ghazalKuch Alfaaz

har ek ghham nichod ke har ik baras jiye do din ki zindagi men hazaron baras jiye sadiyon pe ikhtiyar nahin tha hamara dost do chaar lamhe bas men the do chaar bas jiye sahra ke us taraf se gae saare karvan sun sun ke ham to sirf sada-e-jaras jiye honton men le ke raat ke anchal ka ik sira ankhon pe rakh ke chand ke honton ka mas jiye mahdud hain duaen mire ikhtiyar men har saans pur-sukun ho tu sau baras jiye har ek gham nichod ke har ek baras jiye do din ki zindagi mein hazaron baras jiye sadiyon pe ikhtiyar nahin tha hamara dost do chaar lamhe bas mein the do chaar bas jiye sahra ke us taraf se gae sare karwan sun sun ke hum to sirf sada-e-jaras jiye honton mein le ke raat ke aanchal ka ek sira aankhon pe rakh ke chand ke honton ka mas jiye mahdud hain duaen mere ikhtiyar mein har sans pur-sukun ho tu sau baras jiye

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

More from Gulzar

zikr aa.e to mire lab se duaaein niklen shama' jaltee hai to laazim hai shuaaein niklen vaqt ki zarb se kat jaate hain sab ke seene chaand ka chhalaka utar jaa.e to qaashein niklen dafn ho jaayen ki zarkhez zameen lagti hai kal isee miTTi se shaayad mirii shaakhen niklen chand ummeedein nichodhi theen to aahen tapkiin dil ko pighlaayein to ho saka hai saansen niklen ghaar ke munh pe rakha rahne do sang-e-khursheed ghaar men haath na daalo kahii raatein niklen

Gulzar

2 likes

tujh ko dekha hai jo dariyaa ne idhar aate hue kuchh bhanwar doob ga.e paani men chakrate hue ham ne to raat ko daanton se pakad kar rakha cheena-jhapati men ufuq khulta gaya jaate hue main na hoonga to khizaan kaise kategi teri shokh patte ne kaha shaakh se murjhate hue hasratein apni bilaktiin na yatiimon ki tarah ham ko awaaz hi de lete zaraa jaate hue si li.e hont vo paakizaa nigaahen sun kar mailee ho jaati hai awaaz bhi dohraate hue

Gulzar

1 likes

aankhoñ men jal raha hai pa bujhta nahin dhuaan uthata to hai ghatta sa barsta nahin dhuaan paaalkon ke dhaapane se bhi rukta nahin dhuaan kitnii undelin aañkhen pa bujhta nahin dhuaan aankhoñ se aañsuon ke maraasim paurane hain mehmaan ye ghar men aayen to chubhta nahin dhuaan choolhe nahin jalaae ki bastii hi jal gaii kuchh roz ho ga.e hain ab uthata nahin dhuaan kaali lakeeren kheench raha hai fazaaon men baura gaya hai munh se kyun khulta nahin dhuaan aankhoñ ke paochne se laga aag ka paata yuñ chehra fer lene se chhupata nahin dhuaan chingaari ik atak si gaii mere seene men thoda sa aa ke pahoonk do udta nahin dhuaan

Gulzar

1 likes

ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale qaraar de ke tire dar se be-qaraar chale uthaaye firte the ehsaan jism ka jaañ par chale jahaan se to ye pairhan utaar chale na jaane kaun si miTTi watan ki miTTi thii nazar men dhool jigar men li.e ghubaar chale sehar na aayi kaii baar neend se jaage thii raat raat ki ye zindagi guzaar chale mili hai shama' se ye rasm-e-aashiqi ham ko gunaah haath pe le kar gunaahgaar chale

Gulzar

2 likes

aisa KHaamosh to manzar na fana ka hota mirii tasveer bhi girti to chhanaaka hota yuñ bhi ik baar to hota ki samundar bahta koi ehsaas to dariyaa ki ana ka hota saans mausam ki bhi kuchh der ko chalne lagti koi jhonka tiri palkon ki hawa ka hota kaanch ke paar tire haath nazar aate hain kaash KHushboo ki tarah rang hina ka hota kyun mirii shakl pahan leta hai chhupne ke li.e ek chehra koi apna bhi KHuda ka hota

Gulzar

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Gulzar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Gulzar's ghazal.