aankhoñ men jal raha hai pa bujhta nahin dhuaan uthata to hai ghatta sa barsta nahin dhuaan paaalkon ke dhaapane se bhi rukta nahin dhuaan kitnii undelin aañkhen pa bujhta nahin dhuaan aankhoñ se aañsuon ke maraasim paurane hain mehmaan ye ghar men aayen to chubhta nahin dhuaan choolhe nahin jalaae ki bastii hi jal gaii kuchh roz ho ga.e hain ab uthata nahin dhuaan kaali lakeeren kheench raha hai fazaaon men baura gaya hai munh se kyun khulta nahin dhuaan aankhoñ ke paochne se laga aag ka paata yuñ chehra fer lene se chhupata nahin dhuaan chingaari ik atak si gaii mere seene men thoda sa aa ke pahoonk do udta nahin dhuaan
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
More from Gulzar
aisa KHaamosh to manzar na fana ka hota mirii tasveer bhi girti to chhanaaka hota yuñ bhi ik baar to hota ki samundar bahta koi ehsaas to dariyaa ki ana ka hota saans mausam ki bhi kuchh der ko chalne lagti koi jhonka tiri palkon ki hawa ka hota kaanch ke paar tire haath nazar aate hain kaash KHushboo ki tarah rang hina ka hota kyun mirii shakl pahan leta hai chhupne ke li.e ek chehra koi apna bhi KHuda ka hota
Gulzar
3 likes
zikr aa.e to mire lab se duaaein niklen shama' jaltee hai to laazim hai shuaaein niklen vaqt ki zarb se kat jaate hain sab ke seene chaand ka chhalaka utar jaa.e to qaashein niklen dafn ho jaayen ki zarkhez zameen lagti hai kal isee miTTi se shaayad mirii shaakhen niklen chand ummeedein nichodhi theen to aahen tapkiin dil ko pighlaayein to ho saka hai saansen niklen ghaar ke munh pe rakha rahne do sang-e-khursheed ghaar men haath na daalo kahii raatein niklen
Gulzar
2 likes
ek parwaaz dikhaai dii hai teri awaaz sunaai dii hai sirf ik safha palat kar us ne saari baaton ki safaai dii hai phir wahin laut ke jaana hogaa yaar ne kaisi rihaai dii hai jis ki aankhoñ men kati theen sadiyaanus ne sadiyon ki judaai dii hai zindagi par bhi koi zor nahin dil ne har cheez paraai dii hai aag men kya kya jala hai shab bhar kitnii khush-rang dikhaai dii hai
Gulzar
2 likes
shaam se aaj saans bhari hai be-qaraari si be-qaraari hai aap ke baad har ghadi ham ne aap ke saath hi guzaari hai raat ko de do chaandni ki rida din ki chadar abhii utaari hai shaakh par koi qahqaha to khile kaisi chup si chaman men taari hai kal ka har vaqiaa' tumhaara tha aaj ki daastaan hamaari hai
Gulzar
2 likes
tujh ko dekha hai jo dariyaa ne idhar aate hue kuchh bhanwar doob ga.e paani men chakrate hue ham ne to raat ko daanton se pakad kar rakha cheena-jhapati men ufuq khulta gaya jaate hue main na hoonga to khizaan kaise kategi teri shokh patte ne kaha shaakh se murjhate hue hasratein apni bilaktiin na yatiimon ki tarah ham ko awaaz hi de lete zaraa jaate hue si li.e hont vo paakizaa nigaahen sun kar mailee ho jaati hai awaaz bhi dohraate hue
Gulzar
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Gulzar.
Similar Moods
More moods that pair well with Gulzar's ghazal.







