har ek baat ko chup-chap kyuun suna jaae kabhi to hausla kar ke nahin kaha jaae tumhara ghar bhi isi shahr ke hisar men hai lagi hai aag kahan kyuun pata kiya jaae juda hai hiir se ranjha kai zamanon se nae sire se kahani ko phir likha jaae kaha gaya hai sitaron ko chhuna mushkil hai ye kitna sach hai kabhi tajraba kiya jaae kitaben yuun to bahut si hain mere baare men kabhi akele men khud ko bhi padh liya jaae har ek baat ko chup-chap kyun suna jae kabhi to hausla kar ke nahin kaha jae tumhaara ghar bhi isi shahr ke hisar mein hai lagi hai aag kahan kyun pata kiya jae juda hai hir se ranjha kai zamanon se nae sire se kahani ko phir likha jae kaha gaya hai sitaron ko chhuna mushkil hai ye kitna sach hai kabhi tajraba kiya jae kitaben yun to bahut si hain mere bare mein kabhi akele mein khud ko bhi padh liya jae
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
More from Nida Fazli
din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi
Nida Fazli
0 likes
girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya
Nida Fazli
1 likes
jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage
Nida Fazli
1 likes
yaqeen chaand pe suraj men e'tibaar bhi rakh magar nigaah men thoda sa intizaar bhi rakh KHuda ke haath men mat saunp saare kaamon ko badalte vaqt pe kuchh apna ikhtiyaar bhi rakh ye hi lahu hai shahaadat ye hi lahu paani khizaan naseeb sahi zehan men bahaar bhi rakh gharo ke taqon men gul-daste yuñ nahin sajte jahaan hain phool wahin aas-paas khaar bhi rakh pahaad goonjein nadi gaaye ye zaroori hai safar kahii ka ho dil men kisi ka pyaar bhi rakh
Nida Fazli
1 likes
dukh men neer baha dete the sukh men hansne lagte the seedhe-saade log the lekin kitne achchhe lagte the nafrat chadhti aandhi jaisi pyaar ubalte chashmon sa bairi hooñ ya sangi saa thii saare apne lagte the bahte paani dukh-sukh baanten ped bade boodhon jaise bacchon ki aahat sunte hi khet lahakne lagte the nadiya parbat chaand nigaahen maala ek kaii daane chhote chhote se aangan bhi koson phaile lagte the
Nida Fazli
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







