fer diya hai KHaak hamaari KHaak udegi duniya ko aise bhooloonga duniya mujh ko yaad karegi

Zubair Ali Tabish

30 likes

seharaaon ne maanga paani daryaon par barsa paani buni yaaden kamzor nahin theen deewaron se aaya paani aaKHir kis kis neem ki jad men kab tak daalen meetha paani chat ka haal bataa deta hai parnaale se girta paani fikr-o-masaail yaad-e-jaanaan garm hawaaein thanda paani pyaase bacche khel rahe hain machhlii machhlii kitna paani

Fahmi Badayuni

11 likes

ghar se nikle to ho socha bhi kidhar jaaoge har taraf tez hawaaein hain bikhar jaaoge itnaa aasaan nahin lafzon pe bharosa karna ghar ki dahleez pukaaregi jidhar jaaoge shaam hote hi simat jaayenge saare raaste bahte dariyaa se jahaan hoge thehar jaaoge har naye shahar men kuchh raatein kaddi hoti hain chat se deewarein juda hongi to dar jaaoge pahle har cheez nazar aayegi be-ma'ni si aur phir apni hi nazaron se utar jaaoge

Nida Fazli

8 likes

rona-dhona sirf dikhaava hota hai kaun mire jaane se tanhaa hota hai uski tees nahin jaati hai saari umar pehla dhoka pehla dhoka hota hai naam bhi uskaa yaad nahin rakh paate ham galiyaan galiyaan jisepukaara hota hai saari baatein yaad ha men aa jaati hai lekin jab vo uthne vaala hota hai mar jaata hai tanj bhare ik jumle se koi-koi to itnaa zinda hota hai aansoo bhi ham kharch wahin par karte hain jahaan koi dil rakhne vaala hota hai bematlab ki bheed lagaane waalon se jaane vaala aur akela hota hai ghar men ise mehsoos karo ya sehra men sannaata to bas sannaata hota hai achchhe chehre achchhe chehre hote hain un men bhi ik apna vaala hota hai

Shariq Kaifi

16 likes

apne haathon ki lakeeron men saja le mujh ko main hoon teraa tu naseeb apna banaa le mujh ko main jo kaanta hoon to chal mujh se bacha kar daaman main hoongar phool to jude men saja le mujh ko tark-e-ulft ki qasam bhi koi hoti hai qasam tu kabhi yaad to kar bhoolne waale mujh ko mujh se tu poochne aaya hai vafaa ke maani ye tiri saada-dili maar na dale mujh ko main samundar bhi hoon moti bhi hoon ghota-zan bhi koi bhi naam mira le ke bula le mujh ko tu ne dekha nahin aaiine se aage kuchh bhi khud-parasti men kahii tu na ganwa le mujh ko baandh kar sang-e-wafa kar diya tu ne gharqaab kaun aisa hai jo ab dhoondh nikale mujh ko KHud ko main baant na daaloon kahii daaman daaman kar diya tu ne agar mere hawaale mujh ko main khule dar ke kisi ghar ka hoon saamaan pyaare tu dabe-paav kabhi aa ke chura le mujh ko kal ki baat aur hai main ab sa rahoon ya na rahoon jitna jee chahe tira aaj sata le mujh ko vaa'da phir vaa'da hai main zahar bhi pee jaaun qatil shart ye hai koi baanhon men sambhaale mujh ko

Qateel Shifai

6 likes

More from Aalok Shrivastav

theek hua jo bik ga.e sainik mutthi bhar deenaaron men vaise bhi to zang laga tha pushtaini hathiyaaron men sard nason men chalte chalte garm lahu jab barf hua chaar padosi jism utha kar jhonk aa.e angaaron men kheton ko mutthi men bharna ab tak seekh nahin paaya yuñ to meraa jeevan beeta saamanti ayyaaron men kaise us ke chaal-chalan men angrezee andaaz na ho aaKHir us ne saansen leen hain pachhim ke darbaaron men nazdeeki akshar doori ka kaaran bhi ban jaati hai soch-samajh kar ghulna-milna apne rishte-daaron men chaand agar poora chamke to us ke daagh khatkate hain ek na ek buraai tay hai saare izzat-daaron men

Aalok Shrivastav

1 likes

ye aur baat door rahe manzilon se ham bach kar chale hamesha magar qaafilon se ham hone ko phir shikaar nayi uljhnon se ham milte hain roz apne kaii doston se ham barson fareb khaate rahe doosron se ham apni samajh men aa.e badi mushkilon se ham manzil ki hai talab to ha men saath le chalo waqif hain khoob raah ki bareekiyo se ham jin ke paron pe subh ki KHushboo ke rang hain bachpan udhaar l aa.e hain un titliyon se ham kuchh to hamaare beech kabhi dooriyaan bhi hon tang aa ga.e hain roz ki nazdeekiyon se ham guzre hamaare ghar ki kisi raahguzaar se vo parde hataayein dekhen unhen khidkiyon se ham jab bhi kaha ki yaad hamaari kahaan unhen pakde ga.e hain theek tabhi hichkiyon se ham

Aalok Shrivastav

5 likes

vahii aangan vahii khidki vahii dar yaad aata hai akela jab bhi hota hooñ mujhe ghar yaad aata hai mirii be-saakhta hichki mujhe khul kar bataati hai tire apnon ko gaav men to akshar yaad aata hai jo apne paas hon un ki koi qeemat nahin hoti hamaare bhaai ko hi lo bichhad kar yaad aata hai safalta ke safar men to kahaan furqat ki kuchh sochen magar jab chot lagti hai muqaddar yaad aata hai maii aur june ki garmi badan se jab tapakti hai november yaad aata hai december yaad aata hai

Aalok Shrivastav

8 likes

hamesha zindagi ki har kamii ko jeete rahte hain jise ham jee nahin paa.e usii ko jeete rahte hain hamaare dukh ki baarish ko koi daaman nahin milta hamaari aankh ke baadal nami ko jeete rahte hain kisi ke saath hain rasmen kisi ke saath hain qasmen kisi ke saath jeena hai kisi ko jeete rahte hain ha men maaloom hai ik din bharosa toot jaayega magar phir bhi saraabo men na dii ko jeete rahte hain hamaare saath chalti hai tumhaare pyaar ki KHushboo lagaaee thii jo tum ne us lagii ko jeete rahte hain chahakte ghar mehakte khet aur vo gaav ki galiyaan jinhen ham chhod aa.e un sabhi ko jeete rahte hai KHuda ke naam-leva ham bhi hain tum bhi ho aur vo bhi magar afsos sab apni khu dii ko jeete rahte hain

Aalok Shrivastav

0 likes

agar safar men mire saath miraa yaar chale tawaaf karta hua mausam-e-bahaar chale laga ke vaqt ko thokar jo khaaksaar chale yaqeen ke qafile hamraah be-shumaar chale nawaazna hai to phir is tarah nawaaz mujhe ki mire ba'd miraa zikr baar baar chale ye jism kya hai koi pairhan udhaar ka hai yahiin sanbhaal ke pahna yahiin utaar chale ye jugnuon se bhara aasmaañ jahaan tak hai vahaañ talak tiri nazaron ka iqtidaar chale yahii to ek tamannaa hai is musaafir ki jo tum nahin to safar men tumhaara pyaar chale

Aalok Shrivastav

8 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Aalok Shrivastav.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Aalok Shrivastav's ghazal.