vahii aangan vahii khidki vahii dar yaad aata hai akela jab bhi hota hooñ mujhe ghar yaad aata hai mirii be-saakhta hichki mujhe khul kar bataati hai tire apnon ko gaav men to akshar yaad aata hai jo apne paas hon un ki koi qeemat nahin hoti hamaare bhaai ko hi lo bichhad kar yaad aata hai safalta ke safar men to kahaan furqat ki kuchh sochen magar jab chot lagti hai muqaddar yaad aata hai maii aur june ki garmi badan se jab tapakti hai november yaad aata hai december yaad aata hai
Related Ghazal
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
is tarah se na aajmao mujhe uski tasveer mat dikhaao mujhe ain mumkin hai main palat aaun uski aawaaz men bulao mujhe maine bola tha yaad mat aanaa jhooth bola tha yaad aao mujhe
Ali Zaryoun
64 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
mujh men kitne raaz hain batlaaoon kya band ek muddat se hooñ khul jaaun kya aajizi minnat khushamad iltijaa aur main kya kya karoon mar jaaun kya tere jalse men teraa parcham li.e saikron laashen bhi hain ginwaaoon kya kal yahaan main tha jahaan tum aaj ho main tumhaari hi tarah itraaoon kya ek patthar hai vo meri raah ka gar na thukraaoon to thokar khaaoon kya phir jagaaya tune soye she'r ko phir vahii lahjaa daraazi aaun kya
Rahat Indori
56 likes
More from Aalok Shrivastav
theek hua jo bik ga.e sainik mutthi bhar deenaaron men vaise bhi to zang laga tha pushtaini hathiyaaron men sard nason men chalte chalte garm lahu jab barf hua chaar padosi jism utha kar jhonk aa.e angaaron men kheton ko mutthi men bharna ab tak seekh nahin paaya yuñ to meraa jeevan beeta saamanti ayyaaron men kaise us ke chaal-chalan men angrezee andaaz na ho aaKHir us ne saansen leen hain pachhim ke darbaaron men nazdeeki akshar doori ka kaaran bhi ban jaati hai soch-samajh kar ghulna-milna apne rishte-daaron men chaand agar poora chamke to us ke daagh khatkate hain ek na ek buraai tay hai saare izzat-daaron men
Aalok Shrivastav
1 likes
ye aur baat door rahe manzilon se ham bach kar chale hamesha magar qaafilon se ham hone ko phir shikaar nayi uljhnon se ham milte hain roz apne kaii doston se ham barson fareb khaate rahe doosron se ham apni samajh men aa.e badi mushkilon se ham manzil ki hai talab to ha men saath le chalo waqif hain khoob raah ki bareekiyo se ham jin ke paron pe subh ki KHushboo ke rang hain bachpan udhaar l aa.e hain un titliyon se ham kuchh to hamaare beech kabhi dooriyaan bhi hon tang aa ga.e hain roz ki nazdeekiyon se ham guzre hamaare ghar ki kisi raahguzaar se vo parde hataayein dekhen unhen khidkiyon se ham jab bhi kaha ki yaad hamaari kahaan unhen pakde ga.e hain theek tabhi hichkiyon se ham
Aalok Shrivastav
5 likes
agar safar men mire saath miraa yaar chale tawaaf karta hua mausam-e-bahaar chale laga ke vaqt ko thokar jo khaaksaar chale yaqeen ke qafile hamraah be-shumaar chale nawaazna hai to phir is tarah nawaaz mujhe ki mire ba'd miraa zikr baar baar chale ye jism kya hai koi pairhan udhaar ka hai yahiin sanbhaal ke pahna yahiin utaar chale ye jugnuon se bhara aasmaañ jahaan tak hai vahaañ talak tiri nazaron ka iqtidaar chale yahii to ek tamannaa hai is musaafir ki jo tum nahin to safar men tumhaara pyaar chale
Aalok Shrivastav
8 likes
tu vafaa kar ke bhool ja mujh ko ab zaraa yuñ bhi aazma mujh ko ye zamaana bura nahin hai magar apni nazaron se dekhna mujh ko be-sada kaaghazon men aag laga aaj ki raat gunguna mujh ko tujh ko kis kis men dhoondhta aaKHir tu bhi kis kis se maangata mujh ko ab kisi aur ka pu jaarii hai jis ne maana tha devta mujh ko
Aalok Shrivastav
3 likes
ye sochna galat hai ki tum par nazar nahin masroof ham bahut hain magar be-KHabar nahin ab to KHud apne KHoon ne bhi saaf kah diya main aap ka rahoonga magar umr bhar nahin aa hi ga.e hain KHvaab to phir jaayenge kahaan aankhoñ se aage un ki koi raahguzaar nahin kitna jiein kahaan se jiein aur kis li.e ye ikhtiyaar ham pe hai taqdeer par nahin maazi ki raakh ulteen to chingaariyaan miliin be-shak kisi ko chaaho magar is qadar nahin
Aalok Shrivastav
14 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aalok Shrivastav.
Similar Moods
More moods that pair well with Aalok Shrivastav's ghazal.







