har qadam kahtaa hai tu aaya hai jaane ke li.e manzil-e-hasti nahin hai dil lagaane ke li.e kya mujhe KHush aa.e ye hairat-sara-e-be-sabaat hosh udne ke li.e hai jaan jaane ke li.e dil ne dekha hai bisaat-e-quwwat-e-idraak ko kya badhe is bazm men aañkhen uthaane ke li.e khoob ummeedein bandhein lekin hui hirmaan naseeb badliyaan uthhiin magar bijli girane ke li.e saans ki tarkeeb par miTTi ko pyaar aa hi gaya KHud hui qaid us ko seene se lagaane ke li.e jab kaha main ne bhula do gair ko hañs kar kaha yaad phir mujh ko dilaana bhool jaane ke li.e deeda-baazi vo kahaan aañkhen raha karti hain band jaan hi baaki nahin ab dil lagaane ke li.e mujh ko KHush aayi hai masti shaikh jee ko farbahee main hooñ peene ke li.e aur vo hain khaane ke li.e allah allah ke siva aaKHir raha kuchh bhi na yaad jo kiya tha yaad sab tha bhool jaane ke li.e sur kahaan ke saaz kaisa kaisi bazm-e-saamaeen josh-e-dil kaafi hai akbar taan udaane ke li.e
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya
Mehshar Afridi
53 likes
More from Akbar Allahabadi
zid hai unhen poora mira armaan na karenge munh se jo nahin nikli hai ab haan na karenge kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete kahte hain ki wallaah pareshaan na karenge hai zehan men ik baat tumhaare mutalliq khilwat men jo poochoge to pinhaan na karenge waiz to banaate hain musalmaan ko kaafir afsos ye kaafir ko musalmaan na karenge kyun shukr-guzaari ka mujhe shauq hai itnaa sunta hooñ vo mujh par koi ehsaan na karenge deewaana na samjhe ha men vo samjhe sharaabi ab chaak kabhi jeb o garebaan na karenge vo jaante hain gair mire ghar men hai mehmaan aayenge to mujh par koi ehsaan na karenge
Akbar Allahabadi
2 likes
tiri zulfon men dil uljha hua hai bala ke pech men aaya hua hai na kyunkar boo-e-khoon naa men se aa.e usii jallaad ka likkha hua hai chale duniya se jis ki yaad men ham ghazab hai vo ha men bhoola hua hai kahooñ kya haal agli ishraton ka vo tha ik KHvaab jo bhoola hua hai jafaa ho ya vafaa ham sab men KHush hain karen kya ab to dil atka hua hai hui hai ishq hi se husn ki qadr humeen se aap ka shohra hua hai buton par rahtii hai maail hamesha tabeeyat ko khudaaya kya hua hai pareshaan rahte ho din raat akbar ye kis ki zulf ka sauda hua hai
Akbar Allahabadi
0 likes
rang-e-sharaab se mirii niyyat badal gaii waiz ki baat rah gaii saaqi ki chal gaii taiyyaar the namaaz pe ham sun ke zikr-e-hoor jalwa buton ka dekh ke niyyat badal gaii machhlii ne dheel paai hai luq men pe shaad hai sayyaad mutmain hai ki kaanta nigal gaii chamka tira jamaal jo mehfil men waqt-e-shaam parwaana be-qaraar hua shama' jal gaii uqba ki baaz-purs ka jaata raha khayal duniya ki lazzaton men tabeeyat bahl gaii hasrat bahut tarqqi-e-dukhtar ki thii unhen parda jo uth gaya to vo aaKHir nikal gaii
Akbar Allahabadi
0 likes
kahaan le jaaun dil dono jahaan men iski mushkil hai yahaañ pariyon ka majma hai vahaañ huroon ki mehfil hai ilaahi kaisi-kaisi sooraten tune banaai hain har soorat kaleje se laga lene ke qaabil hai ye dil lete hi sheeshe ki tarah patthar pe de maara main kahtaa rah gaya zalim meraa dil hai meraa dil hai jo dekha aks aaiine men apna bole jhunjhlaakar are tu kaun hai hat saamne se kyuuñ muqaabil hai hazaaron dil masal kar paavon se jhunjhla ke farmaaya lo pehchaano tumhaara in dilon men kaun sa dil hai
Akbar Allahabadi
2 likes
hangaama hai kya barpa thodii si jo pee li hai daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai us may se nahin matlab dil jis se hai begaana maqsood hai us may se dil hi men jo khinchti hai waan dil men ki sad men do yaa jee men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai meraa bhi ajab jee hai har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se har saans ye kahti hai ham hain to KHuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karish men hain but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai
Akbar Allahabadi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Akbar Allahabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Akbar Allahabadi's ghazal.







