tiri zulfon men dil uljha hua hai bala ke pech men aaya hua hai na kyunkar boo-e-khoon naa men se aa.e usii jallaad ka likkha hua hai chale duniya se jis ki yaad men ham ghazab hai vo ha men bhoola hua hai kahooñ kya haal agli ishraton ka vo tha ik KHvaab jo bhoola hua hai jafaa ho ya vafaa ham sab men KHush hain karen kya ab to dil atka hua hai hui hai ishq hi se husn ki qadr humeen se aap ka shohra hua hai buton par rahtii hai maail hamesha tabeeyat ko khudaaya kya hua hai pareshaan rahte ho din raat akbar ye kis ki zulf ka sauda hua hai
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
More from Akbar Allahabadi
zid hai unhen poora mira armaan na karenge munh se jo nahin nikli hai ab haan na karenge kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete kahte hain ki wallaah pareshaan na karenge hai zehan men ik baat tumhaare mutalliq khilwat men jo poochoge to pinhaan na karenge waiz to banaate hain musalmaan ko kaafir afsos ye kaafir ko musalmaan na karenge kyun shukr-guzaari ka mujhe shauq hai itnaa sunta hooñ vo mujh par koi ehsaan na karenge deewaana na samjhe ha men vo samjhe sharaabi ab chaak kabhi jeb o garebaan na karenge vo jaante hain gair mire ghar men hai mehmaan aayenge to mujh par koi ehsaan na karenge
Akbar Allahabadi
2 likes
hangaama hai kya barpa thodii si jo pee li hai daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai us may se nahin matlab dil jis se hai begaana maqsood hai us may se dil hi men jo khinchti hai waan dil men ki sad men do yaa jee men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai meraa bhi ajab jee hai har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se har saans ye kahti hai ham hain to KHuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karish men hain but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai
Akbar Allahabadi
1 likes
apni girah se kuchh na mujhe aap deejie akhbaar men to naam mira chaap deejie dekho jise vo pioneer office men hai data bahr-e-khuda mujhe bhi kahii chaap deejie chashm-e-jahaan se haalat-e-asli chhupi nahin akhbaar men jo chahiye vo chaap deejie daava bahut badaa hai riyaazi men aap ko tool-e-shab-e-firaq ko to naap deejie sunte nahin hain shaikh nayi raushni ki baat engine ki un ke kaan men ab bhaap deejie is but ke dar pe gair se akbar ne kah diya zar hi main dene laaya hooñ jaan aap deejie
Akbar Allahabadi
0 likes
ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota jalwa na ho maani ka to soorat ka asar kya bulbul gul-e-tasveer ka shaida nahin hota allah bach aa.e marz-e-ishq se dil ko sunte hain ki ye aariza achha nahin hota tashbeeh tire chehre ko kya doon gul-e-tar se hota hai shagufta magar itnaa nahin hota main naz'a men hooñ aayen to ehsaan hai un ka lekin ye samajh len ki tamasha nahin hota ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
Akbar Allahabadi
1 likes
bahut raha hai kabhi lutf-e-yaar ham par bhi guzar chuki hai ye fasl-e-bahaar ham par bhi uroos-e-dehr ko aaya tha pyaar ham par bhi ye beswa thii kisi shab nisaar ham par bhi bitha chuka hai zamaana ha men bhi masnad par hua ki.e hain jawaahir nisaar ham par bhi adoo ko bhi jo banaya hai tum ne mahram-e-raaz to fakhr kya jo hua etibaar ham par bhi KHataa kisi ki ho lekin khulii jo un ki zabaan to ho hi jaate hain do ek vaar ham par bhi ham aise rind magar ye zamaana hai vo ghazab ki daal hi diya duniya ka baar ham par bhi ha men bhi aatish-e-ulfat jala chuki akbar haraam ho gaii dozakh ki naar ham par bhi
Akbar Allahabadi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Akbar Allahabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Akbar Allahabadi's ghazal.







