ghazalKuch Alfaaz

zid hai unhen poora mira armaan na karenge munh se jo nahin nikli hai ab haan na karenge kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete kahte hain ki wallaah pareshaan na karenge hai zehan men ik baat tumhaare mutalliq khilwat men jo poochoge to pinhaan na karenge waiz to banaate hain musalmaan ko kaafir afsos ye kaafir ko musalmaan na karenge kyun shukr-guzaari ka mujhe shauq hai itnaa sunta hooñ vo mujh par koi ehsaan na karenge deewaana na samjhe ha men vo samjhe sharaabi ab chaak kabhi jeb o garebaan na karenge vo jaante hain gair mire ghar men hai mehmaan aayenge to mujh par koi ehsaan na karenge

Related Ghazal

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge

Jaun Elia

88 likes

main bhi tum jaisa hooñ apne se juda mat samjho aadmi hi mujhe rahne do KHuda mat samjho ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho raas aata nahin sabko ye mohabbat ka marz meri beemaarii ko tum apni davaa mat samjho

Shakeel Azmi

51 likes

roz taaron ko numaish men khalal padta hai chaand paagal hai andhere men nikal padta hai ek deewaana musaafir hai mirii aankhoñ men waqt-be-waqt thehar jaata hai chal padta hai apni taabeer ke chakkar men mira jaagta KHvaab roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai roz patthar ki himayat men ghazal likhte hain roz sheeshon se koi kaam nikal padta hai us ki yaad aayi hai saanso zaraa aahista chalo dhadkano se bhi ibadat men khalal padta hai

Rahat Indori

33 likes

nahin aata kisi par dil hamaara vahii kashtii vahii saahil hamaara tere dar par karenge naukri ham teri galiyaan hain mustaqbil hamaara kabhi milta tha koi hotelon men kabhi bharta tha koi bill hamaara

Tehzeeb Hafi

83 likes

maine to bas mazaq men poocha KHaraab hai vo peer haath dekh ke bola kharaab hai har din use dikhaaya ki kitne shareef hain har raat uske baare men socha kharaab hai ye ishq ho chuka hai turup-chaal taash ki aage ghulaam ke mira ikka kharaab hai azaad ladkiyon se bhalii qaid auratein matlab ki jheel theek hai dariyaa kharaab hai ham jis KHuda ki aas men baithe hain raat din vo ja chuka hai bol ke duniya kharaab hai zyaada kisi ki maut pe rona nahin sahi aur janmdin pe shor sharaaba kharaab hai aadha bhi uske jitna main raushan nahin hua main jis diye ko bol raha tha kharaab hai

Kushal Dauneria

35 likes

More from Akbar Allahabadi

hangaama hai kya barpa thodii si jo pee li hai daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai us may se nahin matlab dil jis se hai begaana maqsood hai us may se dil hi men jo khinchti hai waan dil men ki sad men do yaa jee men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai meraa bhi ajab jee hai har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se har saans ye kahti hai ham hain to KHuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karish men hain but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai

Akbar Allahabadi

1 likes

ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota jalwa na ho maani ka to soorat ka asar kya bulbul gul-e-tasveer ka shaida nahin hota allah bach aa.e marz-e-ishq se dil ko sunte hain ki ye aariza achha nahin hota tashbeeh tire chehre ko kya doon gul-e-tar se hota hai shagufta magar itnaa nahin hota main naz'a men hooñ aayen to ehsaan hai un ka lekin ye samajh len ki tamasha nahin hota ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota

Akbar Allahabadi

1 likes

tiri zulfon men dil uljha hua hai bala ke pech men aaya hua hai na kyunkar boo-e-khoon naa men se aa.e usii jallaad ka likkha hua hai chale duniya se jis ki yaad men ham ghazab hai vo ha men bhoola hua hai kahooñ kya haal agli ishraton ka vo tha ik KHvaab jo bhoola hua hai jafaa ho ya vafaa ham sab men KHush hain karen kya ab to dil atka hua hai hui hai ishq hi se husn ki qadr humeen se aap ka shohra hua hai buton par rahtii hai maail hamesha tabeeyat ko khudaaya kya hua hai pareshaan rahte ho din raat akbar ye kis ki zulf ka sauda hua hai

Akbar Allahabadi

0 likes

hangaama hai kyun barpa thodii si jo pee li hai daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai us may se nahin matlab dil jis se hai begaana maqsood hai us may se dil hi men jo khinchti hai ai shauq vahii may pee ai hosh zaraa so ja mehmaan-e-nazar is dam ek barq-e-tajalli hai waan dil men ki sad men do yaa jee men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai meraa bhi ajab jee hai har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se har saans ye kahti hai ham hain to KHuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karish men hain but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai taaleem ka shor aisa tahzeeb ka ghul itnaa barkat jo nahin hoti niyyat ki kharaabi hai sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai

Akbar Allahabadi

1 likes

phir gaii aap ki do din men tabi'at kaisi ye vafaa kaisi thii sahab ye muravvat kaisi dost ahbaab se hañs bol ke kat jaayegi raat rind-e-aazaad hain ham ko shab-e-furqat kaisi jis haseen se hui ulfat vahii maashooq apna ishq kis cheez ko kahte hain tabi'at kaisi hai jo qismat men vahii hogaa na kuchh kam na siva aarzoo kahte hain kis cheez ko hasrat kaisi haal khulta nahin kuchh dil ke dhadkane ka mujhe aaj rah rah ke bhar aati hai tabi'at kaisi koocha-e-yaar men jaata to nazaara karta qais aawaara hai jungle men ye vehshat kaisi

Akbar Allahabadi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Akbar Allahabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Akbar Allahabadi's ghazal.