ye aur baat door rahe manzilon se ham bach kar chale hamesha magar qaafilon se ham hone ko phir shikaar nayi uljhnon se ham milte hain roz apne kaii doston se ham barson fareb khaate rahe doosron se ham apni samajh men aa.e badi mushkilon se ham manzil ki hai talab to ha men saath le chalo waqif hain khoob raah ki bareekiyo se ham jin ke paron pe subh ki KHushboo ke rang hain bachpan udhaar l aa.e hain un titliyon se ham kuchh to hamaare beech kabhi dooriyaan bhi hon tang aa ga.e hain roz ki nazdeekiyon se ham guzre hamaare ghar ki kisi raahguzaar se vo parde hataayein dekhen unhen khidkiyon se ham jab bhi kaha ki yaad hamaari kahaan unhen pakde ga.e hain theek tabhi hichkiyon se ham
Related Ghazal
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare
Kumar Vishwas
56 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
More from Aalok Shrivastav
theek hua jo bik ga.e sainik mutthi bhar deenaaron men vaise bhi to zang laga tha pushtaini hathiyaaron men sard nason men chalte chalte garm lahu jab barf hua chaar padosi jism utha kar jhonk aa.e angaaron men kheton ko mutthi men bharna ab tak seekh nahin paaya yuñ to meraa jeevan beeta saamanti ayyaaron men kaise us ke chaal-chalan men angrezee andaaz na ho aaKHir us ne saansen leen hain pachhim ke darbaaron men nazdeeki akshar doori ka kaaran bhi ban jaati hai soch-samajh kar ghulna-milna apne rishte-daaron men chaand agar poora chamke to us ke daagh khatkate hain ek na ek buraai tay hai saare izzat-daaron men
Aalok Shrivastav
1 likes
agar safar men mire saath miraa yaar chale tawaaf karta hua mausam-e-bahaar chale laga ke vaqt ko thokar jo khaaksaar chale yaqeen ke qafile hamraah be-shumaar chale nawaazna hai to phir is tarah nawaaz mujhe ki mire ba'd miraa zikr baar baar chale ye jism kya hai koi pairhan udhaar ka hai yahiin sanbhaal ke pahna yahiin utaar chale ye jugnuon se bhara aasmaañ jahaan tak hai vahaañ talak tiri nazaron ka iqtidaar chale yahii to ek tamannaa hai is musaafir ki jo tum nahin to safar men tumhaara pyaar chale
Aalok Shrivastav
8 likes
vahii aangan vahii khidki vahii dar yaad aata hai akela jab bhi hota hooñ mujhe ghar yaad aata hai mirii be-saakhta hichki mujhe khul kar bataati hai tire apnon ko gaav men to akshar yaad aata hai jo apne paas hon un ki koi qeemat nahin hoti hamaare bhaai ko hi lo bichhad kar yaad aata hai safalta ke safar men to kahaan furqat ki kuchh sochen magar jab chot lagti hai muqaddar yaad aata hai maii aur june ki garmi badan se jab tapakti hai november yaad aata hai december yaad aata hai
Aalok Shrivastav
8 likes
hamesha zindagi ki har kamii ko jeete rahte hain jise ham jee nahin paa.e usii ko jeete rahte hain hamaare dukh ki baarish ko koi daaman nahin milta hamaari aankh ke baadal nami ko jeete rahte hain kisi ke saath hain rasmen kisi ke saath hain qasmen kisi ke saath jeena hai kisi ko jeete rahte hain ha men maaloom hai ik din bharosa toot jaayega magar phir bhi saraabo men na dii ko jeete rahte hain hamaare saath chalti hai tumhaare pyaar ki KHushboo lagaaee thii jo tum ne us lagii ko jeete rahte hain chahakte ghar mehakte khet aur vo gaav ki galiyaan jinhen ham chhod aa.e un sabhi ko jeete rahte hai KHuda ke naam-leva ham bhi hain tum bhi ho aur vo bhi magar afsos sab apni khu dii ko jeete rahte hain
Aalok Shrivastav
0 likes
ghar ki buni yaaden deewarein baam-o-dar the baabu jee sab ko baandh ke rakhne vaala khaas hunar the baabu jee teen mohallon men un jaisi qad kaathee ka koi na tha achhe-khaase unche poore qad-aavar the baabu jee ab to us soone maathe par kore-pan ki chadar hai amma jee ki saari saj-dhaj sab zevar the baabu jee bheetar se khaalis jazbaati aur u uupar se theth pitaa alag anootha anbuujha sa ik tevar the baabu jee kabhi badaa sa haath-kharch the kabhi hatheli ki soojan mere man ka aadha saahas aadha dar the baabu jee
Aalok Shrivastav
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aalok Shrivastav.
Similar Moods
More moods that pair well with Aalok Shrivastav's ghazal.







